ismailpatel
Guest
|
|
|
MEIN GHAR JAOONGA:
Ek muddat ka musafir hun, mein ghar jaoonga Musafirkhana hai ye duniya, mein ghar jaoonga
Jo jahan se aaya hai wahaan hi oosko jaana hai Yehi dastoor hai qudaratkaa, mein ghar jaoonga
'Alasto berabbekum' ki sadaa par meine jo jawaab diyaa Ataa huwaa hai muje ghar jo, mein ghar jaoonga
Mein to cheez hun rabki aur wohi mera maalik hai Ghoom fir rahaa hun duniyamein, mein ghar jaoonga
Mein gunehgaar badaa wo paak zaat ataa hi ataa Oos karim ki muje nisbat hai, mein ghar jaoonga
Mein kar rahaa hun wohi sirf jo oosne likhaa hai Muj par hai nahin taaqat meri, mein ghar jaoonga
Nahin hai kuchh kamaal mera nahin hai kuchh bhi mera Sirf aasaraa hai oos par, mein ghar jaoonga
Mein maanataa hun oosako mein punjataa hun oosako Sawaal-jawaab mein na ooljaa, mein ghar jaoonga
Gam na karanaa yaaro dafanaake mujako chale jaanaa Maut rastaa hai oos gharkaa, mein ghar jaoonga
"Babu" to hai rab kaa aur hai sirf rab ke liye Lout ke janaa hai ooske paas, mein ghar jaoonga
Ooski rahimi ke saamane mere gunaah kuchh bhi nahin Ye soch bhi hai karim, befikr mein ghar jaoongaa!
Ooth kar ruh meri pahunchegi laamakaan mein jab Rab muje degaa makaan mera, mein ghar jaoonga
Ismail Urf Babubhai Ibrahim Patel Maanchvi Gulaam-e-Khwaza Khairuddinshah(R.A.) Atodari, Qadari, Chishty, Soharwordi, Naqshbadi aur Rifaai.
|