Aaye they mere ghar mein bhi chand sitare kabhi
Khiza hi khiza hai har sou ab woh baharien nahin
Dil tu kyun nakaam-e-muhhobat ki baat karta hai?
Hum to ho gaye hai unke agar woh hamare nahin
Behtar yhi ke ab bando saaz-o-samaan aur nikalo
Ab iss shahar mein janab tumhaare guzaare nahin
Ja kar koi uss sitam_gaar ko yeh ithelaah kar de
QurbaaN ho gaye hai ishq mein magar hare nahin
Daftaan chend logo ne hath mein utha to liye sang
Magar jane kya yaad aaya unko, ke maare nahin?
(Sang = Pathar / stone)
Shayaad usne bhi khola hoga khaat koi puraana
Tabhi aaj usne apne gesu sawarien nahin
(Gesu = Julfien)
Phir hum uss bewffa ko yaad karte hai
Wohi din hai hamare aur hamari raatein hai wohi
Ilaahi, mujhe uss basti ka pta bta de ke jahaaN pe
TeG nahin lahuu nahin dhuan nahin angarien nahin
(TeG = Talwar/Sword)
Asia nai ke humse ishq karne walon ki kami hai magar
Dil toot kar unhi ko chahta hai jo hamare nahin
Kahin koi masoom apne ghar se be_ghar na ho jaye
Yahi soch kar humne apne ghar mein jale uthare nahin
(Jale = Spider’s Net)
Ajab mod par aa kar rukh gyi hai zindagi :HumTum:
Dil wohi dilbhar nahin ankhien wohi nazarien nahin !!
HumTum
Kya likha hai janab apke har alfaaz me ahesaas ko mahesoos kiya humne !! bahoth umda peskash hai apki ye !! maza agaya padke !!
Qadeer Toopchi