meri talash

by tabassum shakeel on June 14, 2006, 12:54:06 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1414 times)
tabassum shakeel
Guest
Reply with quote
jo mujhe sukoon ab de sake bas ab aise dar ki talash hai
vo gunaah ho ya sawab ho mujhe us amal ki talaash hai

mere sare sapne bikhar gae main to choor choor hun ho chuki
jo mujhe samet ke rakh sake usi ek ghar ki talash hai

jahaan hon parinde chahak rahe aur hawa bhi tez ho bah rahi
meri saans ab hai ghuti hui mujhe us fiza ki talash hai

main khafa hun har ek rishte se ki sila hai inse mila nahi
jis rishte ka nahi naam ho ab usiki mujhko talash hai

kabhi titaliyon ke se khwab the aur ek phool meri talash thi
magar thokaren hi milin mujhe ab pattharon ki talash hai

vo ajeeb sa mera ek dost mere dil ke itne qareeb hai
ki meri khushi to main bhool gai uski khushi ki talash hai

milen rahaten use chahten ki vo zindagi me sada hanse
ye doa meri jo sun sake mujhe us khuda ki talash hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Usaka pathhar meri talash main............. by Amit Janglan in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
~~~Meri Talash~~~ by pankshivam in Shairi - E - Zindagi
shayad usey meri talash thi by awais_007 in Share:Miscellaneous Shayari
Meri talash hai... by Dineshkumarjonty in Hindi Poets
Meri Talash me... ..Saavan... by Saavan in Shayri-E-Dard
tabassum shakeel
Guest
«Reply #1 on: June 25, 2006, 12:55:37 PM »
Reply with quote
kabhi aanhkse vo jhalak gae
kabhi khwab ban ke thirak gae
teri yaad ke vo mahal hasin
meri saanson me hain mahak rahe
kya inhe me bhool paaungi
ye tera hasin khwab hai
inhe saath leke jaaungi
ye mera hasin khwab hai...................
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #2 on: June 25, 2006, 01:18:16 PM »
Reply with quote
very nice.............

  nirjharo ke bich ek behti nadiya talaashta hoon
   kaanto mai khili hui koi bagiya talaashta hoon

  khusiyo se jo bhar de har sune aangan ko
  kahi chupi hui aisi tanhaaiya talaashta hoon

  jisme na ho hinsa,naa hi ho prem ka abhaav koi
  jo lage madhur kaano ko woh kahaniya talaashta hoon

 rahe sada jaha pyaar se sab ek-duje se milkar
 main aman-prast ek aisi duniya talaashta hoon

................@fahi@..................
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #3 on: June 25, 2006, 01:26:44 PM »
Reply with quote
bahut khoob faahi ye talash bahut achchi hai ..........

mujhe ik sukun ki talash hai
is zindigani ke shor me
kisi jheel ka hi kinara ho
par jheel ho khamoshi ki
jahaan sirf dhadkane sunu
usi ik jagah ki talash hai
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #4 on: June 25, 2006, 01:41:33 PM »
Reply with quote
mere agey mere sapno ki duniya hogi
 kabhi to meri  talaash bhi puri hogi

 kabhi to khilti vaadiyo se hoker gujrunga main
 kabhi to sehrao se apna ghar puchunga main
  kabhi to meri nakaami ki aas adhuri hogi
  kabhi to meri talaash bhi puri hogi

  kabhi to meri raah-e-zindagi mai woh mod aayega
  sikwe gile dukh dard jaha sab ,dil chod aayega
  kabhi to khuiyo ki mere dar pe jee-huzuri hogi
  kabhi to meri talaash bhi puri hogi.

................@fahi@..............
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #5 on: June 25, 2006, 01:50:30 PM »
Reply with quote
bahut khoob likhte hain aap faahi
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #6 on: July 06, 2006, 05:36:20 PM »
Reply with quote
Quote from: "purani_jeans_aur_guitar"
mere agey mere sapno ki duniya hogi
 kabhi to meri  talaash bhi puri hogi

 kabhi to khilti vaadiyo se hoker gujrunga main
 kabhi to sehrao se apna ghar puchunga main
  kabhi to meri nakaami ki aas adhuri hogi
  kabhi to meri talaash bhi puri hogi

  kabhi to meri raah-e-zindagi mai woh mod aayega
  sikwe gile dukh dard jaha sab ,dil chod aayega
  kabhi to khuiyo ki mere dar pe jee-huzuti hogi
  kabhi to meri talaash bhi puri hogi.

................@fahi@..............



kabhi to poore honge khwab ke barson se dekhen hain
kabhi to aaenge ki raahon me phoolon ke mele hain
kabhi to bastiyan aabad hongi kab se veraan hain
kabhi to ham hansenge aisa socha karte hain aksar
kabhi aisa hua to ham bhi kya phir khush rahege?
kya aisi qismaten apni bhi hain ki ham tumko paaen
kaho ik baar kya aisa bhi hoga ...........................
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #7 on: July 08, 2006, 04:17:59 PM »
Reply with quote
very nice tabassum ji .............

main talashta hoon ek aisa sapno ka seher
 jo aankhn khulne per sirf ek khawab na reh jaye

...................@fahi@....................
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #8 on: July 09, 2006, 01:49:28 PM »
Reply with quote
very nice  fahi and thanx aisa ek shahar maine bhi likha tha.................


                  VO SHAHAR
EK SHAHAR AISA BHI HO JO DIL KI DUNIYA SA HASIN HO
HAR KHUSHI HO ZINDAGI HO ARZUON SE BHARA HO
SAB SUKHI HON HAR GALI ME HAR IK GHAR ME HO KHUSHI
KOI NA BHUKHA HO SOTA KOI NA RANJEEDA HO
SARE BACHCHE KHELATE HON KOI BHI ROTA NA HO
AATI NA HO JIS SHAHAR ME KOI BEEMARI KABHI
BIKATI NA HO CHAND SIKKO ME KOI BECHARI KABHI
SABKO MILTA KAAM HO SABKO HI AARAM HO
AURATON KI GHAR ME PAYAAL GOONJATI HO AAJ BHI
APNE SHOHAR KO SAMAJHATI HON VO SAR KA TAAJ BHI
AISE IK SHAHAR KI TALAASH ME MAIN AZAL SE GHOOMATI
PAANV ME CHHALE HAIN MERE HONTON PE FARYAAD HAI
AAP ME SE KYA KISI KO US SHAHAR KI YAAD HAI
HO AGAR MUJHKO BATAEN KI MAIN CHAL SAKTI NAHI
KHANA BADOSHON KI TARAH KAB TAK PHIRUNGI DOLTI
JAANE KOUN THA MUJHSA PAAGAL JISANE DEKHA THA SHAHAR
AUR USI DEEWANGI ME MUJH SE KAR DAALA ZIKAR
AUR US DIN SE MAIN NIKALIDHOODATI HUN VO SHEHAR
VO JO MUJHKO MIL GAYA TAB HI BANAUNGI MAIN GHAR
VO JO MUJHKO MIL GAYA TAB HI BANAUNGI MAIN GHAR
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #9 on: July 09, 2006, 02:24:04 PM »
Reply with quote
bahut hi khub tabassum ji ........khuda aapki talaash puri kare. ameen!

khudgarzo ki raaho mai,hai bus yahi tamanna-e-dil apni
mil jaye unhe kaamyaabi ya rab,jo talash rahe hai manzil apni.

....................@fahi@........................
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #10 on: July 09, 2006, 02:35:29 PM »
Reply with quote
bahut khoob fahi
bas aisi talaashen hona zaroor chahiye mile ya na milen

duniya ne dukhaen hain dil jitne
sab ko hai talaash ik duniya ki
jahaan dil ko chain qaraar mile
kuchh saanse hon bas rahat ki
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #11 on: July 09, 2006, 03:59:43 PM »
Reply with quote
haan sahi kaha aapne............

besabaar hoker jiski manzil dhoondte hai sabhi
us khusi ki raah to dil se hi suru hoti hai kabhi

...................@fahi@......................
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #12 on: July 09, 2006, 06:33:43 PM »
Reply with quote
bahut khoob faahi

dil ki hon raahaten jahaan vahaan pe ab chalen
ye duniya kuchh pasand nahi aarahi hame
dil ne to chaha gham ham sab ka hi len bas len
de ke gaya har ek naya ek gham hame
sahna hai ab na mushkil ke aadi se ho chuke
jeeta hai sirf jism ham to kabke mar chuke
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #13 on: April 01, 2013, 02:14:37 AM »
Reply with quote
Atee Sundar.
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 07:08:42 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer