Tadap

by avinashkundan on August 23, 2009, 07:25:28 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1108 times)
avinashkundan
Guest
Reply with quote
]Sury main kitna tapan hota hai kisi tapne walon se puchho.
Dil main kitna dard hota hai kisi bichharne walon se puchho.

                      Avinash Kundan 9910089467 / 9540596680
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
TADAP by kajal in Shayri-E-Dard
^^TADAP HAI^^ by yasir_sensitive in Shayri-E-Dard
tadap by Nino in Shayri-E-Dard
Tadap rahi hun main tadap raha hai tu jabse by deepika_divya in Shayri-E-Dard
TADAP TADAP AUR SIRF TADAP by faheem_akayla in Shayri for Khumar -e- Ishq
avinashkundan
Guest
«Reply #1 on: August 23, 2009, 07:30:39 AM »
Reply with quote
Badal bhi kitna khushnashib hai jo dur rahkar bhi dharti ke liye barshte hain.
Aur hum kitna badnashib hai jo pas rahkar bhi milno ko tarashte hain.

 Avinash Kundan 9910089467 / 9540596680
             avinashkundan368@gmail.com
Logged
avinashkundan
Guest
«Reply #2 on: August 23, 2009, 07:32:49 AM »
Reply with quote
Honton ke khilne se banti hai muskurahat,
Mohababat aur aapke sath hone se puri hoti hai saari hasrat.
                   

              Avinash Kundan 9910089467 / 9540596680
Logged
avinashkundan
Guest
«Reply #3 on: August 23, 2009, 07:34:47 AM »
Reply with quote
Dil se nikli hai kuchh aisi aawaz,
Kehti hai humse ki ye hai pyar ka aagaz.
Dil ka hai kuchh apna hi andaz,
Pyar hai itna ki kam pad jayega aakash.

               Avinash Kundan 9910089467 / 9540596680
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #4 on: August 23, 2009, 07:38:27 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Avinash ji,beautiful creation. Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
avinashkundan
Guest
«Reply #5 on: August 23, 2009, 07:38:48 AM »
Reply with quote
Tumse milne ki aarju kiya karu main
Tere wade par kiya aitbar karu main
Shabnam ki badaulat chaman ki jindgi nahi hoti
Beraham hai, Mali se gila kiya karu main
Hamara bhi aagaj tha aashman tak manjil chhoo lene ka
Magar sahil khud hi dub gaya to kiya karu main
Wada kiya tha tujhko bhula dunga main
Apna wada khud bhool gaya to kiya karu main
Khushi ki talash thi “Dost” gam beshumar mile
Jindgi main koi khushi ras nahi aayi to kiya karun main.

Avinash Kundan 9910089467 /9540596680
Logged
avinashkundan
Guest
«Reply #6 on: August 23, 2009, 07:39:38 AM »
Reply with quote
Aap Ne ki Bewaffai
Magar Main Ab bhi Waffa karta hoon
Aap Ne ki Bewaffai
Magar Main Ab bhi Waffa karta hoon
kahi Aankon mein na aajaye aansu
isliye Muskurate rehata hoon.

Avinash Kundan 9910089467/9540596680
Logged
avinashkundan
Guest
«Reply #7 on: August 23, 2009, 07:40:16 AM »
Reply with quote
Bana gaya hai diwana ek shawab tumhara,
Jaga hoon to yad tumhari soya hoon to khwab tumhari.

Apne haathon se yun chehre ko chupate kyun ho,
mujh se sharmate ho toh yun samne aate kyun ho,
Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-vafa,
pyaar karte ho toh phir pyaar chupate kyun ho.

Use Mat Dhoondho Jo Aapke Paas Nahi,
Kya Faida Uske Intezaar Mein Jiski Koi Aas Nahi,
Sirf Ek Baar Halke Se Nazar Utha Ke To Dekho,
Shayad Koi Aapki Ek Jhalak Ke Liye Bekarar Ho.

Jami Kagaj ki ban jaye samander raushnai ka,
Fir bhi jikar na ho paye sanam teri bewafai ka.

Garibi tod deti hai jo rishte khash hote hai,
Paraye bhi apne hote hai jab paise pas hote hai.

Pyar main suda karne ki aadat hai in amiron ki,
Le leti hain jan hum jaise garibon ki.

Saja jo mere name likhi thi wo kisi ki jindgi se judi hui thi,
Usne jo batai raste wo hathkadiyon se bhari hui thi.

Surat na dekhkar kab tak sabar karun ? Aankhe
To band kar lu, iss dil ka kiya karun.

Avinash Kundan 9910089467/9540596680
Logged
avinashkundan
Guest
«Reply #8 on: August 23, 2009, 07:40:40 AM »
Reply with quote
Aankhon main ajab sa surur hai
Chehre pe aapke chand sa nur hai
Jo bhi dekh le nikalta hai muh se
Aap ladki nahi jannat ki hoor hai
Gajab ki sadgi hai aapke under
Na khud pe takwoor na koi gurur hai
Lagta hai ho jayegi thodi der main barish
Julfen unki yaron masti main choor hai
Mana chand kar leta aapke hushn ki barabari
Lekin afsosh usme bhi dag jarur hai
Aapko mera hamsafar bana de eai khuka
Jannat main na di hoor to bhi manjur hai
Khubsurat shay ka “Sanam” har koyi diwana
Main bhi bahka to isme mera kiya kasoor hai.

Avinash Kundan 9910089467/ 9540596680
Logged
avinashkundan
Guest
«Reply #9 on: August 23, 2009, 07:40:58 AM »
Reply with quote
Kisi tarashti hui aankhon ki raushni ho tum
Aakar jo gujre na kabhi aisi kashak ho tum
Har nabj main mahak hai bas teri yadon ki
Tum na samjho par kisi ki jindgi ho tum
Aur kiya mangu main rab se ye sochta hoon akshar
Meri to pahli aur aakhiri dua ho tum
Kubul jo kar lo to inayat ho jaye mujhpar
Ki in larjate huai labo ki har khushi ho tum
Tujhko yad karne ke bahane banata hai ye dil
Kaise samjhaun ki bas ek hansi khwab ho tum
Toot na jaye sanso ki dor yoon hi tere isq main
Ab to “Sanam” mera aakhiri intezar ho tum.

Avinashkundan368@gmail.com
9910089467 / 9540596680
Logged
avinashkundan
Guest
«Reply #10 on: August 23, 2009, 07:41:21 AM »
Reply with quote
Tasvir tu apni rakh le magar
Main teri yaden rakh leta hoon
Meri amanat bhale na ban saki tu, magar
Tere jhuthe wade hi rakh leta hoon
kasam todne ki meri aadat nahi, magar
Ek do pal maykhane thahar leta hoon
Fir aayegi tu meri aahat sunke chhat par
Har ek bar soch kar teri gali se gujar leta hoon
Bhool jata hoon teri bewafai magar
Wafa ki jhuthi duhai rakh leta hoon
Shahnayi tu apni rakh le, magar
Main teri tanhai rakh leta hoon
Khush rahegi tu hamesha yeh sochkar
Sare gam aur ruswai main rakh leta hoon.

Avinashkundan 9910089467 / 9540596680
Logged
avinashkundan
Guest
«Reply #11 on: August 23, 2009, 07:41:41 AM »
Reply with quote
Tera pyar bhi aab mere liye kahar sa hai
Amrit bhi dogi mujhe wo bhi jahar sa hai
Teri ab koi ada nahi lubhati hai mujhe
Teri har ek chal khaufnak manjar sa hai
Jo bhi sama gaya tere pyar ki aagosh main
Chhin gayi jindgi uski kabhi aaya na hosh main
Tujhe pane ki khwahish pal rakhi thi kayi logo ne
Aaj wo har log yahan khamosh sa hai
Na jane aur kitne barbad honge tere nakhron se
Achha hai ab dur rahun tere lafro se.

Avinash kundan 9910089467/9540596680
Logged
avinashkundan
Guest
«Reply #12 on: August 23, 2009, 07:41:54 AM »
Reply with quote
Aap wafa ki baten karke bewafa ho gaye
Wada karke aap hamse gairon ke ho gaye
Chaha tha hamne aapko duniya ko bhulkar
Dil ki har chah khwab bankar bikhar gayi
Dekha jab aapko aaino main sanwar kar
Hoth the khomesh magar aankhon main ashq aa gaye
Chala tha main akela manjil ki talash main
Safar to sahi tha magar karwa badal gaye
Hamne jo banaya ret par khwabon ka mahal
Dar raha tha tufan se badal barash gaye
Yakin nahi ab to apni kishmat ke sitaron par
Aasman se girkar wo bhi bikhar gaye.
Avinash Kundan 9910089467/9540596680
Logged
avinashkundan
Guest
«Reply #13 on: August 23, 2009, 07:42:12 AM »
Reply with quote
daman pe khun o ashk sajane ke liye hai
andaz ye bhi ishq jatane ke liye hai

mauje to humsafar hai,ke maujo.n ka khauf kya
har mauj kinare ko jagane ke liye hai

kiston me jaise hota hai deedar chand ka
betaab vo naqab uthane ke liye hai

ye poochti hai dil ki jalan humse baarhaa
kya aag-e-askh sirf jalane ke liye hai?

betaabi-e- visaal aur shart-e-sabr bhi!!
ye dil fareb rasm nibhane ke liye hai

ghut jaye na ye dum or_rah jaye faisla
kya sach ke liye hai,kya fasane ke liye hai

mujko yakii hai, kaha hai-tune raqeeb se
ke baat ye bus ‘zidd’ ko batane ke liye hai
Avinash Kundan 9910089467
Logged
avinashkundan
Guest
«Reply #14 on: August 23, 2009, 07:42:25 AM »
Reply with quote
Aankhon me unki jab sisakTe huye dekha…
Dhundhla sa kahin apna chehra chupa dekha…

Ikrar-e-mohabbaT chupaaye na chuppe..
Phir bhi ek berang parde ko lehraaTe huye dekha..

Un aankhon me, nami ko sab bayaan karTe dekha..
Dard ko apne daaman me chipaaTe huye dekha..

Na de paaye apna dard woh mujhe kisi bhi haal me..
Phir bhi unke dard ko, apni palkon me uTarTe dekha..

Mere dard se bekhabar woh bhi nahi..
ChuhpTe chupaaTe siskiyon ko unhone bhi dekha…

Avinash kundan 9910089467
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 28, 2024, 11:15:05 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer