woh mere ghar ka kona

by nikki on July 08, 2005, 03:01:27 PM
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 7
ReplyPrint
Author  (Read 8581 times)
Talat
Guest
«Reply #15 on: July 10, 2005, 05:59:24 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob Nikki........ bohot achcha hai..... !!!!!!!!!!

Wo mere ghar ka kona wo mera raazdar
Kabhi bana hai saathi kabhi ghumgusaar
Dekhi hai kabhi usne meri chulbuli hansi
Aur kabhi dekha hai rote hue zaarozaar!!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kuchh andhere mere Ghar Raushni se ho gaye... by sharmaarunkumar in Ghazals
MERE GHAR KE SAAMNE by manoj12021989 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mere dil mein yeh ghar tera hi rahega by Rajesh Harish in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Mere is aakhiri ghar ki....... by Satya.patel in Shayeri for Dard -e- Bewafai
-Aaye They Mere Ghar Mein- by HumTum in Shayri-E-Dard
HumTum
Guest
«Reply #16 on: July 10, 2005, 06:02:31 PM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"
socha na tha zindagi mein aise pal bhi ayenge
jab hum insaano ke sang nahi
apni khidki ke sang waqt bitayenge

khushi milegi mujhe is be-jaan khidki se
main baatein karungi isse
aur isse jawaab bhi mil jayenge


bahoot khoob choti :thumb:  
Logged
nikki
Guest
«Reply #17 on: July 10, 2005, 06:07:59 PM »
Reply with quote
Thanx Talat sis n Humtum

very nice TALAT sis..........beautifull.
Logged
HumTum
Guest
«Reply #18 on: July 10, 2005, 06:12:34 PM »
Reply with quote
Quote from: "Talat"
Bohot Khoob Nikki........ bohot achcha hai..... !!!!!!!!!!

Wo mere ghar ka kona wo mera raazdar
Kabhi bana hai saathi kabhi ghumgusaar
Dekhi hai kabhi usne meri chulbuli hansi
Aur kabhi dekha hai rote hue zaarozaar!!!!


waah talat ji


ghar ki sari nishaniya yaad aati hai mujhey
har ik baat wha ki sari raat rulati hai mujhey
pal bhad ke jha mein itna bda hua
woh sari khaniya yaad aati hai mujhye !!
Logged
nikki
Guest
«Reply #19 on: July 10, 2005, 06:16:25 PM »
Reply with quote
very touching humtum........................................... .....
Logged
Talat
Guest
«Reply #20 on: July 10, 2005, 06:26:43 PM »
Reply with quote
Thanks Nikki and Humtum ..... and very touching Humtum  !!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #21 on: July 10, 2005, 06:35:38 PM »
Reply with quote
thanks Choti !!!!

woh ghar ka angaan woh dalheez mere ghar ki
har pal mujhey mere bacpan ki yaad dhilati hai
woh ghar ke angaan mein lga hua jhuula
woh ped ke patiiyoon ki sarsrhaat ghar ki yaad dilati hai sad5  
Logged
nikki
Guest
«Reply #22 on: July 10, 2005, 08:51:09 PM »
Reply with quote
Very touching n emotional ................Humtum.....

jitne bhi bade ho jaye hum
nahi bhool paate us bachpan ko
jab bhi yaad aati hai ghar ki
uski diwarein,uska aangan
uski chat aur woh khidkiyan
har cheez khayalon mein jinda ho jaati hai
woh ghar hamara, jahan hum pal kar bade hue hain
woh jeevan bhar ka saathi hai
Logged
Talat
Guest
«Reply #23 on: July 12, 2005, 06:29:28 PM »
Reply with quote
Very Nice Nikki.... and Humtum....................... !!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #24 on: July 12, 2005, 06:59:20 PM »
Reply with quote
Yaad aa raha hai mere ghar ka wo aangan
Jahan neem ka wo purana darakht hota tha
Kitni chirhiya baithti theen uski daaliyon par
Wo manzar kitna dil ko khushii deta thaa
Wo din pyaare ab kabhi laut ke na aayenge
Par yaadon me meri ghar ka wo mera kona...
humesha rahega mehekta........................ !!!!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #25 on: July 15, 2005, 06:31:19 AM »
Reply with quote
Thanx Talat sis...........n very nice .............................
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #26 on: July 15, 2005, 05:19:57 PM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"
mere ghar ka sabse khoobsorat kona
woh jahan maine bahut se mausam bitaye hain

jahan aate jaate logon ko dekha hai
unke aane jaane ka waqt bhi abb to yaad hai mujhe

jabb koi bus sadak se hokar guzarti hai
aur koi bahar bhaagta hua nazar aata hai
mujhe bhi kuch pal poorane yaad aate hain
woh guzre zamaane laut aate hain

jabb bhi khud ko akela paati hun
jakar ussi kone mein waqt bitaati hun

issi kone ne mujhe duniya se milaya hai
bahut se aane jaane walon se taruff karwaya hai

jab bhi bache bahar khelne aate hain,shor machaate hain
mujhe bhi wapis mere bachpan mein le jaate hain
woh be.fikr din,woh mum-dad ka pyar
woh naani ki kahaniya...sabb yaad aate hain

yeh kona mere har pal ka saathi hai
issi ke sang rona
issi se khushi bhi mil jaati hai

issi ne baante hain sukh
to bataya hai gum bhi
kabhi main yahan hasti hun
to kabhi ho jaati hai aankh num bhi

abb yeh ghar ka koona meri zindagi ka hissa ban gaya hai
woh na bhoolne wala kissa ban gaya hai
salamat rahe yeh dosti hamaari
mujhe bahut pasand hai yeh meri "KHIDKI" (window) pyaari


wah nikki sis,kya khoob jazbaaton ko pesh kiya hai aapne,lovely Usual Smile.

And tooo good Talat and humtum.
Logged
nikki
Guest
«Reply #27 on: July 23, 2005, 07:06:39 PM »
Reply with quote
Thanx a million Nidhi sis............................
Logged
pradeep_k_in
Guest
«Reply #28 on: August 02, 2005, 08:37:14 AM »
Reply with quote
Es khidki ko tum  Be-jaan na samjhna
Apne es tanhaye ko Apne paas hi rakhna

Ye wo khidki hai jo ruswai me ssath dete hai
Es Be-jaan se khidki ko Apn kadardan hi samjhna

Pradeep

[
Logged
nikki
Guest
«Reply #29 on: August 02, 2005, 06:35:50 PM »
Reply with quote
nice one Pradeep.......................................... ...............................
Logged
Pages: 1 [2] 3 4 5 6 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 07:10:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer