mere ghar ka sabse khoobsorat kona
woh jahan maine bahut se mausam bitaye hain
jahan aate jaate logon ko dekha hai
unke aane jaane ka waqt bhi abb to yaad hai mujhe
jabb koi bus sadak se hokar guzarti hai
aur koi bahar bhaagta hua nazar aata hai
mujhe bhi kuch pal poorane yaad aate hain
woh guzre zamaane laut aate hain
jabb bhi khud ko akela paati hun
jakar ussi kone mein waqt bitaati hun
issi kone ne mujhe duniya se milaya hai
bahut se aane jaane walon se taruff karwaya hai
jab bhi bache bahar khelne aate hain,shor machaate hain
mujhe bhi wapis mere bachpan mein le jaate hain
woh be.fikr din,woh mum-dad ka pyar
woh naani ki kahaniya...sabb yaad aate hain
yeh kona mere har pal ka saathi hai
issi ke sang rona
issi se khushi bhi mil jaati hai
issi ne baante hain sukh
to bataya hai gum bhi
kabhi main yahan hasti hun
to kabhi ho jaati hai aankh num bhi
abb yeh ghar ka koona meri zindagi ka hissa ban gaya hai
woh na bhoolne wala kissa ban gaya hai
salamat rahe yeh dosti hamaari
mujhe bahut pasand hai yeh meri "KHIDKI" (window) pyaari
wah wah niki kya likha hai yaar bejan chiz se dosti
wah wah waise bhi abb jander chize baimaan ho gai hai dosti kerti hai,...
or bhul jate hai dosto ko,...
har darakh har darwaze pe humne tujhe har jagah dhunda ,...
e sukun e zindigi.. magar tu na mili hume kahi,....
ab to aaja yu na tarpa aai sukun e zindigi,.....
kahi aaisa na ho tu aaye tab jab hum aapni sanse chod aye,.....