Zindgi Simat Gai

by drpandey on February 06, 2010, 09:19:49 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1135 times)
drpandey
Guest
Reply with quote
Pairahan mein khwab ke zindgi simat gai,
Dekhte hi dekhte maut se lipat gai.
===========================
Ab koi gila nahin gham nahin sitam nahin,
Dekhne ke vaaste ab koi bharam nahin,
Ek faqeer kah gaya aaj mujhse raah mein,
Ab wazOd aa gaya hai wakt ki panah mein,
RotiyoN ki aas mein ek nigaah thak gai,
Pairhan mein khwab ke zindgi simat gai!

Fir koi thahar gaya bhookh aur pyas se,
Koi saans tham gai bin dava ilaaj ke,
Rooh fir tadap gai aatishi mizaj se,
Puchhta hai kaun yahaN aadmi ka haal kya,
Baaji apni ban gai aur gair ki palat gai,
Pairahan mein khwab ke zindgi simat gai!
============================
Dr HP Pandey
Allahabad
 


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
woh jo simat kar......... by ranjana in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 18 19 »
{Be-Simat Tha Safar} by angel4u in Shayri-E-Dard
pyar simat aaya hai....... by yati_om in Ghazals
SIMAT RAHA HAI by mohsin akhter in Shayri-E-Dard
Khud mai simat gaya by Pooja in Shayri-E-Dard
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #1 on: February 07, 2010, 04:26:33 PM »
Reply with quote
Bahut Hi Sunder Likha Hai Pandey Ji Aapne Padhkar Mann Pulkit Ho Gya
Logged
drpandey
Guest
«Reply #2 on: February 07, 2010, 06:43:13 PM »
Reply with quote

bahut khoob
bahut dil laga ke likha hai aapne Pandey ji
bahut ache ehsaas kalam ko bakshen, Applause Applause Applause Applause
yun hi likhte rahiye
Dhanybaad @Kaash ji aapki himmatafzai milti rahi to koshish karta rahunga
Logged
drpandey
Guest
«Reply #3 on: February 07, 2010, 06:49:27 PM »
Reply with quote
Bahut Hi Sunder Likha Hai Pandey Ji Aapne Padhkar Mann Pulkit Ho Gya
Rishi bhai agar aapki duvayen milti rahin to aapko pulkit karne ki koshish karta rahunga.Bahut bahut dhanybaad
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #4 on: February 08, 2010, 09:11:40 AM »
Reply with quote
Wah wah Pandey sahab kya hi khoobsurat nazm likhi hai aapne. Aapke paas to lagta hai ek se badhkar ek rachnayen hain jo dheere dheere nikal kar awaam ke beech aa rahi hain.
Logged
drpandey
Guest
«Reply #5 on: February 08, 2010, 09:50:33 AM »
Reply with quote
Wah wah Pandey sahab kya hi khoobsurat nazm likhi hai aapne. Aapke paas to lagta hai ek se badhkar ek rachnayen hain jo dheere dheere nikal kar awaam ke beech aa rahi hain.

Riyaj Sahab azhad sukriya ki aapko nazm pasand aai, vaastav mein jab Science ki pechidgi rooh ko thaka deti hai aur sochta hun ki ye kya ho raha hai? to thought se kuchh alfaaz nikal kar aa jate hain unheN hi likh leta hun, Vo kya hote hain mujhe maloom nahin. Aap logoN ki posts padhkar kuchh sikhne ki koshish karta rahta hun.
Regards....
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #6 on: February 09, 2010, 07:32:28 AM »
Reply with quote
Wah bahut khoob Pandey ji.really touching,great creation.
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: February 10, 2010, 10:13:23 PM »
Reply with quote
Pairahan mein khwab ke zindgi simat gai,
Dekhte hi dekhte maut se lipat gai.
===========================
Ab koi gila nahin gham nahin sitam nahin,
Dekhne ke vaaste ab koi bharam nahin,
Ek faqeer kah gaya aaj mujhse raah mein,
Ab wazOd aa gaya hai wakt ki panah mein,
RotiyoN ki aas mein ek nigaah thak gai,
Pairhan mein khwab ke zindgi simat gai!

Fir koi thahar gaya bhookh aur pyas se,
Koi saans tham gai bin dava ilaaj ke,
Rooh fir tadap gai aatishi mizaj se,
Puchhta hai kaun yahaN aadmi ka haal kya,
Baaji apni ban gai aur gair ki palat gai,
Pairahan mein khwab ke zindgi simat gai!
============================
Dr HP Pandey
Allahabad
 




Very nice creation Dr. Pandey
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 28, 2024, 01:00:23 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.132 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer