KASHMEER

by NETRAPAL on July 15, 2008, 12:03:15 PM
Pages: [1] 2 3 4
Print
Author  (Read 3086 times)
NETRAPAL
Guest
Kaisee ye aag sulag rahee hai
Hindutaan kee jannat jal rahee hai
Lagee ye kaise aag aaj ghatee me
N maloom kiskee insaaniyta jal rahee hai

Dikh rhaa hai dhuaan sa udtaa hooa kahi
Jal utha wo pyaaraa sa kashmeer to nahi
Dekha jo manjar tabaahee kaa hamne
ruk gayee saans wahee ki wahee

Ek gaj jamee tak nahi de sake wo
Hindustaa ke raham pe jee rahe hai jo
Sar pe liye haath dushamno ka apne
Dag sarjamee  pe laga rahe hai wo

Kahsmeer pe hamne khoye veer kayee
Aayaa the cheen bhee kahkar hame bhayee
Kee thee koshish  deshman ne kair bar
Har baar usne magar muh kee hee kayee

Ghush ayaa hai dushamn chup kar yahaa
Batwaare kai sailaab lyaa hai yhaaa

Ham ab gumrah ho rahe hai
Apne hee bayee se ham lad rahe hai
Kah laataa  thaa shaan hindustaan kee jo
Apnee jannt ko ham hee jalaa rhea hai..



Netra…..
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #1 on: July 15, 2008, 12:13:49 PM »
x?x?x?
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #2 on: July 15, 2008, 12:24:39 PM »
NETRAPAL Ji,
Aap kaa dard samajh saktaa hoon:
Naheen hai aisee kaheen aazaadee,
Jaisee is mulk mein milee hai hamain!!
Chaahtey hain jo sirf barbaadee:
Kaisey insaan hain, khudaa jaaney?
Jo apney ghar ko khud jalaatey hain:
Woh ho chukey hain zulm key aadee!
                     - abd bundeli  
Logged
syednaami
Guest
«Reply #3 on: July 15, 2008, 02:08:10 PM »
Quote from: netrapal
Kahsmeer pe hamne khoye veer kayee
Aayaa the cheen bhee kahkar hame bhayee
Kee thee koshish  deshman ne kair bar
Har baar usne magar muh kee hee kayee

Yun to saari nazm samajh men aayi,,, bas oopar wali lines ko zara dobara samjhaden to mahirbani hogi...

buhat naazuk vishay par likha hai,,, aur aisa kyun ho raha hai is ka bhi ilm hai...
Bas dua karenge Allah taala se ki haalat puraman ho jaayen...


x?x?x?

?? kuchh savaal karna tha Raza bhai aapko...

NETRAPAL Ji,
Aap kaa dard samajh saktaa hoon:
Naheen hai aisee kaheen aazaadee,
Jaisee is mulk mein milee hai hamain!!
Chaahtey hain jo sirf barbaadee:
Kaisey insaan hain, khudaa jaaney?
Jo apney ghar ko khud jalaatey hain:
Woh ho chukey hain zulm key aadee!
                     - abd bundeli 

Par sochne ki baat yeh hai ki,,,
Faaida kisko ho raha hai...? Bas wohi pas-e-parda kal bhi lada ke chal diya aur aaj bhi kisi aur roop men aag laga raha hai...
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #4 on: July 15, 2008, 02:20:45 PM »
Kaisee ye aag sulag rahee hai
Hindutaan kee jannat jal rahee hai
Lagee ye kaise aag aaj ghatee me
N maloom kiskee insaaniyta jal rahee hai

Dikh rhaa hai dhuaan sa udtaa hooa kahi
Jal utha wo pyaaraa sa kashmeer to nahi
Dekha jo manjar tabaahee kaa hamne
ruk gayee saans wahee ki wahee

Ek gaj jamee tak nahi de sake wo
Hindustaa ke raham pe jee rahe hai jo
Sar pe liye haath dushamno ka apne
Dag sarjamee  pe laga rahe hai wo

Kahsmeer pe hamne khoye veer kayee
Aayaa the cheen bhee kahkar hame bhayee
Kee thee koshish  deshman ne kair bar
Har baar usne magar muh kee hee kayee

Ghush ayaa hai dushamn chup kar yahaa
Batwaare kai sailaab lyaa hai yhaaa

Ham ab gumrah ho rahe hai
Apne hee bayee se ham lad rahe hai
Kah laataa  thaa shaan hindustaan kee jo
Apnee jannt ko ham hee jalaa rhea hai..




Netra…..


Bahut khoob Netra... Applause

Last para mein aapne woh sachhai keh di, jisey jaante shayad sabhi hai, magar maan.na nahin chahte..

Likhte rahiyega..  Thumbs UP



Logged
Shikha12
Guest
«Reply #5 on: July 15, 2008, 02:22:55 PM »
NETRAPAL Ji,
Aap kaa dard samajh saktaa hoon:
Naheen hai aisee kaheen aazaadee,
Jaisee is mulk mein milee hai hamain!!
Chaahtey hain jo sirf barbaadee:
Kaisey insaan hain, khudaa jaaney?
Jo apney ghar ko khud jalaatey hain:
Woh ho chukey hain zulm key aadee!
                     - abd bundeli 


Bahut sahi baat kahi aapne.. Abd ji..
Aur bahut khoob andaaz mein kahi.. Applause
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #6 on: July 15, 2008, 03:49:21 PM »
Quote
Kaisee ye aag sulag rahee hai
Hindutaan kee jannat jal rahee hai
Lagee ye kaise aag aaj ghatee me
N maloom kiskee insaaniyta jal rahee hai

Bahut sahi likha hai aapne. Accha laga padkar. But dil main dard bi hua ke hamare desh main kayi saalon se uneasyness hai... aur aaj bi hai.
kisi ko chain nahi wahan aur aram nahi ... Jannat narak si bante nazar
aa raha hai. sad5
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #7 on: July 16, 2008, 06:33:28 AM »
aap sab ka bahoot bahoot dhanaywaad reply ke liye or ise padhne ke liye
x?x?x? kis liye hai mujhe maloom nahi.

netrapal...
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #8 on: July 16, 2008, 06:38:00 AM »

Yun to saari nazm samajh men aayi,,, bas oopar wali lines ko zara dobara samjhaden to mahirbani hogi...

buhat naazuk vishay par likha hai,,, aur aisa kyun ho raha hai is ka bhi ilm hai...
Bas dua karenge Allah taala se ki haalat puraman ho jaayen...


?? kuchh savaal karna tha Raza bhai aapko...

Par sochne ki baat yeh hai ki,,,
Faaida kisko ho raha hai...? Bas wohi pas-e-parda kal bhi lada ke chal diya aur aaj bhi kisi aur roop men aag laga raha hai...


sir jee maine jo chaha to wo shayad mai pooree tarah se likh nahi pyaa mai to yahee kahan chahataa hoo kee kashmeer kee parvarish ke liye hamne kya nahi khoyaa or kya nahi kho rahe hai fir bhee kashmeer ko ham apnaa kyo nahi kah sakte.....yaha bas nahi sakte...ho saktaa hai mai galat hoo par maine apnaa khyaal kah diyaa..
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #9 on: July 16, 2008, 06:50:30 AM »
Netra

Ek baar phir se aap ka krantikari kalam Applause Applause Applause

Abd bhai ne bhi bahut achcha reply diya hai Applause Applause Applause

Keep going Thumbs UP
Logged
syednaami
Guest
«Reply #10 on: July 16, 2008, 06:54:51 AM »
sir jee maine jo chaha to wo shayad mai pooree tarah se likh nahi pyaa mai to yahee kahan chahataa hoo kee kashmeer kee parvarish ke liye hamne kya nahi khoyaa or kya nahi kho rahe hai fir bhee kashmeer ko ham apnaa kyo nahi kah sakte.....yaha bas nahi sakte...ho saktaa hai mai galat hoo par maine apnaa khyaal kah diyaa..

Netra Saahib,,,
Aap ke khayaalaat bilkul sach ki aqaasi karte hain... Aur hum samajhte hain ki batwara bilkul sahih nahin tha...
Jis ki misaal aap Bangladesh se le sakte hain...
Jo kabhi Hindustan tha phir Pakistan bana aur baad men Bangladesh...
Bas ab man yahi dua karta hai ki hamara khita ek Sub-continent ban kar rahe na ke ek doosre ke padosi ho kar bhi tukdon par ladte rahe...

China ne kya bahtareen qadam utthaya jo ilaaqa kai baras se uske paas tha woh India ko lota diya.

Par massaail to hain par unka hal agar pura South Aisa mil kar hal kare to kuchh dinon men bhi hal ho sakta hai... Magar Aisa karne se kon beech men aa raha hai... aap ko bhi maloom hai shayad...

Shukriya...
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #11 on: July 16, 2008, 08:58:27 AM »
Netra

Ek baar phir se aap ka krantikari kalam Applause Applause Applause

Abd bhai ne bhi bahut achcha reply diya hai Applause Applause Applause

Keep going Thumbs UP

thanks rajbir ji....

Netra....
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #12 on: July 16, 2008, 09:00:21 AM »
Netra Saahib,,,
Aap ke khayaalaat bilkul sach ki aqaasi karte hain... Aur hum samajhte hain ki batwara bilkul sahih nahin tha...
Jis ki misaal aap Bangladesh se le sakte hain...
Jo kabhi Hindustan tha phir Pakistan bana aur baad men Bangladesh...
Bas ab man yahi dua karta hai ki hamara khita ek Sub-continent ban kar rahe na ke ek doosre ke padosi ho kar bhi tukdon par ladte rahe...

China ne kya bahtareen qadam utthaya jo ilaaqa kai baras se uske paas tha woh India ko lota diya.

Par massaail to hain par unka hal agar pura South Aisa mil kar hal kare to kuchh dinon men bhi hal ho sakta hai... Magar Aisa karne se kon beech men aa raha hai... aap ko bhi maloom hai shayad...

Shukriya...


mai  bhee aapke ray se ittefaaq rakhtaa hoo sir jee aapne bilkul sahee farmayaa....

netra...
Logged
punam
Guest
«Reply #13 on: July 16, 2008, 09:20:02 AM »
Netra ji bahut khoob...
bahut hi acha likha hai ...yun likhte raho...
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #14 on: July 16, 2008, 09:50:20 AM »
Netra ji bahut khoob...
bahut hi acha likha hai ...yun likhte raho...



thanks poonam ji.......

netra...
Logged
Pages: [1] 2 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 02, 2024, 05:37:21 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer