Muhammad Shah Rangeela, Mughal Emperor

by khalidrawat on December 14, 2007, 09:11:22 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 10485 times)
khalidrawat
Guest
Batarz-e-shah-e-gadayaa.N tha shah rangeela
Watan tha kocha-e-rindaa.N tha shah rangeela

khizaa.N se sarf-e-nazar is liye hua mumkin
The khalq mast-e-baharaa.N tha shah rangeela

Kaho na kaam faqat mai' kashi se tha usko
bawajh-e-masti-e-irfaa.N tha shah rangeela

Lahoo se dast-e-hawas ke miyaan-e-dast-o-chaman
barang-e-nook-e-mughilaa.N tha shah rangeela

lahoo se khalq ke daman na ker saka rangee.N
misaal-e-zakhm-e-shahidaa.N tha shah rangeela

shaoor-e-safha-e-ulfat se khalq thi rangee.N
Bawajhe shookhi-e-unwaa.N tha shah rangeela

Kabhi tha dhoop kabhi chaaoo.N tu kabhi sawan
Barang-e-rooz-e-baharaa.N tha shah rangeela

diyar-e-hind ki tareek shab ke seene mai.N
misaal-e-bazm-e-charaghaa.N tha shah rangeela


bata de mujh ko aye tareekha ke yahaa.N mashhoor
siyaah kiyoo.N he ager waa.N tha shah rangeela


Utaar phenka sar-e-aam parda-e-mehmil
The khalq deed ki khahaa.N ,tha shah rangeela

Aseer-e-zulf the sab loog door mai.N uske
Watan tha kocha-e-janaa.N , tha shah rangeela

Kiya khiraaj ada koh-e-noor heray sey
Baha-e-khoo.N se guraizaa.N tha shah rangeela

Words and Meaning:
Batarz: In the manner of
Gadaya.N: Begger
Shah: King
Kocha: Muhalla
Rinda.N : Aazaad loog, masti wale loog
Sarf-e-nazar; Avoidance, to avoide
Mast-e-baharaa.N: jo loog bahar (spring) ki khushi mai.N mas hoo.N
Bawajhe: Due to the reason, is wajah se
Irfaa.N: Gayaan, knowledge
Lahoo: blood
Dast-e-hawas: The hand of greed, Laalach ka haath,
Mayan-e-dast-o-chaman: between the garden and the hand that is raised to pluck the flower of India
Barang: Ki tarah, in the likeness
Nook-e-mughilaa.N: Kante ki nook, point of a thorn
Khalq: People, loog, awaam
Zakhm-e-shahidaa.N: Wound of a martyr, shaheed ka zakham






A poem by Khalid Jamil Rawat
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #1 on: December 17, 2007, 12:46:53 PM »
Bahoot Hi Accha Likha Hai aapne.
magar Iske Wordings Thode Kateen Hain,.
Logged
khalidrawat
Guest
«Reply #2 on: December 18, 2007, 10:36:38 AM »
thank you for your appreciation sir,
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #3 on: December 18, 2007, 10:38:27 AM »
Nice Work Khalid Ji
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: December 22, 2007, 02:42:45 PM »
thank you for your appreciation sir,

Dont Call Me Sir Ji,.
Iam Not So Young To be Called So,.
Thank U,.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: January 14, 2008, 06:47:51 PM »
Nice sharing khalidrawat ji!!
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 12:45:27 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.253 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer