Salaam-e-Muhammad ........meri adna koshish.........abulasad

by Abul Asad on February 21, 2014, 02:11:22 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1104 times)
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 8 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
Reply with quote
Main apne aapko is qabil bhi nahi samajhta ke main us azeem hasti ke shaan men kuch keh sakon Bas ye sirf mere dil ki kuch dhadkanen hain, mere aqa ke naam mere pyaare nabi ke naam. Allah issey khubol kare.


Ya Nabi-e-Khuda Salaamun Alaik
Ya Habeeb-e-Khuda Salaamun Alaik
Ya Rasul-e-Khuda Salaamun Alaik
Ya Ameerul ambiya Salaamun Alaik
Ya Khatam-un nabi Salaamun Alaik
Ya Raushan-e-janhaan Salaamun Alaik

Ho Salaam tum par hai ye hukum-e-khuda
Hazaron fariste jis par bheje durud-o-salaam

Ya Rahmat-ul Alameen Salaamun Alaik
Ya Husn-e kalaam Salaamun Alaik
Ya Daafa-e-kufr Salaamun Alaik
Ya Husn-e-jamal Salaamun Alaik

Tarse har momin ke deed Jalwa Mubarak ho naseeb
Khwaish har momin ki ke ho ziarat-e-madina naseeb


Ya Arzu-e-momin Salaamun Alaik
Ya shaan-e-madina Salaamun Alaik
Ya Chiragh-e-khuda Salaamun Alaik
Ya Tassavur-e-niyaaz Salaamun Alaik


Ya Mustafa Ya Murtaza Salaamun Alaik
Ya ghulamon ka dil Salaamun Alaik
Ya nabi-e-khuda Salaamun Alaik
Ya Habeeb-e-Khuda Salaamun Alaik


Abulasad

Agar koi ghalati ho to main aapki islah ka talabgar rahonga




Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
adna se hain hum by mohsin akhter in Shairy-E-Watan « 1 2  All »
Muhammad Shah Rangeela, Mughal Emperor by khalidrawat in Shairy-E-Watan
Naat is a poetry that praises prophet Muhammad by @kaash in Poetry Knowledge & Lessons exclusively for Yoindians.
mai adna bhikari thahra !!! by sarfira in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
sir muhammad iqbaal by pritam tripathi in Urdu Poets
jeet jainam
Khaas Shayar
**

Rau: 237
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
60 days, 12 hours and 13 minutes.

my rule no type no life and ,i m happy single

Posts: 10150
Member Since: Dec 2012


View Profile WWW
«Reply #1 on: February 21, 2014, 02:30:34 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause
Logged
shara63
Guest
«Reply #2 on: February 21, 2014, 02:39:01 PM »
Reply with quote
Salamum Alaik, Salamun Alaik... Sallaho-Alaih-e-Wasallam!...Pyare Rasool (SAW) ka naam, Unpar salaam bas yehi to hai maqfirat ka waseela ...khuda kare ke hum sabko unki shafaat haasil ho..Aameen!
Bahut achha kalaam hai....bahut bahut mubaarak aapke jazbe ko Abulasad sahab...bus isko zinda rakhiye!
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 8 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #3 on: February 21, 2014, 03:27:41 PM »
Reply with quote
Salamum Alaik, Salamun Alaik... Sallaho-Alaih-e-Wasallam!...Pyare Rasool (SAW) ka naam, Unpar salaam bas yehi to hai maqfirat ka waseela ...khuda kare ke hum sabko unki shafaat haasil ho..Aameen!
Bahut achha kalaam hai....bahut bahut mubaarak aapke jazbe ko Abulasad sahab...bus isko zinda rakhiye!


Shukriya Shara ji,

Bahut bahut shukriya, bas koshishen yehi hain, keh yeh zinda rahe.

Dua goo
Abulasad
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #4 on: February 21, 2014, 04:22:37 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #5 on: February 21, 2014, 05:55:51 PM »
Reply with quote
Marhaba Abul Asad saheb . Us azeem hasti ka adab ke sath zikr aur madah yahi Allah ko marghoob hai. Allah khud jispar Salaam bhejta hai , us ko salaam pesh karne ki sa'adat hamein naseeb ho is se barh kar kya ho sakta hai . Aap ne bahut khubsurat salaam pesh kiya hai , insha AllAah bargaah e Rasool(s.a.w)mein zuroor qubool hoga. Allah aapko jazaai khair de aur is salaam ko Rasool e Paak ki shafa'at ka zariya banaaye . Ameen, Aur bahut duaaein.
Logged
Abul Asad
Maqbool Shayar
****

Rau: 3
Offline Offline

Waqt Bitaya:
7 days, 8 minutes.
Posts: 773
Member Since: Dec 2011


View Profile
«Reply #6 on: February 21, 2014, 10:56:11 PM »
Reply with quote
Marhaba Abul Asad saheb . Us azeem hasti ka adab ke sath zikr aur madah yahi Allah ko marghoob hai. Allah khud jispar Salaam bhejta hai , us ko salaam pesh karne ki sa'adat hamein naseeb ho is se barh kar kya ho sakta hai . Aap ne bahut khubsurat salaam pesh kiya hai , insha AllAah bargaah e Rasool(s.a.w)mein zuroor qubool hoga. Allah aapko jazaai khair de aur is salaam ko Rasool e Paak ki shafa'at ka zariya banaaye . Ameen, Aur bahut duaaein.

Hasan bhai, bahut bahut shukriya, iss dilli daad ko dil se tasleem karta hoon, aur behad mashkur rahonga aapka, aur aapke inte khubsurat alfazon ka. Allah aapki dua qubool kare aur ham sabko akhirat men Rasul-e-pak ki shifat naseeb kare. Allah aapki dua ham sab ke haq men qubool kare. Ameen.
Dua goo
Abulasad
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 3 hours and 24 minutes.
Posts: 14552
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #7 on: February 23, 2014, 10:41:56 AM »
Reply with quote
very nice
Logged
aqsh
Guest
«Reply #8 on: February 24, 2014, 09:41:57 PM »
Reply with quote
 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

Bas yehi kahoongi ke Allah aapko jazaye khair se nawaaze aur huzoor ki haazri baar baar naseeb kare aur qayamat ke roz huzoor ki shifa'ath naseeb kare... Allahhumma Aameen...
Logged
account
Guest
«Reply #9 on: February 25, 2014, 02:05:03 PM »
Reply with quote
Allah aapko jazaye khair se nawaaze aur huzoor ki haazri baar baar naseeb kare aur qayamat ke roz huzoor ki shifa'ath naseeb kare... Allahhumma Aameen...
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 03:47:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer