Sheede-Watan

by NETRAPAL on June 08, 2007, 08:17:00 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 2698 times)
NETRAPAL
Guest
Kyo macha kolahal kurundan ka
Kya ho gya hai aaj achanak yaha
Intjaar hai kiska aanhko me sabke
Kya ayega koi  albela aaj yaha

Sab taraf machee gayee bhagdad see
Ayaa hai koi aaj mahan yaha
Fir kyo bahaatee hai ansoo ankhe,
Kya fir ayaa hai koi saheede-watan  yaha

Teernage me  lipta saye me bandooko ke
Khoon se laal sabj kapado me
Baha kar khoon dushmano ka,
Ayaa hai kurbaan hokar yaha

Soonee ankho se taktee hai maa
Foola hai seena garv se uska, par
Bahati hai mamta ke ansoo wo yaha

Roti bilaktee hai bahana  jiskee
Roshan kare gi kalayee wo ab kiskee
bhai jo sakha(dost)  bhee tha bachpan ka
wo aya hai hokar saheede-watan hokar yaha

Kon bantega dard iss gareeb ka ab
Ghere khade hai log sab jise
Gam bhoot hai seene me aaj use
Par dikhaye wo gam apnaa kise

Lo chal pada wo antim path par
Sawar ho kar ek foji,  kandho par
Jinda baad ke naro se gunjta hai asmaa
Joshe-jindgee ka aaj bandh gaya hai sama

Goonj uutha hai aasma salame-bandooko se
Jhuk gaye hai sir jamee pe nam huyee ankho se
De rahe hai rahnuma bhee vidaaye use foolo se
AAj ek or judgaya hai nam bhart ma ke saheedo se

Netra….




Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
WATAN-E-ISHQ........ by Gaurang in Shairy-E-Watan
salaam-e-watan by zindagi_kal_ho_na_ho in Shairy-E-Watan
Watan ke waaste !! by Ricky in Shairy-E-Watan « 1 2  All »
hum watan by Rajeev_bekhudi in Shairy-E-Watan
AEY PAK WATAN by ekshayar81 in Shairy-E-Watan
Rajbir
Guest
«Reply #1 on: June 08, 2007, 08:39:18 AM »
Netra

Full of patriotic feelings bro ! =D> =D> =D>

I salute these heros, and their mothers who gave birth to such brave heros.

Un behno ke hum sab bhai hai, jinhone apne bhai sada ke liye humari azaadi ke liye khoye hain.

Hats off to poets like you also, who make us realize the sacrifices these men in uniform do for us to live freely.

Jai Hind !
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #2 on: June 08, 2007, 01:22:09 PM »
Quote from: "Rajbir"
Netra

Full of patriotic feelings bro ! =D> =D> =D>

I salute these heros, and their mothers who gave birth to such brave heros.

Un behno ke hum sab bhai hai, jinhone apne bhai sada ke liye humari azaadi ke liye khoye hain.

Hats off to poets like you also, who make us realize the sacrifices these men in uniform do for us to live freely.

Jai Hind !


thanks rajbir bhai

netra...
Logged
Roja
Guest
«Reply #3 on: June 10, 2007, 03:44:24 AM »
Fantastic Netra  =D>  =D>
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #4 on: June 10, 2007, 05:34:49 AM »
jal uthee hai chita fir nojawan kee
god ho gyai hai veera fir ek mahan kee

jhuk gya hai tirgna aaj fir samman se
chalak padi hai ankhe aaj fir hindustan kee

nahi ruka hai nahi rukega silsila ye sahido ka
aaj judega nam fir desh me ek or saheed  kaa

kya milega kya milta hai inkee maa or bahano ko
aaj hajar haath hai sar pan unke, kal hai fake dane dane ko

huyee ghoshan kayee lakho kee, keval kore kagaj par
khatm hojatee hai jama punjee, kuch hajar hee pane par

kon kahega maa usko, bahan n koi kah payege
nochenge wo hee unko  or rahanuman bhee kahlayenge

cont..........

netra.......








Logged
Rajbir
Guest
«Reply #5 on: June 10, 2007, 07:33:29 AM »
Netra

Ek baar phir bilkul sahi kaha bro ! =D>

Shabash =D>

Keep going !  :arrow:
Logged
punam
Guest
«Reply #6 on: June 10, 2007, 08:09:10 AM »
Bahot khoob netra ji...
tareef jitne bhi karo kaam hai...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: June 10, 2007, 08:10:35 AM »
wah wah wah Netra ji, kamal ka likha hai apne.. bahoot khoob, shabad nahi hai apki rachna ki parshnsa ke liye... bahoot hi acha likha hai apne... good work!!
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #8 on: June 11, 2007, 04:22:02 AM »
very very thanks to rajbir bhai , roja, punam ji, pooja ji

netra....
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #9 on: June 11, 2007, 06:28:33 AM »
Lo bhar ayee ankhe uskee
kai janmo see sathee thee jiskee

huyee veeran duniya ab uskee
nahi maloom aarjoo hai ab kiskee

sas sasur kee jimme daaree
is samaj se fir bhee wo haree

aaj bhoot hai chahne wale bhee
daulta use mili hai bahoot abhi

cont...

netra....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: June 18, 2007, 02:21:48 PM »
Bahoot Khoob Netra Bhai,,.
KamaalKa Likha Hai Yaar Aapne..
Dil Ko Chuu Gayi Har Line Aapki,..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: June 20, 2007, 04:31:42 AM »
Very nice Netra ji and Jaansheen
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #12 on: June 23, 2007, 07:21:54 AM »
thanks pooja ji and jansheenji

kon nahi chahta ho kurban ish deh par
kushkismat hee hote hai kurbaan desh ki aan par

dhanya hai wo god jo poot aise jantee hai
ho khar shadeed desh par karj kokh kaa chukatee hai

dhayny hai bahana wo jo bhai apnaa khoti hai
par ek bhai ko khar we kinto kee laj bachatee hai

hai tamanna mere bhee kaal ke gal me jab samaoo mai
arthi meri bhee uthe jab  desh ka maan badhoo mai

netra...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: June 23, 2007, 08:57:30 AM »
nice netra ji
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #14 on: June 24, 2007, 03:45:36 AM »
jajbaa gar hai seene me, ham desh bhakt kahalyenge
lakh kafa ho gar dushman bhee nako chane chabyenge

veero bhari hai dhara hamari, matrr bhoome ye kahati hai
laj bacha do meri tum baccho, bharat maa ye kahati hai

anckh mundegi god me meri, aanchal me apna dalungi
beechudoge tum ek maa se, god tumhe mai lelungee

dushman hai sir par aaj tumaree maa bhee hai sankat me
josh jagao apne andar, kat sar rakh uska, maa ke too kadmo me

gar bcha to hoga uncha sir tera, mar kar saheed ban jayega
gatha gunjegee chahoo disha me amar saheed ban jayega

netra,,,,,
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 12, 2024, 03:46:19 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.192 seconds with 27 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer