Ghazal............s

by nikss on November 26, 2013, 10:37:14 PM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 1453 times)
nikss
Guest
«Reply #15 on: November 28, 2013, 12:52:46 AM »
Reply with quote



WO JHOOT BOLE GA OR LA-JWB KRDEGA

Quba-e-jism k hr taar se guzrta hua
Kiran ka pyar mujhe aftab krdega

Me sch kahngi mgr phr b haar jaongi
Wo jhoot bole ga or la-jwb krdega

Ana-parast hy itna k bat se pehle
Wo uth k bnd meri hr kitab krdega

Meri trha se koi hy jo zindgy apni
Tumari yad k naam intesab krdega
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
a ghazal by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq
ghazal by roomaharis in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Ghazal by Pooja in Ghazals
ghazal by Faisal Husain in Ghazals
ghazal mein unka zikar * ghazal * by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
nikss
Guest
«Reply #16 on: November 28, 2013, 12:53:39 AM »
Reply with quote


Kisi ke kam na aaye wo zindagi kya hai,
Adab jisme na ho shamil wo bandagi kya hai !

Mahaj tarkon se dalilon sey bat banti nahi,
Wazan jisme na shagufta wo bat hi kya hai !

Unche mahalon me guzar karte hai jehan roshan,
WO kya samjhege muflishon ki muflishi kya hai !

Sukhe adhnange badan fakon ko majboor hai Jo,
Gaor se socho jara e bhi zindagi kya hai !

Mauj masti ko honge dost hajaron lekin,
Bure din me na aaye kam wo dosti kya hai !

Kare Jo darj apana nam nahi safahon me,
Makam jiska martaba na wo hasti kya hai !

Aman aur chain shakun ka jaha na dera ho,
Basera khaak hai “Saqi” wo basti kya hai !!
Logged
nikss
Guest
«Reply #17 on: November 28, 2013, 12:54:16 AM »
Reply with quote



Jo mausam beet jata hai dobara kyon nahin ata
kahin se laut ker bachpan hamara kyon nahin ata

yahan anay ko to har din kissi ke saath ata hai
jesay is dil ne reh reh kar pukara kyon nahin ata

who jis ki lo mohabbat ki jabeen ka istara thi
to phir rastay mai hamary wo roshan sitara kyon nahin ata

bohat heart hai ab bagon mein jab kalian chataktin hain
hamary dehyan mein lehja tumhara kyon nahin ata

kabhi phelay hoay pairon se jab kirnein jhalakty hain
tasawur main un ankhoon ka ishara kyon nahin ata

bhatakta phir raha hoon din ke is weran jangal mein
mehakti sham ka rangeen kinara kyon nahin ata
Logged
nikss
Guest
«Reply #18 on: November 28, 2013, 10:49:43 PM »
Reply with quote



Us Bewafa se kehna ik yaar tha Tumhara.

Tum Zindagi thay uski wo pyar tha Tmhara.

kehte the Tum Mujhe ye main Jaan hn Tumhari.

Tum Chandni ho meri Main Chand hn Tumhara.

Hum sath hi Jeeyen ge. Hum sath hi Marain ge.

Tujhe yaad bhi hai Humdam Wada tha ye Tumhara.

Tum chor gaye Mujh ko. Dharkan me Tum basay ho.

Ye Dil dharakta hai to leta hai naam Tumhara.
Logged
suman59
Guest
«Reply #19 on: November 30, 2013, 06:18:49 PM »
Reply with quote



WO JHOOT BOLE GA OR LA-JWB KRDEGA

Quba-e-jism k hr taar se guzrta hua
Kiran ka pyar mujhe aftab krdega

Me sch kahngi mgr phr b haar jaongi
Wo jhoot bole ga or la-jwb krdega

Ana-parast hy itna k bat se pehle
Wo uth k bnd meri hr kitab krdega

Meri trha se koi hy jo zindgy apni
Tumari yad k naam intesab krdega


wah wah bahut umda ghazal. daad Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
nikss
Guest
«Reply #20 on: December 05, 2013, 12:00:55 AM »
Reply with quote
Ya Rab Gham-E-Hijraan Mein, Itna Tu Kiya Hota   
Ya Rab Gham-E-Hijraan Mein, Itna Tu Kiya Hota
Jo Haath Jiger Per Hai, Woh Dast-E-Dua Hota

Ik Ishq Ka Gham Afat Aur Uss Oe Yeh Dil Afat
Yan Gham Na Diya Hota, Yan Dil Na Diya Hota

Nakaam Tammana,Dil Iss Soch Mein Rehta Hai
Yun Hota Tu Kya Hota, Yun Hota Tu Kya Hota?

Logged
nikss
Guest
«Reply #21 on: December 05, 2013, 12:02:06 AM »
Reply with quote



Ya mujhe afsar-e-shaha na banaya hota
ya mera taj gadaya na banaya hota

khaksaari ke liye garche banaya tha mujhe
kaash khak-e-dar-e-janan na banaya hota

nasha-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko
umr ka tang na paimana banaya hota

apna divana banaya mujhe hota tu ney
kyon khiradmand banaya na banaya hota

shoala-e-husn chaman mein na dikhaya us ney
Warna bulbul ko bhi parvana banaya hota
roz-e-mamoora-e-duniya mein kharabi hai ‘zafar’
aisi basti sey to virana banaya hota
Logged
nikss
Guest
«Reply #22 on: December 06, 2013, 11:14:53 PM »
Reply with quote


 Pyas Wo Dil Ki Bujane Kabi Aya Bi Nahi
 Kesa Badal Hai Jis Ka koi Saya Bi Nahi
 Be Rukhi Is Se Bari Aur Bhla Kia Ho Gi
 Ik Mudat Se Hmain Us Ne Staya Bi Nahi
 Roz Aata Hai Dar-e Dil Pe Wo Dastak Dene
 Aaj Tak Ham NE Jise Pass Bulya Bi Nahi
 Sun Liya Kese Khuda Jane Zmane Bhar Ne
 Wo Fsana Jo Kabi Ham Ne Sunya Bi Nahi
 Tum Tu Shayar Ho Qateel Aur Wo Ik Aam Sa Shakhs
 Us Ne Chaha Bi Tuje Aur Jtaya Bi Nahi
Logged
nikss
Guest
«Reply #23 on: December 10, 2013, 10:50:34 PM »
Reply with quote





juda honey k mausam mai juda hona bhi parhta hai
jisey mushkil se paya ho usey khona bhi parhta hai


khudi pe maan itna hai kabhi murh kar nahi daikha
jisey kehdoon k mera hai usey hona bhi parhta hai


abhi to fasl e gul ho, misl e gul ho zehn mai rakhna
k jab waqt e khizan aaye tau phir rona bhi parhta hai


mujhey nindain naheen bhateen k misl e marg hoti hain
magar ikk khwab k lalach mai phir sona bhi parhta hai


hamesha hansta rehta hoon chhupa k gham zamaney se
magar jab tera naam aaye tau phir rona bhi parhta hai
Logged
nikss
Guest
«Reply #24 on: December 19, 2013, 09:44:27 PM »
Reply with quote



Wohi Gardashain Wohi Paich-O-Kham Tere Baad Bhi,
Wohi Houslay Mere Dum Ba Dum Tere Baad Bhi,

Tere Sath Thi Teri Jafa Mujhay Mo’atabar,
Tere Saaray Gham Mujhay Mohtaram Tere Baad Bhi,

Mere Sath He Meri Har Khushi Teri Muntazir,
Teri Muntazir Meri Chasham-E-Namm Tere Baad Bhi,

Tu Kisi K Qalab-O-Arzoo Mein Dhal Gaya,
Main Na Ho Saka Kabhi Khud Mein Zamm Tere Baad Bhi,

Mere Baad Kitnay He Roop Tu Ne Badal Liye,
Main Wohin Hoon Ab Teri Qasam Tere Baad Bhi …
Logged
nikss
Guest
«Reply #25 on: January 03, 2014, 09:15:38 PM »
Reply with quote
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 04, 2024, 12:13:55 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.141 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer