hume zinda rehne do..e..husn waalo.

by majid on December 28, 2006, 11:43:41 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 9104 times)
majid
Guest
Reply with quote
haafiz tere to hosh udaaya na kijiye
haafiz tere to hosh udaaya na kijiye
yun banshawar ke saamne aaya na kijiye


kaali kaali zulfo ke fande na daalo
hume zinda rehne do ..e..husn waalo
kaali kaali zulfo ke fande na daalo
hume zinda rehne do ..e..husn waalo



na chhedo hume .hum sataye hue hai
bohat zakhma sheeene pe khaye hue hai
sitama gar ho tum khoob pehchan te hain
tumhaari adao ko hum jaante hain
dagaa baaz ho tum sitam dhaane waale
farebe mohabbat main uljaane waale
ye rangeen kahani tum hi ko mubaaraq
tumhaari javani tum hi ko mubaaraq
humaari taraf se nigahe hatalo

kaali kaali zulfo ke........


shambhalo zara apna aanchal Gulaabi
dikhao na haske haske aankhe sharaabi
suroof inka duniya main achha nahi hai
haseeno pe humko bharosha nahi hai
uthate hai nazare to girti hain bijli
ada jo bhi nikli qayaamat hi niklli
jahan tumne chehre pe aanchl hataya
wahi aehle dil ko tamaasha banaya
khuda ke liye hume pe duare na daalo

kaali kaali zulfo ke.....


ke jhuthi numaaish ye jhuthi banavat
farebe nazar hai nazar ki lagaawat
ye kambal se gesu ye aariz gulaabi
zamaane main laayenge ek deen kharabi
fanaa humko kar dena ye muskuraana
ada kaafirana chalan zaalimana
dikhao na ye tishwa..o..naaz humko
shikhao na ulfat ke andaaz humko
kisi aur par zulf ka zaal daalo

kaali kaali zilfo ke.........



sada waar karte ho  zehne  zafaa ka
bahaate to tum khoon aehle wafaa ka
ye naagan si zulfe ye zehrli nazrein
woh paani na maane ye jisko bhi dashle
woh lut jaaye jo tumse dil ko lagaaye
fire hashrato ka zanaaza uthaye
hain maalum humko tumhaari haqiqat
mohabbat ke pardein main karte ho nafrat
kahin aur jaake adane uthalo

hume zianda rehne do ..e..husn waalo
 kaali kaali zulfo ke fande na daalo
hume zinda rehne do ..e..husn waalo


Raahat fateh ali khan
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ab bas rehne do..1 by nishita in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2 ... 10 11 »
DIL MEIN REHNE WALO NE by BHONDU in Shayri-E-Dard
Ye Dil Mein Rehne Wale Dil Se Nahin Nikalte by Pushkar_singh in Shayri-E-Dard
*Rehne Do Tanha Hame* by Roja in Shayri for Dard -e- Judai
Zinda rehne de! by salma786 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Talat
Guest
«Reply #1 on: December 28, 2006, 01:28:03 PM »
Reply with quote
Its Nice majid...Thanks for sharing...!!
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 2 hours and 38 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #2 on: January 08, 2007, 08:23:14 AM »
Reply with quote
mohabbat ka naam dekar sitam izaad kar daala
haseeno ne jise bhi chaha use barbaad kar daala
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 01, 2024, 08:51:53 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer