Hum apni deewangi se jaane jaate hain..

by Satya.patel on December 19, 2008, 07:35:37 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1042 times)
Satya.patel
Guest
Reply with quote
Hum apni deewangi se jaane jaate hain

Wo apni berukhi se pehchaane jaate hain

Roz miltey hai lekin, kuchh kehte sunte nahi

Mere saamne wo meri dhadkan badhaane aate hain

Shab bhar intzaar mein hum taare dekhaa karte hai

Sabera hone se pehle wo chand bujhane aate hain

Bas ek nazar ke liye hum din bhar taraste hain

Wo shaam ko gamalon ko paani pilaane aate hain

Mere is haalaat pe hansanaa nahi MUSAFIR too

Ishq main sabke saame aise zamaane aate hain

Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #1 on: December 19, 2008, 09:04:49 AM »
Reply with quote
waah waah waah waah !!!!!!
waah satya ji kyaa aasar hain ishq k bohut khoob Applause
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #2 on: December 19, 2008, 09:47:05 AM »
Reply with quote
Bahut Khoob Satya Ji
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: December 19, 2008, 05:01:50 PM »
Reply with quote
NICE SHARING SATYA JI
Logged
Satya.patel
Guest
«Reply #4 on: December 20, 2008, 03:05:27 PM »
Reply with quote
shukriya bhawna ji, rajesh bhai, or pooja ji
aap sabhi ka tahedil se sukrgujaar hun..
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #5 on: December 20, 2008, 04:23:57 PM »
Reply with quote
satya ji,kamaal ka likhtey hein,itne saral shabdon mein bhee poora chitran ho gaya.....waah janaab.aap ki kalam vaakai khoobsurat hein.
Logged
Satya.patel
Guest
«Reply #6 on: December 20, 2008, 04:57:31 PM »
Reply with quote
Prateek ji is housla afzaii ke liye tahedil se sukragujaar hun aapka..
Logged
hina ki talsah
Guest
«Reply #7 on: November 16, 2013, 08:54:25 PM »
Reply with quote
Hum apni deewangi se jaane jaate hain

Wo apni berukhi se pehchaane jaate hain

Roz miltey hai lekin, kuchh kehte sunte nahi

Mere saamne wo meri dhadkan badhaane aate hain

Shab bhar intzaar mein hum taare dekhaa karte hai

Sabera hone se pehle wo chand bujhane aate hain

Bas ek nazar ke liye hum din bhar taraste hain

Wo shaam ko gamalon ko paani pilaane aate hain

Mere is haalaat pe hansanaa nahi MUSAFIR too

Ishq main sabke saame aise zamaane aate hain


not mine
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 02:26:10 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.146 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer