Kabza........mann

by mann.mann on December 16, 2014, 05:29:38 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1217 times)
mann.mann
Yoindian Shayar
******

Rau: 113
Offline Offline

Waqt Bitaya:
22 days, 12 hours and 36 minutes.
Posts: 3703
Member Since: Aug 2011


View Profile
Reply with quote
Dosto..... ye kahani bahut dinon pahle likhi thi.... aaj mann main aaya ki aap sab ki nazar ki jaye....... ummid hai aapko pasand aayegi.....

Jab maine tumhari yadon ko dil ki gaharayiyon ke bhitar kahin dafan kar diya tha tab achanak hi tumhara meri nazaron ke samne se gujar jana. Purane zakhon ko kitni jaldi kured gaya… tumne shayad mujhe nahin dekha tha ya dekhkar bhi nahin dekha tha… par main tumhen hargiz nahin bhuli thi…. Tumhari yadon ko kitna hi dabaya dil ke bhitar par bhuli kabhi nahin thi….

Main beech sadak par khdi rah gayi.. main kahan hun? Mujhe kahan jana hai? Is baat ka hosh hi kahan raha mujhe.. abhi abhi jo dekha wo sach tha ya koi sapna.. samajh nahin pa rahi hun… par tum abhi yahan se guzar gaye the aur main door tak raah ko dekhti rah gayi… pahle ki tarah hi…………

pichhe se kisi car ka horn sunkar chetana lauti to dekha main bich sadak par khadi hun ek baar fir….. apni sudh budh khokar…sab kuch bhulkar main laut padi ghar ki orr… aaj zindgi main sabkuchh bemaanise laga raha hai…

ghar aakar kaagaz ke kuch tukde jo kabhi tumne mujhe likhe the haath main lekar soch rahi thi ki zindgi main kitna kuch badal jata ai waqt ke sath.. hamare chahne ke anusar kahan hota hai sabkuchh…. Aur jo hota hai use ham rok hi kahan pate hain…..

mujhe aaj bhi achi tarah yaad hai wo pal jab maine apne dil ke tukdon ko sameta tha… dil ke tukdon ko haath main lie der tak usi raah par khadi thi usi mod par jahan tum mujhe chhod gaye the…..

pata nahin  kabhi iss soundarya ke mayajaal se tum chhutoge ya nahin??? Agar kabhi chhut paye tab ye jaan jaoge ki zindgi main pyar ke maayne soudarya kabhi nahin hota… pyar to gunon ka aakankshi hota hai… pyar to wo hai ki chot ek ko lagti hai aur dard dusre ko hota hai…. Dil ek ka rota hai aur aansu dusre ke bahte hain… par tumhare lie khubsurti hi pyar thi…..

Tum hamesha kaha karte the “priya main bahut bada aadmi banna chahta hun… bahut rupya kamana chahta hun… tumhare sapne bahut unche the tumhare vichar mujhse bahut alag the…. Mere lie bhavnatmak rahi hai aur tumne use bhautik hi samjha……. Mere lie khush rahne ka arth tha ki dil khush rahe….. hamara sath rahe….. par  tumne sabhi sadhanon se sampan hone ko khushi jana. Maine hamesha apne antar-mann ko khubsurat banana chaha aur tum mujhe bahari roop main khubsurat dekhna chahte the jo mere lie sambhav nahin tha…….

Tumse pyar tha mujhe par daar bhi tha kyon ki mujhe pata tha ki sundarta ko chahne wala insane insane ko bhi vastu samjhne lagta hai… aur aakhir tumne mere daar ko sahi sabit kar diya…. Tumne sabit kar diya ki main tumhare lie ek vastu hi thi aur jab tumhe mujhse achi vastu mili to main tumhe bekar lagne lagi… tumhara mann us mrigtrishna main uljhne laga…. Tum jo mujhse milne ke lie paglon ki tarah bechain rahte the ab kabhi kabhi hi milte the aur dhire dhire ye mulaqaten bhi khatm hoti chali gayin….. ab tumhare chakkar kahi aur lagte the….. kayi baar to yun bhi hua kit um mujhe andekha  kar ke nikal gaye…. Aur main tumhari zindgi se door ho gayi hamesha ke lie….

Aaj varshon bit gaye tumse mile.. kabhi kabhi sochti hun thhik hi hua… saundarya ki drishti se main tumhare layak kahan thi lekin main bhi main thi…. Jo khas gun meri visheshta the wi main tumme bahut dhundhe the aur ant main ye sochkar hi taslli kar lit hi ki koi baat nahin main tumme gunvatta laungi…. Tum pattar zarur ho par main tumhen tarashungi….  Par patthar patthar hi raha.. use tarashane main aise chot lagi ki zindgi bhar ke lie sambhlana mushkil ho gaya…. Main tumhen nahin tarash saki han khud zakhmi hokar rah gayi thi…..

Fir kuch dinon baad pata chala ki tumne shadi kar li hai…usi khubsurat ladki se….. sunkr dukh hua tha par aashchay hargiz nahin…. Kyon ki tum aisa kar sakte the… ak bahut hi khubsurat cheej ko pakar kho dene ke daar se tumne sada ke lie use apne kabze main kar lia tha……….

Main haar gayi..

Mann
Logged
ambalika sharma
Guest
«Reply #1 on: December 16, 2014, 06:08:15 AM »
Reply with quote
Dosto..... ye kahani bahut dinon pahle likhi thi.... aaj mann main aaya ki aap sab ki nazar ki jaye....... ummid hai aapko pasand aayegi.....

Jab maine tumhari yadon ko dil ki gaharayiyon ke bhitar kahin dafan kar diya tha tab achanak hi tumhara meri nazaron ke samne se gujar jana. Purane zakhon ko kitni jaldi kured gaya… tumne shayad mujhe nahin dekha tha ya dekhkar bhi nahin dekha tha… par main tumhen hargiz nahin bhuli thi…. Tumhari yadon ko kitna hi dabaya dil ke bhitar par bhuli kabhi nahin thi….

Main beech sadak par khdi rah gayi.. main kahan hun? Mujhe kahan jana hai? Is baat ka hosh hi kahan raha mujhe.. abhi abhi jo dekha wo sach tha ya koi sapna.. samajh nahin pa rahi hun… par tum abhi yahan se guzar gaye the aur main door tak raah ko dekhti rah gayi… pahle ki tarah hi…………

pichhe se kisi car ka horn sunkar chetana lauti to dekha main bich sadak par khadi hun ek baar fir….. apni sudh budh khokar…sab kuch bhulkar main laut padi ghar ki orr… aaj zindgi main sabkuchh bemaanise laga raha hai…

ghar aakar kaagaz ke kuch tukde jo kabhi tumne mujhe likhe the haath main lekar soch rahi thi ki zindgi main kitna kuch badal jata ai waqt ke sath.. hamare chahne ke anusar kahan hota hai sabkuchh…. Aur jo hota hai use ham rok hi kahan pate hain…..

mujhe aaj bhi achi tarah yaad hai wo pal jab maine apne dil ke tukdon ko sameta tha… dil ke tukdon ko haath main lie der tak usi raah par khadi thi usi mod par jahan tum mujhe chhod gaye the…..

pata nahin  kabhi iss soundarya ke mayajaal se tum chhutoge ya nahin??? Agar kabhi chhut paye tab ye jaan jaoge ki zindgi main pyar ke maayne soudarya kabhi nahin hota… pyar to gunon ka aakankshi hota hai… pyar to wo hai ki chot ek ko lagti hai aur dard dusre ko hota hai…. Dil ek ka rota hai aur aansu dusre ke bahte hain… par tumhare lie khubsurti hi pyar thi…..

Tum hamesha kaha karte the “priya main bahut bada aadmi banna chahta hun… bahut rupya kamana chahta hun… tumhare sapne bahut unche the tumhare vichar mujhse bahut alag the…. Mere lie bhavnatmak rahi hai aur tumne use bhautik hi samjha……. Mere lie khush rahne ka arth tha ki dil khush rahe….. hamara sath rahe….. par  tumne sabhi sadhanon se sampan hone ko khushi jana. Maine hamesha apne antar-mann ko khubsurat banana chaha aur tum mujhe bahari roop main khubsurat dekhna chahte the jo mere lie sambhav nahin tha…….

Tumse pyar tha mujhe par daar bhi tha kyon ki mujhe pata tha ki sundarta ko chahne wala insane insane ko bhi vastu samjhne lagta hai… aur aakhir tumne mere daar ko sahi sabit kar diya…. Tumne sabit kar diya ki main tumhare lie ek vastu hi thi aur jab tumhe mujhse achi vastu mili to main tumhe bekar lagne lagi… tumhara mann us mrigtrishna main uljhne laga…. Tum jo mujhse milne ke lie paglon ki tarah bechain rahte the ab kabhi kabhi hi milte the aur dhire dhire ye mulaqaten bhi khatm hoti chali gayin….. ab tumhare chakkar kahi aur lagte the….. kayi baar to yun bhi hua kit um mujhe andekha  kar ke nikal gaye…. Aur main tumhari zindgi se door ho gayi hamesha ke lie….

Aaj varshon bit yage tumse mile.. kabhi kabhi sochti hun thhik hi hua… saundarya ki drishti se main tumhare layak kahan thi lekin main bhi main thi…. Jo khas gun meri visheshta the wi main tumme bahut dhundhe the aur ant main ye sochkar hi taslli kar lit hi ki koi baat nahin main tumme gunvatta laungi…. Tum pattar zarur ho par main tumhen tarashungi….  Par patthar patthar hi raha.. use tarashane main aise chot lagi ki zindgi bhar ke lie sambhlana mushkil ho gaya…. Main tumhen nahin tarash saki han khud zakhmi hokar rah gayi thi…..

Fir kuch dinon baad pata chala ki tumne shadi kar li hai…usi khubsurat ladki se….. sunkr dukh hua tha par aashchay hargiz nahin…. Kyon ki tum aisa kar sakte the… ak bahut hi khubsurat cheej ko pakar kho dene ke daar se tumne sada ke lie use apne kabze main kar lia tha……….

Main haar gayi..

Mann

very touching........
.kitni hi jindagiyan aise hi kitni hi baar beech raston me besudh khadi reh gayi hongi....jo dil sachai se pyar krta hai har uski nhi hoti, darasal khuda shayad unhe koi or dil dena chahta ho jo unki kadr kre....
Logged
mann.mann
Yoindian Shayar
******

Rau: 113
Offline Offline

Waqt Bitaya:
22 days, 12 hours and 36 minutes.
Posts: 3703
Member Since: Aug 2011


View Profile
«Reply #2 on: December 16, 2014, 06:15:15 AM »
Reply with quote
bahut  bahut shukriya ambalikaji......
Logged
sbechain
Guest
«Reply #3 on: December 16, 2014, 12:09:53 PM »
Reply with quote
Dosto..... ye kahani bahut dinon pahle likhi thi.... aaj mann main aaya ki aap sab ki nazar ki jaye....... ummid hai aapko pasand aayegi.....

Jab maine tumhari yadon ko dil ki gaharayiyon ke bhitar kahin dafan kar diya tha tab achanak hi tumhara meri nazaron ke samne se gujar jana. Purane zakhon ko kitni jaldi kured gaya… tumne shayad mujhe nahin dekha tha ya dekhkar bhi nahin dekha tha… par main tumhen hargiz nahin bhuli thi…. Tumhari yadon ko kitna hi dabaya dil ke bhitar par bhuli kabhi nahin thi….

Main beech sadak par khdi rah gayi.. main kahan hun? Mujhe kahan jana hai? Is baat ka hosh hi kahan raha mujhe.. abhi abhi jo dekha wo sach tha ya koi sapna.. samajh nahin pa rahi hun… par tum abhi yahan se guzar gaye the aur main door tak raah ko dekhti rah gayi… pahle ki tarah hi…………

pichhe se kisi car ka horn sunkar chetana lauti to dekha main bich sadak par khadi hun ek baar fir….. apni sudh budh khokar…sab kuch bhulkar main laut padi ghar ki orr… aaj zindgi main sabkuchh bemaanise laga raha hai…

ghar aakar kaagaz ke kuch tukde jo kabhi tumne mujhe likhe the haath main lekar soch rahi thi ki zindgi main kitna kuch badal jata ai waqt ke sath.. hamare chahne ke anusar kahan hota hai sabkuchh…. Aur jo hota hai use ham rok hi kahan pate hain…..

mujhe aaj bhi achi tarah yaad hai wo pal jab maine apne dil ke tukdon ko sameta tha… dil ke tukdon ko haath main lie der tak usi raah par khadi thi usi mod par jahan tum mujhe chhod gaye the…..

pata nahin  kabhi iss soundarya ke mayajaal se tum chhutoge ya nahin??? Agar kabhi chhut paye tab ye jaan jaoge ki zindgi main pyar ke maayne soudarya kabhi nahin hota… pyar to gunon ka aakankshi hota hai… pyar to wo hai ki chot ek ko lagti hai aur dard dusre ko hota hai…. Dil ek ka rota hai aur aansu dusre ke bahte hain… par tumhare lie khubsurti hi pyar thi…..

Tum hamesha kaha karte the “priya main bahut bada aadmi banna chahta hun… bahut rupya kamana chahta hun… tumhare sapne bahut unche the tumhare vichar mujhse bahut alag the…. Mere lie bhavnatmak rahi hai aur tumne use bhautik hi samjha……. Mere lie khush rahne ka arth tha ki dil khush rahe….. hamara sath rahe….. par  tumne sabhi sadhanon sampane s hone ko khushi jana. Maine hamesha apne antar-mann ko khubsurat banana chaha aur tum mujhe bahari roop main khubsurat dekhna chahte the jo mere lie sambhav nahin tha…….

Tumse pyar tha mujhe par daar bhi tha kyon ki mujhe pata tha ki sundarta ko chahne wala insane insane ko bhi vastu samjhne lagta hai… aur aakhir tumne mere daar ko sahi sabit kar diya…. Tumne sabit kar diya ki main tumhare lie ek vastu hi thi aur jab tumhe mujhse achi vastu mili to main tumhe bekar lagne lagi… tumhara mann us mrigtrishna main uljhne laga…. Tum jo mujhse milne ke lie paglon ki tarah bechain rahte the ab kabhi kabhi hi milte the aur dhire dhire ye mulaqaten bhi khatm hoti chali gayin….. ab tumhare chakkar kahi aur lagte the….. kayi baar to yun bhi hua kit um mujhe andekha  kar ke nikal gaye…. Aur main tumhari zindgi se door ho gayi hamesha ke lie….

Aaj varshon bit yage tumse mile.. kabhi kabhi sochti hun thhik hi hua… saundarya ki drishti se main tumhare layak kahan thi lekin main bhi main thi…. Jo khas gun meri visheshta the wi main tumme bahut dhundhe the aur ant main ye sochkar hi taslli kar lit hi ki koi baat nahin main tumme gunvatta laungi…. Tum pattar zarur ho par main tumhen tarashungi….  Par patthar patthar hi raha.. use tarashane main aise chot lagi ki zindgi bhar ke lie sambhlana mushkil ho gaya…. Main tumhen nahin tarash saki han khud zakhmi hokar rah gayi thi…..

Fir kuch dinon baad pata chala ki tumne shadi kar li hai…usi khubsurat ladki se….. sunkr dukh hua tha par aashchay hargiz nahin…. Kyon ki tum aisa kar sakte the… ak bahut hi khubsurat cheej ko pakar kho dene ke daar se tumne sada ke lie use apne kabze main kar lia tha……….

Main haar gayi..

Mann



mann kuch kuch samjh paayi,shaayad tumhein pata nahin main english aur urdu ke siwaa doosri language nahin samjh sakti aur saare highlighted word shaayad hindi ke hain main hindi ke wahi words jaanti hoon jo urdu mein bhi bole aur padhe jaate hain isliye aise kisi bhi kalaam ka jawaab main sahi se nahin de sakti aur hindi to mujhe bilkul bhi nahin aati hai dear.waise acha likha hai.  icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!
Logged
jeet jainam
Khaas Shayar
**

Rau: 237
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
60 days, 12 hours and 13 minutes.

my rule no type no life and ,i m happy single

Posts: 10150
Member Since: Dec 2012


View Profile WWW
«Reply #4 on: December 16, 2014, 04:09:42 PM »
Reply with quote
Bohat khubsurat alfaazo.n se piroya hai apne waaaahhhh daaaaddd..
Aaj .versho.n beet gaye.yage thora sa sahi kar liye
Logged
RAJAN KONDAL
Guest
«Reply #5 on: December 16, 2014, 06:23:18 PM »
Reply with quote
behad khubsurat khani likhi  hai yuh he likhte rahiye
Logged
anmolarora
Guest
«Reply #6 on: December 17, 2014, 06:53:13 AM »
Reply with quote
bahut hi khubsurti se likha hai aap ne
Logged
mann.mann
Yoindian Shayar
******

Rau: 113
Offline Offline

Waqt Bitaya:
22 days, 12 hours and 36 minutes.
Posts: 3703
Member Since: Aug 2011


View Profile
«Reply #7 on: December 17, 2014, 07:05:41 AM »
Reply with quote
bahut  bahut shukriya shebaji.......
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #8 on: December 17, 2014, 10:46:45 AM »
Reply with quote
Ye duniya aisee hi hai, dost! kahaanee aab-e-uyoon ko uksaatee hai!

Bhuul jaane ke liye ab bhi bahut hai baaqee:
Yaad karne ke liye kuchh hai, to, tumhi tum ho!

                      - abd bundeli
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #9 on: December 18, 2014, 01:36:38 AM »
Reply with quote
 Applause Applause
Logged
mann.mann
Yoindian Shayar
******

Rau: 113
Offline Offline

Waqt Bitaya:
22 days, 12 hours and 36 minutes.
Posts: 3703
Member Since: Aug 2011


View Profile
«Reply #10 on: December 18, 2014, 06:15:14 AM »
Reply with quote
bahut shukriya jeetji.....
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 2 hours and 38 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #11 on: December 18, 2014, 07:10:06 PM »
Reply with quote
 icon_silent sad10
Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012


View Profile
«Reply #12 on: December 18, 2014, 11:35:10 PM »
Reply with quote
bahut khoob Janaab Mann sahib.
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
mann.mann
Yoindian Shayar
******

Rau: 113
Offline Offline

Waqt Bitaya:
22 days, 12 hours and 36 minutes.
Posts: 3703
Member Since: Aug 2011


View Profile
«Reply #13 on: December 19, 2014, 05:14:08 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya rajanji........
Logged
mann.mann
Yoindian Shayar
******

Rau: 113
Offline Offline

Waqt Bitaya:
22 days, 12 hours and 36 minutes.
Posts: 3703
Member Since: Aug 2011


View Profile
«Reply #14 on: December 22, 2014, 11:53:10 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya anmolji...
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 04:04:15 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.154 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer