Saza

by thycreator on January 09, 2005, 02:44:00 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2564 times)
thycreator
Guest
Reply with quote
Kal tak jinki un aakon ko in ankhon ne apnaya tha,
    Kyu aaj unhi ke deedar ko apna dil na mane,
    Kyu aaj unhi ko khone ka iss dil ko koi gam bhi nahi,
    Kal tak jinko pane mein the humko lage zamane.
    Unhone na kabhi humko chaha, iss dil ko ye malum bhi tha,
    Phir kyu iss dil mein tees uthi, kyu isme itna dard raha.
    Kyu iss dil ne mere shart rakhi, kyu isme ye ehsas raha,
    Wo apne na the phir bhi kyu unko pane ki aas rakha.
    Ab dard hi hai iss dil ka hasil,khamoshi hai, tanhai hai,
    Dil ke dillagi ki ye saza kya khub humne bhi payi hai.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Koi achi si saza do mujh ko by Deewana29 in Shayri-E-Dard
mohabbat saza ho gaye by mohammed avesh in Shayri-E-Dard
zindagi ya saza by cutiepie4u2 in Shairi - E - Zindagi
zindagi ya saza by cutiepie4u2 in Critics and Review only Forum
yogi
Guest
«Reply #1 on: January 09, 2005, 03:11:42 PM »
Reply with quote
wah wah

jinhe humne aur tumne pyar kiya
woh na the es pak-ishq ke kabil
humne dil , rakht, jaan sab kuch de dii
unse dil bhi na diyaa gaya
Logged
Meena
Guest
«Reply #2 on: January 09, 2005, 04:46:37 PM »
Reply with quote
wahhhhhhhhhh bohot acha likha aap dono ne!

 :D
Logged
thycreator
Guest
«Reply #3 on: January 12, 2005, 02:32:05 PM »
Reply with quote
Quote from: "yogi"
wah wah

jinhe humne aur tumne pyar kiya
woh na the es pak-ishq ke kabil
humne dil , rakht, jaan sab kuch de dii
unse dil bhi na diyaa gaya



Thanx Yogi ji....
Sach kaha apne.....par in bewafaon ka bhi bahut hath hai acchaiyo mein

Sabhi hai koste apne mehboob ki bewafai ko,
Ussi ke dam si hi toh yaha hai mehfil sazi hui
(I mean yoindia pe............)
Logged
thycreator
Guest
«Reply #4 on: January 12, 2005, 02:33:29 PM »
Reply with quote
Quote from: "Meena"
wahhhhhhhhhh bohot acha likha aap dono ne!

 :D


Thanx Meena ji,

Ek mudaddat hui hai humko apse mile hue,
Dil darne laga hai, aap auron se toh nahi???
(Kahan hai aap itne dino se???)
Logged
Meena
Guest
«Reply #5 on: January 12, 2005, 06:31:19 PM »
Reply with quote
Quote from: "thycreator"
Quote from: "yogi"
wah wah

jinhe humne aur tumne pyar kiya
woh na the es pak-ishq ke kabil
humne dil , rakht, jaan sab kuch de dii
unse dil bhi na diyaa gaya



Thanx Yogi ji....
Sach kaha apne.....par in bewafaon ka bhi bahut hath hai acchaiyo mein

Sabhi hai koste apne mehboob ki bewafai ko,
Ussi ke dam si hi toh yaha hai mehfil sazi hui
(I mean yoindia pe............)


mehefil (yoindia) sazi hui hai bewafai ke kisson se,
dard bant rahe hai sab chote chote hisso (sections) me!
Logged
Meena
Guest
«Reply #6 on: January 12, 2005, 06:36:22 PM »
Reply with quote
Quote from: "thycreator"
Quote from: "Meena"
wahhhhhhhhhh bohot acha likha aap dono ne!

 :D


Thanx Meena ji,

Ek mudaddat hui hai humko apse mile hue,
Dil darne laga hai, aap auron se toh nahi???
(Kahan hai aap itne dino se???)


me here na, was a bit busy!  :D

ek din ka fasla bhi muddato jaisa lagta hai,
anjane me hi sahi yeh dil unke liye dhadakta hai,
nam mat lena mera gairon me tum,
teri is soch se zakhmo ka dard phir se dukhta hai!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #7 on: January 12, 2005, 08:59:52 PM »
Reply with quote
Nice thycreatorand Meena!!!!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #8 on: January 13, 2005, 08:12:12 AM »
Reply with quote
Quote from: "Meena"
Quote from: "thycreator"
Quote from: "Meena"
wahhhhhhhhhh bohot acha likha aap dono ne!

 :D


Thanx Meena ji,

Ek mudaddat hui hai humko apse mile hue,
Dil darne laga hai, aap auron se toh nahi???
(Kahan hai aap itne dino se???)


me here na, was a bit busy!  :D

ek din ka fasla bhi muddato jaisa lagta hai,
anjane me hi sahi yeh dil unke liye dhadakta hai,
nam mat lena mera gairon me tum,
teri is soch se zakhmo ka dard phir se dukhta hai!


Maf kar dijiye meena ji,

Hue khata ye mujhse apko gairon mein samjha,
Apse wafa e dil sikhne ki tamanna hai mujhe...
Logged
amit_is_always_cool
Guest
«Reply #9 on: January 13, 2005, 08:20:53 AM »
Reply with quote
"Aab Kay Yoon Dil Ko Saza Di Hum Nay
Us Ki Her Baat Bhula Di Hum Nay
Eik , Eik Phool Bohat Yaad Aaya
Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Hum Nay
Aaj Tak Jis Pay Woh Shermatay Hain
Baat Woh Kab Ki Bhula Di Hum Nay
Sheher-E-Jahan Rakh Say Abad Hua
Aag Jab Dil Ki Bujha Di Hum Nay
Aaj Phir Yaad Bohat Aaya Woh
Aaj Phir Us Ko Dua Di Hum Nay
Koi To Baat Hia Us Main Faiz
Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Nay
Logged
amit_is_always_cool
Guest
«Reply #10 on: January 13, 2005, 08:26:46 AM »
Reply with quote
"kayi rukh dekhe hain zindagi ke hum ne
har rukh ka aik alag rang dekha hai
kabhi hum ne akele main dekha hai
kabhi kisi ke sang dekha hai
kabhi zindagi ko khushi ki basti main dekha hai
kabhi ais se gham ki mehfil main dakha hai
kabhi ais se logon ke chehron par lage mukhre pe
to kabhi unke dil main dekha hai
kabhi zindagi ko safar main dekha
to kabhi ais main thahraav dekha hai
kabhi zindagi ko khush-haal dekha hai
to kabhi har jagah aik gham dekha hai
zindagi ko hum ne ache aur bure naseeb se dekha hai
par ais ke har pehloo ko yaaro
asgher ne bade kareeb se dekha hai
jaane yeh hamein aur kia kia dikhayegi
jaane yeh hamein aur kitna tarpayegi

(nm)
Logged
Meena
Guest
«Reply #11 on: January 13, 2005, 04:14:19 PM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
Nice thycreatorand Meena!!!!


thanx pooja sis!

 :D
Logged
Meena
Guest
«Reply #12 on: January 13, 2005, 04:18:51 PM »
Reply with quote
Quote from: "thycreator"
Quote from: "Meena"
Quote from: "thycreator"
Quote from: "Meena"
wahhhhhhhhhh bohot acha likha aap dono ne!

 :D


Thanx Meena ji,

Ek mudaddat hui hai humko apse mile hue,
Dil darne laga hai, aap auron se toh nahi???
(Kahan hai aap itne dino se???)


me here na, was a bit busy!  :D

ek din ka fasla bhi muddato jaisa lagta hai,
anjane me hi sahi yeh dil unke liye dhadakta hai,
nam mat lena mera gairon me tum,
teri is soch se zakhmo ka dard phir se dukhta hai!


Maf kar dijiye meena ji,

Hue khata ye mujhse apko gairon mein samjha,
Apse wafa e dil sikhne ki tamanna hai mujhe...


arre dont be sorry na!  :D chill!

wafa sikhayi nahin jati,
bewafai apnayi nahin jati,
ek mehekte hue phool ki kushboo
puri duniya me bikhrayi nahin jati!

 :D
Logged
thycreator
Guest
«Reply #13 on: January 13, 2005, 07:04:41 PM »
Reply with quote
arre dont be sorry na!  :D chill!

wafa sikhayi nahin jati,
bewafai apnayi nahin jati,
ek mehekte hue phool ki kushboo
puri duniya me bikhrayi nahin jati!

 :D[/quote]

Mehkte phoolon se pucho ki unki aarzoo kya,
Wo hum insano ki tarah khudgarz nahi hote..
Logged
Meena
Guest
«Reply #14 on: January 13, 2005, 07:08:59 PM »
Reply with quote
jin phoolon me arzoo hai duniya me kushboo bhikerne ke liye,
unhe hi log tood lete ha ighar sajane ke liye!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 03:07:46 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer