Waqt ke haathon main ab mazboor ho chala..

by G Arun Kumar on January 12, 2013, 04:21:47 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 897 times)
G Arun Kumar
Guest
Reply with quote
Waqt ke haathon, main ab majboor ho chala
teri aankhon ke daayre se bahut door ho chala
Bahut saha hai tera zulm aur sitam magar
Ab ye jism khuda ke roobaroo ho chala...

Beete hue waqt ko thaam nahin sakta
teri khwahishon ko shaayad main jaan nahin sakta
Isi liye chal pada hoon khuda ke ghar
Jaate-jaate bhi magar teri yaadon ka silsila khoob chala
Waqt ke haathon.........

Tu naaraz mat hona mujhe yun haara hua dekhkar
Tera deedaar main karta tha chand ka nazaara dekhkar
Tere chehre se us chand ka ishara khoob chala
waqt ke haathon.........

Mujhe ranj nahin hai marne ka main zinda hoon
Tere khayaalon ke aasmaan ka main parindda hoon
Tujhe saath lekar jo kabhi ud na saka
Aaj kashti nahin doobi hai magar wo kinara doob chala
Waqt ke haathon main ab mazboor ho chala...""


~~Arun Kumar~~
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
waqt ke haathon majboor ek shaksh hoon mein, by pankaj_pups in Shayri-E-Dard
Waqt Ke Haathon Sikandaro Ne Bhi Maat Khaayi Hai "Khwaish" by khwahish in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
~Apney haathon ki lakhero main~ by suman59 in Share:Love Poetry
Haathon Se Nikal Jata hai Waqt by nishi gahlaut in Shairi for Manzar -e- Kudrat « 1 2  All »
***Wo Waqt Chala Gaya*** by AVTAR RAYAT in Shayri-E-Dard
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #1 on: January 12, 2013, 05:07:09 PM »
Reply with quote
ye kisi aur kaa likha huwa hai naa Arun ji???

http://masstshayari.blogspot.in/p/long-shayari.html

https://www.facebook.com/KaahYeghMohabbatGhnaghhotgh/posts/177809412359563

Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 18, 2024, 07:28:43 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer