Yaad kar kar ke tujhe....

by Alam Qazi on February 16, 2007, 02:37:49 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1654 times)
Alam Qazi
Guest
Reply with quote


Muddato'n raat bhar rota raha, yaad kar kar ke tujhe
Mai jaa raha hoon zindagi se tere, duwa deke tujhe
Meri mehrumiya'n kuch aur din, shayad ! na rahe abb
Kuch pal ka hai mehmaa'n, maut ye sadaa degayee mujhe

:cry:  :cry:

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dil ne tanhaio mein hamesha tujhe yaad kiya hai by husain52 in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Agar Tujhe Meri Yaad Aaye To Qabar Par Aajana... by asgher in Shayri-E-Dard
Dil Ne Phir Tujhe Yaad Kiya by Devdas_online in Shayri-E-Dard
jab tujhe yaad kiya by Only4U in Shayri-E-Dard
har pal tujhe yaad aaungi main......... by ranjana in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
nikki
Guest
«Reply #1 on: February 16, 2007, 02:43:56 PM »
Reply with quote
very nice ..

yun to pyar ki gehrayi samajhna mushqil hai magar
koshish to fir bhi har koi karta hai

itne dil toot_te dekhe hain humne
abb to pyar ke naam se bhi darr lagta hai
Logged
Alam Qazi
Guest
«Reply #2 on: February 16, 2007, 02:58:43 PM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"
very nice ..

yun to pyar ki gehrayi samajhna mushqil hai magar
koshish to fir bhi har koi karta hai

itne dil toot_te dekhe hain humne
abb to pyar ke naam se bhi darr lagta hai



kyoon ? pyaar ke naam se dar lagta hai tumhein
dil tou toot-ta hai mohabbat mein ashiqo ka aksar
wafa fareb hai, dhokha hai, Dil ka Qatil hai..
hoti hai unhi ki maut, Janaza utha hai unhi ka aksar
Logged
nikki
Guest
«Reply #3 on: February 16, 2007, 03:06:14 PM »
Reply with quote
yahi sabb sunkar to darr lagta hai
kyun dil ko lagayein jab tootna hi hai
kyun aanso bahayein jab maloom hain bichad jayenge
kyun gustakhi karein hum pyar karne ki
jab maloom hai chalte-2 rah mein saath chootna hi hai
Logged
Alam Qazi
Guest
«Reply #4 on: February 17, 2007, 11:41:02 AM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"
yahi sabb sunkar to darr lagta hai
kyun dil ko lagayein jab tootna hi hai
kyun aanso bahayein jab maloom hain bichad jayenge
kyun gustakhi karein hum pyar karne ki
jab maloom hai chalte-2 rah mein saath chootna hi hai




Dil lagane se tum, kyon darti ho
saatth tou chotega ek din, jo ki haqiqat hai
wafaa ki raah mein, hum sath na chodenge
dar hakikat chod dogi tum  jo ki haqiqat hai !!!
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #5 on: February 17, 2007, 11:58:00 AM »
Reply with quote
Bahut hi khoob Alam Qazi and Nikki....


Saath zindagii bhar ke liye koii rehta nahin,
Dard khud apni dastaan kisi ko kehtaa nahin...
Palkon par rukk jaata hai koii kaarwan jaise,
Yeh woh samundar hai, jo kabhi behtaa nahin....
Logged
Alam Qazi
Guest
«Reply #6 on: February 17, 2007, 12:23:39 PM »
Reply with quote
Quote from: "Shikha12"
Bahut hi khoob Alam Qazi and Nikki....


Saath zindagii bhar ke liye koii rehta nahin,
Dard khud apni dastaan kisi ko kehtaa nahin...
Palkon par rukk jaata hai koii kaarwan jaise,
Yeh woh samundar hai, jo kabhi behtaa nahin....



thanks shikha !!

zindagi naam hai, tutne ka bikhar jaane ka
mohabbat mein kisike, khudko loota jaane ka
woh samandar hi kya, jismein utthe na lehar
woh wafa hi hai, jo naam hai mit jaane ka ......
Logged
nikki
Guest
«Reply #7 on: February 17, 2007, 01:02:30 PM »
Reply with quote
woww very nice Shikha sis n Alam ji ..n thank u sis..

woh humse wafa nibha na sake to kya
hum unki yaadon se bhi wafa nibhayenge

woh humein mil na sake to kya hua
hum unke pyar mein apne vajood takk ko miltayenge

yeh sach hai vafa bikti nahi dukano par
magar yeh bhi to jhooth nahi...
pyar bhi milta nahi kitne bhi onche daamo par
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #8 on: February 17, 2007, 01:10:41 PM »
Reply with quote
Quote from: "Alam Qazi"


thanks shikha !!

zindagi naam hai, tutne ka bikhar jaane ka
mohabbat mein kisike, khudko loota jaane ka
woh samandar hi kya, jismein utthe na lehar
woh wafa hi hai, jo naam hai mit jaane ka ......


Bahut Khoob Alam Qazi & Nikki... Usual Smile


Wafa ke naam pe sab kuch lutaa ke dekhaa hai,
Kuch aur nahin nazar ka bus yeh dhokhaa hai...
Leher aati hai baar baar kinaare se mil jaane ko,
Magar kisi kinaare ney kab leher ko rokaa hai...
[/b]
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: February 17, 2007, 01:40:18 PM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Doston,..
Kamaal ka Likha Hai Aap sabne,..

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: February 17, 2007, 01:42:33 PM »
Reply with quote
Wafaa Ke Naam Se Hi Ab Dil Jalta Hai Yaaron,.
Humne Bhi Wafaa Ki Thi Kabhi Kisi Ko Paane Ki Khateer,..
Aaj Wo Hamare Nahi Hai Is Baat Ka Gilaa Nahi Hume,..
Gila To Iska Hai Ki Chorda Unhone Hume To Bas Zamaane Ki Khateer,..

______________________________________________-Jaanasheen-
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 36 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #11 on: October 09, 2009, 11:44:53 AM »
Reply with quote
Wafaa Ke Naam Se Hi Ab Dil Jalta Hai Yaaron,.
Humne Bhi Wafaa Ki Thi Kabhi Kisi Ko Paane Ki Khateer,..
Aaj Wo Hamare Nahi Hai Is Baat Ka Gilaa Nahi Hume,..
Gila To Iska Hai Ki Chorda Unhone Hume To Bas Zamaane Ki Khateer,..

______________________________________________-Jaanasheen-


hmmmmmmmmmmm
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 03, 2024, 05:49:52 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.144 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer