Bewafai!!!!!!!!

by Ninaah on February 11, 2005, 08:07:31 AM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 ... 13
ReplyPrint
Author  (Read 13191 times)
fakharenaveed
Guest
«Reply #75 on: April 22, 2005, 10:18:44 PM »
Reply with quote
dosti....
kaho to labz,
mano to bandagi,
socho to gehra sagar,
dubo to zindagi,
karo to aasan,
nibhao to mushkil,
bikhre to sara zamana,
simte to "sirf tum"...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Bewafai by Ghazal888 in Urdu Poets
bewafai by yok55555 in Other Languages
bewafai by yok55555 in Other Languages
Bewafai by Rajput Deewana in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Bewafai by vinery in Shayeri for Dard -e- Bewafai
fakharenaveed
Guest
«Reply #76 on: May 03, 2005, 11:18:37 PM »
Reply with quote
i miss you NINI



where are you..................................how are you?Huh?Huh?Huh?Huh?Huh?Huh?Huh?Huh?Huh?Huh?Huh?Huh?Huh?Huh?Huh?Huh?Huh?Huh?Huh?Huh?Huh?Huh?Huh?Huh?Huh??
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #77 on: May 12, 2005, 09:10:29 PM »
Reply with quote
Hazaar phool hai yaha,
Par gulaab jaesa ek bhi nahi,
Hazaar dost hai yaha,
Par tumhari tarah koi bhi nahi.
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #78 on: May 23, 2005, 10:18:39 PM »
Reply with quote
hum chale jayen to tum gum na karna
aankhon ko apni kabhi num na karna
tum khush raho yeh dua karenge hum
sapano mein teri aaya jaaya karenge hum
apne dil ka darvaja kabhi band na karna..
Logged
Ninaah
Guest
«Reply #79 on: June 06, 2005, 06:18:26 AM »
Reply with quote
HAR VEERANE KE PEECHE IK ROSHNI NAZAR AATI HAI,
USKE AANE SE ZINDAGI SANWAR JAATI HAI,
YUN HOSH GOOM HO JAATE HAIN TERE USKE SAAMNE,
KIS ZUBAAN TO KYA TERI TO DHADKAN BHI THEHAR JAATI HAI....



Quote from: "pandit"
wah ninah..........
dard e judai sah sah k hai ye haal mera,
zindagi me nahi raha koi jashn mere,
jo bhi thi khushiya lut gaye ek hi pal me,
issliye hai veerani hai chaaye zindagi me mere.
Logged
Ninaah
Guest
«Reply #80 on: June 06, 2005, 06:20:55 AM »
Reply with quote
TERE AKS KO HUMNE APNI AANKON MEIN UTARA HAI,
TERE KHAWAB KO APNI YAADON MEIN SANWARA HAI,
JISE MIL JAAYE DOSTI TERI, WO KHUSHNASEEB HAI DUNIYA MEIN,
AUR JO ISS SE MEHROOM HAI, WOHI DUNIYA MEIN BESAHARA HAI.....




Quote from: "fakharenaveed"
hum chale jayen to tum gum na karna
aankhon ko apni kabhi num na karna
tum khush raho yeh dua karenge hum
sapano mein teri aaya jaaya karenge hum
apne dil ka darvaja kabhi band na karna..
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #81 on: June 06, 2005, 11:31:35 PM »
Reply with quote
besahra hi hai yahan har koi duniya mein
har woh shkhs jo meri trah tnha tnha hai
Logged
Ninaah
Guest
«Reply #82 on: June 07, 2005, 04:56:05 AM »
Reply with quote
kabhi kisi ko pyar mein ruswayee milti hai,
kabhi kisi ko pyar mein judayee milti hai,
kuch kitne khushnaseeb hote hain iss zamane mein,
jinhe har raah mein khuda ki khudayee milti hai......



Quote from: "fakharenaveed"
besahra hi hai yahan har koi duniya mein
har woh shkhs jo meri trah tnha tnha hai
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #83 on: June 07, 2005, 10:38:52 PM »
Reply with quote
Jab bhi milta hai bichadne ki sazaa deta hai,
Yaar milkar mera, tanhaai ki ridaa deta hai.

Khauf hota hai judaai ka milne ke baad,
Justju milne ki phir aur badaa deta hai.

Woh jo hota hai bas woh hi hota hai,
Ho koi rang duniya ka bhulaa deta hai.

Yun to duniya hai kitne rangon main rangi,
Chand lamhon main kya rang dikhaa deta hai.

Maqta hazir hai....

Uski har baat, aur baaton main baatein,
Balaaghat ke hunar "Faree" ko sikhaa deta hai.
Logged
Ninaah
Guest
«Reply #84 on: June 08, 2005, 06:27:08 AM »
Reply with quote
bichad kar milein gar to pyar bhi ek maza hai,
mil kar bichadna to zindagi ki sabse badi saza hai.......



Quote from: "fakharenaveed"
Jab bhi milta hai bichadne ki sazaa deta hai,
Yaar milkar mera, tanhaai ki ridaa deta hai.

Khauf hota hai judaai ka milne ke baad,
Justju milne ki phir aur badaa deta hai.

Woh jo hota hai bas woh hi hota hai,
Ho koi rang duniya ka bhulaa deta hai.

Yun to duniya hai kitne rangon main rangi,
Chand lamhon main kya rang dikhaa deta hai.

Maqta hazir hai....

Uski har baat, aur baaton main baatein,
Balaaghat ke hunar "Faree" ko sikhaa deta hai.
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #85 on: June 08, 2005, 09:13:49 PM »
Reply with quote
Na Tujhe Chor Saktay Hain,Tere Ho Bhi Nahi Saktay
Yea kaisi Be-Basi Hai Aaj Hum Roo Bhi Nahi Saktay
Yea Kaisa Dard Hay Pal Pal Humey Tarpayee Rakhta Hai
Tumhari Yad Aati Hai To Phir Soo Bhi Nahi Saktay
Chupa Saktay Hain Aur Naa Hum Dikha Saktay Hain Logo Ko
Kuch Aisay Daagh Hain Dil Per Jo Hum Dhoo Bhi Nahi Saktay
Kaha Tha Chor Dengay Yeh Nagar Phir Ruk Gaye Laikin
Tumhay Paa To Nahi Saktay Magar Khoo Bhi Nahi Saktay
Humara Aikh Hona Bhi Mumkin Nahi Raha Aab To
Jeeayen Kaise Kay Tum Say Door Aab Ho Bhi Nahi Saktay..
Logged
Ninaah
Guest
«Reply #86 on: June 09, 2005, 08:02:40 AM »
Reply with quote
ro kar kisi ko pukaroge to uss tak awaaz nahi pauhanch paayegi,
tumhari he aawaaz wadiyon se takrakar laut aayegi,
tum pukaro usse apne dil ki gehrayeeyon se,
phir dekhna ki wo chod kar tumko kahan jaayegi..........



Quote from: "fakharenaveed"
Na Tujhe Chor Saktay Hain,Tere Ho Bhi Nahi Saktay
Yea kaisi Be-Basi Hai Aaj Hum Roo Bhi Nahi Saktay
Yea Kaisa Dard Hay Pal Pal Humey Tarpayee Rakhta Hai
Tumhari Yad Aati Hai To Phir Soo Bhi Nahi Saktay
Chupa Saktay Hain Aur Naa Hum Dikha Saktay Hain Logo Ko
Kuch Aisay Daagh Hain Dil Per Jo Hum Dhoo Bhi Nahi Saktay
Kaha Tha Chor Dengay Yeh Nagar Phir Ruk Gaye Laikin
Tumhay Paa To Nahi Saktay Magar Khoo Bhi Nahi Saktay
Humara Aikh Hona Bhi Mumkin Nahi Raha Aab To
Jeeayen Kaise Kay Tum Say Door Aab Ho Bhi Nahi Saktay..
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #87 on: June 09, 2005, 10:03:38 PM »
Reply with quote
koI ye kaise bataaye ke vo tanhaa kyo.n hai.n ?
vo jo apanA thA vohii aur kisii kA kyo.n hai.n ?
yahii duniyA hai to phir aisI ye duniyA kyo.n hai.n ?
yahii hotA hai.n to aakhir yahii hotA kyo.n hai.n ?

ek zaraa haath ba.Dhaa, de to paka.Dale daaman
usake siine me.n samaa jAye hamaarii dha.Dakan
itanI kurbat hai.n to phir faasalaa itanaa kyo.n hai.n ?

dil-e-barabaad se nikalaa nahii.n ab tak koii
ek luTe ghar pe diyaa karataa hai.n dastak koii
aas jo TuuT gayii phir se ba.ndhaataa kyo.n hai.n ?

tum masarrat kA kaho yA ise Gam kA rishtaa
kahate hai.n pyaar kA rishtaa hai.n janam kA rishtaa
hai.n janam kA jo ye rishtaa to badalataa kyo.n hai.n ?
Logged
Ninaah
Guest
«Reply #88 on: June 10, 2005, 07:40:26 AM »
Reply with quote
jo samay ko nahi pehchaan paya, ye uski khata hai,
jo kal uska tha vo aaj kisi aur ka hai, ye uski saza hai....




Quote from: "fakharenaveed"
koI ye kaise bataaye ke vo tanhaa kyo.n hai.n ?
vo jo apanA thA vohii aur kisii kA kyo.n hai.n ?
yahii duniyA hai to phir aisI ye duniyA kyo.n hai.n ?
yahii hotA hai.n to aakhir yahii hotA kyo.n hai.n ?

ek zaraa haath ba.Dhaa, de to paka.Dale daaman
usake siine me.n samaa jAye hamaarii dha.Dakan
itanI kurbat hai.n to phir faasalaa itanaa kyo.n hai.n ?

dil-e-barabaad se nikalaa nahii.n ab tak koii
ek luTe ghar pe diyaa karataa hai.n dastak koii
aas jo TuuT gayii phir se ba.ndhaataa kyo.n hai.n ?

tum masarrat kA kaho yA ise Gam kA rishtaa
kahate hai.n pyaar kA rishtaa hai.n janam kA rishtaa
hai.n janam kA jo ye rishtaa to badalataa kyo.n hai.n ?
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #89 on: June 10, 2005, 09:29:40 PM »
Reply with quote
tanhi na apnatay tu our kya karty
na jashnay shola mantay tu our kya karty
andhera mangnay aea tha roshni ki bheek
ham apna ghar na jalaty tu our kya karty
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 ... 13
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 02, 2024, 11:34:58 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.263 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer