dil se mitaa bhi na sakoon

by Pooja on September 17, 2004, 05:30:15 PM
Pages: [1] 2 3 4 5
ReplyPrint
Author  (Read 6398 times)
Pooja
Guest
Reply with quote
Uski hasrat hai jise dil se mitaa bhi na sakoon ,
Dhoondhne usko challi hoon jise paa bhi na sakoon
Daal kar Khaak mere Khoon pe qaatil ne kahaa,
kuch yeh mehndi nahi meri ke mitaa bhi na sakoon
Zabt kambakht ne aur aa ke galaa ghontaa hai,
ke use haal sunaaoo to sunaa bhi na sakoon

Uske pahloo mein jo lejaa ke sulaa doon dil ko,
need aisee use aaye ke jagaa bhi na sakoon
Meharbaan ho ke bulaa lo mujhe chaaho jis waqt,
mai gayaa waqt nahi hoo ke phir aa bhi na sakoo
Zauf mei taanaa-e-aGhyaar ka shikwaa kyaa hai?
baat kuchh sar to nahi hai ke uthaa bhi na sakoon
   
Zahar miltaa hi nahi mujhko sitam_gar warnaa,
kyaa qasam hai tere milne ki ke khaa bhi na sakoo
       
 [ zauf = weakness, taana = taunt, aGHayaar = enemy, shikawa = complaint ]
 [ sitamgar = oppressor ](NM)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kis khataa par mitaa gaya... Intezar ! by Intezar in Shayri-E-Dard
Kaise Sakoon Paoon......... by ANAAM in Share: Poetry of Pain
Khudko Mohabbat Mein Mitaa Dena,. {AS} by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
dil se mitaa na dena by saahill in Shayri for Khumar -e- Ishq
Sakoon by FARE in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
Deepak Dixit
Guest
«Reply #1 on: September 17, 2004, 05:53:44 PM »
Reply with quote
pooja ji aapke pyaar ko salaam
Logged
Deepak Dixit
Guest
«Reply #2 on: September 17, 2004, 05:53:59 PM »
Reply with quote
pooja ji aapke pyaar ko salaam
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #3 on: September 18, 2004, 06:42:35 AM »
Reply with quote
nice one pooja.............
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #4 on: September 18, 2004, 06:46:37 AM »
Reply with quote
Jab Yunhi Kabhi Baithay Baithay
Kuch Yaad Achanak Aa ja Ay
Her Baat Say Dil Bayzar Sa Ho
Her Cheez Say Dil Ghabra Jaay
Karna Bhi Mujhay Kuch Aur He Ho
Kuch Aur He Mujh Say Ho Jaay
Kuch Aur He Sochoon Mein Dil Mein
Kuch Aur He Hontoon Per Aaye
Aisay He Kisee Aik Lamhay Mein
Chupkay Say Kabhi Khamoshi Mein
Kuch Phool Achanak Khil Jayen
Kuch Betay Lamhay Yaad Aaye

Us Waqt Terey Yaad Aatee Hai
Jab Chandni Dil Kay Aangan Mein
Kuch Kehnay Mujh Say Aa jaaye
Ik Khwabedaa Se Chote Koi
Ehsaas Pay Meray Chaa jaAy
Jab Zulf Parayshaan Chehray Per
Kuch Aur Parayshaan Ho JaAy
Kuch Dard Bhi Dil Mein Honay Lagay
Aur Saans Bhi Bojhal Ho jaay
Aisay He Kisee Aik Lamhay Mein
Chupkay Say Kabhi Khamoshi Mein
Kuch Phool Achanak Khil Jaayen

Us Waqt Terey Yaad Aatee Hai
Jab Shaam Dhalay Chaltay Chaltay
Manzil Ka Na Koi Naam Milay
Hansta Hua Ik Aaghaz Milay
Rota Hua Ik Anjaam Milay
Palkoon Kay Laraztay Ashkoon Say
Is Dil Ko Koi Paygham Milay
Aur Sari Wafaoon Kay Badlay
Mujh Ko He Koi Ilzaam Milay
Aisay He Kisee Aik Lamhay Mein
Chupkay Say Kabhi Khamoshi Mein
Kuch Phool Achanak Khil Jaayen
Kuch Beetay Lamhay Yaad Aayen

Us Waqt Terey Yaad Aatee Hai
Shidat Say Terey Yaad Aatee Hai
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: September 18, 2004, 07:09:01 AM »
Reply with quote
Bhaut khoobsurat likha hai!!! wah! kya baat hai...both Pooja and Waheed...


Yaaden teri dil-o-jaan ko tarpaayen
Main Apne zakhm chupaoon bhi to kaise
Dil ka nasoor ankhon main jo aa jaye
Main ashkon pe bandh lagaoon bhi to kaise
Maloom hai gaya hai wo na aane ke waaste
Par ek aas jo thehri hai wo bujhaoon bhi to kaise!!  

Nasoor=Zakhm


(yeh maine likha hai! Kaisa hai? )
Logged
waheed
Guest
«Reply #6 on: September 18, 2004, 01:39:22 PM »
Reply with quote
nice talat ji

dekha aap mein bhi talent hain sab ko thoda na thoda likh ne aata hai talat ji
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: September 18, 2004, 06:16:00 PM »
Reply with quote
thanx!! par main habitually nahin likti once a while alfaaz apne aap hi jurh jaate hai!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #8 on: September 19, 2004, 07:55:04 AM »
Reply with quote
thanx Talat..............
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #9 on: September 19, 2004, 08:00:31 AM »
Reply with quote
nice one......Talat..............

Yaad Rakho To Dil Key Paass Hain Hum
Bhool Jao Tou Fasley Hain Bahot….
Logged
Talat
Guest
«Reply #10 on: September 21, 2004, 06:24:43 AM »
Reply with quote
Yaadon ka ek jangal le kar
Sahan-e-chaman main tanha dil
Yoon bhatka bhatka phirta hai...
Door kahin bas jaane waale
Apna har pal har lamha de kar
Jeevan kar gaye apne naam..
Jaagti ankhon ke ye sapne ab bahot hume dilgeer karen..
Humne kab chaha tha ki lamhon ko zanjeer karen!!! (NM)

Sahan=Aangan
Dilgeer=Udaas
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #11 on: September 21, 2004, 07:01:45 AM »
Reply with quote
nice......talat...

maray dil main ik bat ha gar kaho to bata doon
dharkanoun ka ajab haal ha gar kaho to suna doon
mujhay har taraf rang bikhray sa nazar aatay hain
khushi ka ajab sa saman ha gar kaho to dikha doon
marey har aansoo main kausa-e kaza ka rang hain
umeedd ki ajab tarang ha gar kaho to bata doon
jo daikhtay thay meri aankhoun main udaasi har suu
ajj roshnioun ka ik jehan ha gar kaho to dikha doon
Logged
Talat
Guest
«Reply #12 on: September 21, 2004, 08:58:37 AM »
Reply with quote
Good one Waheed!!!
Logged
nishita
Guest
«Reply #13 on: September 21, 2004, 10:58:03 AM »
Reply with quote
good all
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #14 on: September 21, 2004, 05:01:35 PM »
Reply with quote
thanx talat.........nishita,..............

teri dua se kaza tou badal nahi sakti
magar hai is se yeh mumkin ke tu badal jaye.........
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 11:13:44 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.129 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer