<-------HUM YAAD BAHUT AYENGE------->

by badnaam_shayar on November 02, 2005, 04:47:06 PM
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 9799 times)
badnaam_shayar
Guest
Reply with quote
tab yaad bahut hum aayenge

jab be waja kisi ko tadpana chaho ge

tab yaad bahut hum aayenge

jab yun hi be waja kisi ko satana chaho ge

tab yaad bahut hum aayenge

jab yun hi kisi ke dil ko todna chaho ge

tab yaad bahut hum aayenge

jab yun hi kisi ko be waja rula ke khush hona chaho ge

tab yaad bahut hum aayenge

jab tum se bhi koi bewafai kare ga

tab yaad bahut hum aayenge

jab apni salgira par kisi ko betabi se wish karta na pao ge

tab yaad bahut hum aayenge

jab kisi ko ghar main apna muntazir na pao ge

tab yaad bahut hum aayenge

jab koi or suchi muhabbat karne wale ko na pao ge

tab yaad bahut hum aayenge

jab bin baadal barsat main kisi ko jhumta pao ge

tab yaad bahut hum aayenge

par jab yaad hum tumhein aayenge

tab tum hum ko kahin na pao ge

haan magar yaad bahut hum aayen ge
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
yaad ayenge by jindagi in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Bahut Purani Yaad Ko by Preet R in Other Languages
eh dost, tum bahut yaad aye by sanprem in Shayri for Dard -e- Judai
Aaj Rootha hua ek dost bahut yaad aaya by -Kashish- in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry) « 1 2  All »
BAHUT PURANI YAAD by pritam tripathi in Shayri-E-Dard
waheed_rose2004
Guest
«Reply #1 on: November 02, 2005, 06:25:42 PM »
Reply with quote
very  nice  Gaurav.............  isko  dard judai mein  aap  ko likhna chahiye tha....

Moved by:  Yoindia Monitor Waheed.

Reason :- Inspiration Location
Logged
neeer_samaa
Guest
«Reply #2 on: November 03, 2005, 07:42:29 AM »
Reply with quote
Quote from: "badnaam_shayar"
tab yaad bahut hum aayenge

jab be waja kisi ko tadpana chaho ge

tab yaad bahut hum aayenge

jab yun hi be waja kisi ko satana chaho ge

tab yaad bahut hum aayenge

jab yun hi kisi ke dil ko todna chaho ge

tab yaad bahut hum aayenge

jab yun hi kisi ko be waja rula ke khush hona chaho ge

tab yaad bahut hum aayenge

jab tum se bhi koi bewafai kare ga

tab yaad bahut hum aayenge

jab apni salgira par kisi ko betabi se wish karta na pao ge

tab yaad bahut hum aayenge

jab kisi ko ghar main apna muntazir na pao ge

tab yaad bahut hum aayenge

jab koi or suchi muhabbat karne wale ko na pao ge

tab yaad bahut hum aayenge

jab bin baadal barsat main kisi ko jhumta pao ge

tab yaad bahut hum aayenge

par jab yaad hum tumhein aayenge

tab tum hum ko kahin na pao ge

haan magar yaad bahut hum aayen ge



aapne yaad ke baare main bahot achaa likha hani par kuch hum bhi arja kare

tab tum yaad bahot aaoge
jab paani barsata hoga

tab tum yaad bahot aaoge
jab koi kisike baho mai lipata hoga

tab tum yaad bahot aaoge
jab kio bacha apani maa ko dhundta hoga

tab tum yaad bahot aaoge
jab raat ko niend nahi aayegi

tab tum yaad bahot aaoge
jab subha ki pahali kiran niklegi

tab tum yaad bahot aaoge
jab raat main chandrma apani roshni phalayega

tab tum yaad bahot aaoge
jab raat main raat rani khilegi

tab tum yaad bahot aaoge
jab meri aakhri saans chal rahi hogi

tum har waqut bahot yaad aaoge
par main janata hu ki kisi bhi waqut tum mere sath nahi hoge :pissed:
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #3 on: November 03, 2005, 09:26:27 AM »
Reply with quote
Welcome to yoindia Neeer saamaa

Bahut accha likha aapne Fantastic.
Keep posting......

Tere yaadoan me hain khoye hue gum kal ki tarah
pyar karte hain tumhe aaj bhi hum kal ki tarha
tu ne bakshi thi kabhi mujh ko jo apna ban kar
aaj bhi hain mere seene me woh zakhm kal ki tarha
chahtain hai tumhain hum pyar tumhain karte hain
hi kaise kahen aati hai sharam kal ki tarha
phir zara apni mahobbat ka yaqeen mujh ko dila
phir zara kha tu mere sir ki kasam kal ki tarha
haan wahi "shayar" woh deewana wohi awara
abhi bhi bharta hai tere pyar ka jaam kal ki tarha
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #4 on: November 04, 2005, 04:44:20 PM »
Reply with quote
wow badnaam shayar ji,bohat hi khoob likha hai aapne.very nice neeer samaa,welcome to yoindia Usual Smile .

"Tab yaad ham bohat aayenge,
  jab zindagi jeene ki tum tamanna rakhoge,
  aur paas koi ham jaisa na paaoge,
  tab yaad ham bohat aayenge,
  jab dil ki baat kisi se kehna chahoge,
  aur kisi ko aaspaas na paaoge,
  ek na ek din yaad karoge meri wafaon ko,
  apni bewafaai ke kisse aakhir kise sunaoge."
Logged
dinbandhu
Guest
«Reply #5 on: November 06, 2005, 01:49:10 PM »
Reply with quote
bahoot khoob
yaad me teri hum sari raat ask bahaya karte hai
gar ek sama bujhi hum doosari jalaya karte hai
asko ki dhaar se likhte hai naam tera
ye jamanewale padh na le is liya mitaya karte hay
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #6 on: November 08, 2005, 08:33:37 PM »
Reply with quote
wow dinbandhu ji accha likha aapne
Welcome to yoindia  tongue3

Teri yaadein dil se mere jaati nahi,
Pal pal tadapti hai mujhe chain bhi le jaati kahin,
Rishta kya hai naa jaane tumse mera,
Jaan chali jaati magar yaad teri reh jaati hai...............nm.
Logged
neeer_samaa
Guest
«Reply #7 on: November 14, 2005, 05:21:36 AM »
Reply with quote
jise mana hamne hamari zindni wah hamse
juda ho to zindgi jine ki chahat nahi
jise mana hamne hamari zindgi wah hamse
juda ho to is dil main koi tamana nahi rahegi
jise mana hamne hamari zindgi wah hamse
juda ho to hamare jine ka koi maksad nahi hoga
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #8 on: December 22, 2005, 04:05:02 AM »
Reply with quote
Yahi wafa ka silsilaa hai,toh koi baat nahi
Yeh dard tumne diya hai,yoh koi baat nahi
Yehi bahut hai ki tum dekhte ho sahil se
Badnaam tera shayar doob raha toh koi baat nahi
Rakha tha aashiyaana-e-dil main chupa k tumko
Woh ghar tumne chor dia hai toh koi baat nahi
Tum hee ne aayena-e-dil mera banaya tha
Tum hee ne tor dia hai toh koi baat nahi
Kiski majal kahe koi mujh ko Deewana
Agar yeh tumne kaha hai toh koi baat nahi............
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #9 on: December 22, 2005, 05:44:10 PM »
Reply with quote
Dhuaan banaa ke, fiza me urra diya mujhko,
me jal rahaa tha, kisi ne bujha diyaa mujhko,

Mein ek zarra bulandi ko chhoone nikla tha,
hawaa me thaam ke zamin par giraa diyaa mujhko,
Logged
Sonu
Guest
«Reply #10 on: December 23, 2005, 08:08:05 PM »
Reply with quote
badnam shayr ji bahut he acha likha hai apny...

dubna sager mey chaha reth sey dar gaye
tutti judti lehar key kaphiloon sey ghir gaye hum
surey ki garmi sey tep ker chandni sey der gaye hum
verha sey jhulsey huey they
milan sey hee der gaye hum..

neer apney bhi bhoot khoob likha hia...
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #11 on: December 24, 2005, 05:38:25 PM »
Reply with quote
Quote from: "Sonu"
badnam shayr ji bahut he acha likha hai apny...

dubna sager mey chaha reth sey dar gaye
tutti judti lehar key kaphiloon sey ghir gaye hum
surey ki garmi sey tep ker chandni sey der gaye hum
verha sey jhulsey huey they
milan sey hee der gaye hum..

neer apney bhi bhoot khoob likha hia...


thnx sonu ji.....and goood one too....
Logged
Sonu
Guest
«Reply #12 on: December 24, 2005, 07:53:00 PM »
Reply with quote
u r most welcome badnam shayar ji... and

thanks badnam shayar ji...
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #13 on: December 29, 2005, 09:25:07 AM »
Reply with quote
Na jaane kyun ab har saans tera hee naam leti hai,
Na jaane kyun ab har dhadkan tere deedar ke liye hee dhadkti hai,
Ab shayad jayada waqt nahi bacha mere paas,
kyunki ab har marz har dawa mera hee naam leti hai....... :wink:
Logged
Sonu
Guest
«Reply #14 on: December 29, 2005, 05:05:24 PM »
Reply with quote
very nice badnaam shayar ji... good

Tanhayi mein baithe hue jab sochti hoon kuchh likhun,
Tab gamon ki dhaara samney sey gujar jati hai.
Khushi ke do labz bhi zuban tak nahin aate,
Kavita meri dukhon ke sabdon se bhar jati hai.
Logged
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 05:11:25 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.216 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer