<>*Meri Ummeed*<>

by *KasaK*....Dil Ki on October 17, 2010, 05:45:52 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1055 times)
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
Reply with quote
<>*Meri Ummeed*<>


Aankhon se sabhi dil ki  baatein bayaan ho jatee hain
Lakh chhupaye koi mahobat aankhon me nazar aa jati hai

Har raat khwabon ka safar tay hota hai tere sath magar
Subah hoti hai aur raat ki sari madhoshi utar jati hai

Roshan sawera leke jayega apne sath ye dard ka kohra bhi
Isi ummeed me meri har raat suraj ki raah takti reh jati hai

Ye mere ashk hi to hain jo nishani haintere pyaar ki
Teri tarah ye ashkon ki barsaat tanhai me sath nibha jati hai

Kabhi na kabhi to basega mere bhi pyaar ka gulistaan
Meri ummeed roz hi ek naye khwaab ka paudha laga jati hai…!!!

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
ummeed by hafza in Shayri for Dard -e- Judai
Ummeed by scanin in SMS , mobile & JOKES
Ummeed by Ram Saraswat in Shayri-E-Dard
hai dil ko ab bhi ye ummeed-1 by Neel1525 in Shayri for Khumar -e- Ishq
hai dil ko ab bhi ye ummeed-2 by Neel1525 in Shayri for Khumar -e- Ishq
ParwaaZ
Guest
«Reply #1 on: October 17, 2010, 06:09:50 PM »
Reply with quote
kasak Jee Aadaab!

Aapke sabhi ashaaroN ke khayaal behad khoob hai daad..
Kafi gehre ahsaas kaheN hai aapne ....

Likhati rahiye.....
Koshish jari rakhiye... Nikhar aata raheNga..

Khush Rahiye....
Khuda hafez.... Usual Smile         

Logged
Intezar
Guest
«Reply #2 on: October 17, 2010, 06:37:19 PM »
Reply with quote
kasak ji aapki ummeed jaroor rang laayegi humesha ki tarah achha likha hai aapne kaafi achhe jazbaat zahir kiye hain aapne...bahut achha... ! agar wakt ho to mere jawab par bhi ek nazar ho jaaye...

Intezar !

<>*Meri Ummeed*<>


Aankhon se sabhi dil ki  baatein bayaan ho jatee hain
Lakh chhupaye koi mahobat aankhon me nazar aa jati hai

Tu chhupa gaya har raaz apni palko mein kuch is tarah
Aansuo ko bhi roke rakha ki khabar mujhko na ho jaaye,



Har raat khwabon ka safar tay hota hai tere sath magar
Subah hoti hai aur raat ki sari madhoshi utar jati hai

Rishta-e-ummed bhi kya us roshni se jo aakar phir gujar jaaye
Hai jo ummeed kisi ke intezar ki phir chahe din me raat ho jaaye



Roshan sawera leke jayega apne sath ye dard ka kohra bhi
Isi ummeed me meri har raat suraj ki raah takti reh jati hai

Duaa hai tere liye ek sahar ki jo tujhe mujh tak kheench laaye
Andhera bhi raaste mein aaye agar to wo bhi tere saath ho jaaye



Ye mere ashk hi to hain jo nishani haintere pyaar ki
Teri tarah ye ashkon ki barsaat tanhai me sath nibha jati hai

Main koi wakt nahin tha phir bhi gujar gaya tujhse hokar us roz
mangti hai hisaab zindagi meri un aansoN ka hai tune jo bahaaye



Kabhi na kabhi to basega mere bhi pyaar ka gulistaan
Meri ummeed roz hi ek naye khwaab ka paudha laga jati hai…!!!

khil jayega gulistaan tere khwabon ka rakh ikhtiyar apne Intezar par
Sazaavaar hai tu us har khwaab ka,  hain palko par  tune jo sajaaye…!



Sahar = savera
Sazaavaar = deserving


Shukriya
Intezar !
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #3 on: October 17, 2010, 07:06:56 PM »
Reply with quote
bhtttttttt khubbbb intezar ji kya mast reply diya hai aapne hamesha ki tarah sach me maza aagaya........
 Applause Applause Applause Applause
lijiye humne bhi ek koshish ki hai..hope u like it....


Tu chhupa gaya har raaz apni palko mein kuch is tarah
Aansuo ko bhi roke rakha ki khabar mujhko na ho jaaye,


Palkein meri jhuk jaya karti thi tujhse nazar milate hi
Main darti rahi kahin tujhse chahat ka ikraar na ho jaye


Rishta-e-ummed bhi kya us roshni se jo aakar phir gujar jaaye
Hai jo ummeed kisi ke intezar ki phir chahe din me raat ho jaaye


Nahin hai khuaf mujhe raat k gahan andhere me tere intezar ka
Dar lagta hai kahin subah k ujaale me mahobbat ruswa na ho jaye


Duaa hai tere liye ek sahar ki jo tujhe mujh tak kheench laaye
Andhera bhi raaste mein aaye agar to wo bhi tere saath ho jaaye


Nahin chahti main k main teri zindagi me to andhera banke aun
Main bhor ki pehli kiran hun jo man k andhere me ujala faila jaye



Main koi wakt nahin tha phir bhi gujar gaya tujhse hokar us roz
mangti hai hisaab zindagi meri un aansoN ka hai tune jo bahaaye

Tere paas se guzar jane se mahek rahe mere jism o ruuh ab tak
Tu fir se aajaye paas mere to meri ye zindagi fir ek bar sanwar jaye



khil jayega gulistaan tere khwabon ka rakh ikhtiyar apne Intezar par
Sazaavaar hai tu us har khwaab ka,  hain palko par  tune jo sajaaye…!

Karega har khwaab mera pura tu aur tera pyaar bhara sath
Hai dua yehi *KasaK* ki ye intezar k pal jaldi se guzar jaye…!!!
Logged
raajaindra
Guest
«Reply #4 on: October 17, 2010, 07:26:41 PM »
Reply with quote
bahut khoob kasak ji....

"Dar lagta hai kahin subah k ujaale me mahobbat ruswa na ho jaye..."

sazda pesh karta hun   notworthy
Logged
Intezar
Guest
«Reply #5 on: October 17, 2010, 07:42:33 PM »
Reply with quote
bhaut badhiya kasak ji kya baat hai.... haya bhi, dard bhi, jazbaat bhi, aur intezar bhi... !
                           humne bhi jawab likhne ki koshish ki hai phir se,,  shayad aapko pasand aaye...


Khud ko chhupa kar haya ke chaadar mein samet li apni baaheN bhi
Hontho se to baat zaada hoti nahin thi,aur pher li apni nigaaheN bhi

Na kar khauf kisi gham ka kisi ilzaam ka in zamaane waalon ke tu
Badnaam karne ki pak mohabbat ko to rawaayat rahi hai Zamaane ki

dil me teri Roshni liye hi to zinda hun ab tak is raat ke andhere mein
warna koshish to bahut ki humne tere baad toot kar bikhar jaane ki

Shaamil kar ke tujhe apni saansoN meiN phir ek baar main kasak
Phir se yaad dila duN tujhe baaten apne pyar ke guzre zamaane ki,

Kab tak bhala kaid rakhega mujhe ye andhera is lahad ka “Kasak”
Bas raah dekh raha hai Intezar tere is raah se ek baar guzar jaane ki..!


Intezar !

  Rawaayat- the way, tradition
  Lahad- kabra


Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #6 on: October 17, 2010, 09:50:06 PM »
Reply with quote
bahut achcha likha hai aapne Kasak ji... aur Intezaar ji aapne bhi bahut hi khoob likha hai...!!!

Main isme kuch poetic reply nahi de raha kyunki aap dono ke jugalbandi achchi chal rahi hai.. ise chalte rehne dijiye...!!!


 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Intezar
Guest
«Reply #7 on: October 17, 2010, 09:53:20 PM »
Reply with quote
kapil bhai aise kaam nahin chalega... jawab to dena padega aapko bhi... aur waise achha laga aap ko itni raat ko dekh kar !

Intezar

bahut achcha likha hai aapne Kasak ji... aur Intezaar ji aapne bhi bahut hi khoob likha hai...!!!

Main isme kuch poetic reply nahi de raha kyunki aap dono ke jugalbandi achchi chal rahi hai.. ise chalte rehne dijiye...!!!


 Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #8 on: October 18, 2010, 07:25:46 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Anamika Ji aur Intezaar Ji
Aap dono ne achchhi mehfil sazaii hai
Logged
mamta bajpai
Guest
«Reply #9 on: October 18, 2010, 07:40:07 AM »
Reply with quote
Bahut khoob Kasak jee ! Behad hee khoobsoorat andaaz bayaani hai hum se kaheeN bahut aage......likhte rahiye hume paRhanaa achchha lagta hai...

Mamta Bajpai
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #10 on: October 18, 2010, 08:17:53 AM »
Reply with quote
kya baat he anu ji..bahut khoob likha he...

kuchh bahut pehle likha tha usi me se thoda sa edit karke pesh karta hun~

aapke jitna to nahi par koshish karuga shayad kuchh aas paas likha paun.....


me aks hun tumhara mujhe chhupaogii kaise,
me saanso ki lay me hun mujhe bhulaogi kaise,
or meri shayari keh degi jo dil me chhupa rakha hai..
tum laakh chhupao raaz -e-dil ankhon ne bata rakha hai..
Logged
ANAAM
Guest
«Reply #11 on: October 18, 2010, 09:56:52 AM »
Reply with quote
Tumse he hai ummeed mujhko tum he ho khawaab mera
Rangeen sapna ho tum he mera,tum he meri aarjoo ho

<>*Meri Ummeed*<>


Aankhon se sabhi dil ki  baatein bayaan ho jatee hain
Lakh chhupaye koi mahobat aankhon me nazar aa jati hai

Har raat khwabon ka safar tay hota hai tere sath magar
Subah hoti hai aur raat ki sari madhoshi utar jati hai

Roshan sawera leke jayega apne sath ye dard ka kohra bhi
Isi ummeed me meri har raat suraj ki raah takti reh jati hai

Ye mere ashk hi to hain jo nishani haintere pyaar ki
Teri tarah ye ashkon ki barsaat tanhai me sath nibha jati hai

Kabhi na kabhi to basega mere bhi pyaar ka gulistaan
Meri ummeed roz hi ek naye khwaab ka paudha laga jati hai…!!!

Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #12 on: October 18, 2010, 12:50:43 PM »
Reply with quote
kasak Jee Aadaab!

Aapke sabhi ashaaroN ke khayaal behad khoob hai daad..
Kafi gehre ahsaas kaheN hai aapne ....

Likhati rahiye.....
Koshish jari rakhiye... Nikhar aata raheNga..

Khush Rahiye....
Khuda hafez.... Usual Smile         



thnk u parwaz ji aapki daad  aur hausla afzai k liye...
Logged
Rahi2001
Maqbool Shayar
****

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
5 days, 19 hours and 8 minutes.

ミ★яαнι★彡¤ℓσνє¤ ●๋•кιηg σƒ ωαソ●๋•

Posts: 745
Member Since: Nov 2008


View Profile WWW
«Reply #13 on: October 18, 2010, 01:53:18 PM »
Reply with quote
bht khooooooooooob anu diiiiiiiiiiiiiiiiii


maja aagayaaaaaaaaa
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 18, 2024, 12:27:43 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer