Tujh Se Juda Ho kar....

by Aryaan on April 12, 2005, 12:30:55 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 6
ReplyPrint
Author  (Read 6283 times)
Aryaan
Guest
Reply with quote

Tum laut ke aao ge humse milney
Roz dil ko behlaane ki aadat ho gayi

Tere waade pe kiya bharosa kya hum ne
keh shab bhar tera intezaar karne ki aadat ho gayi

Khushi mein bhi hum kya muskurate keh
Teri judaai mei rone ki aadat ho gayi

Qaafiley nikal gaye humein choar ke
Keh ab tau tanha safar ki aadat ho gayi

Harr morh par mili gham ki parchaiyaan
Zindagi se samjhota karne ki aadat ho gayi

Jaante they keh nahi ho sakte kabhi tum hamare
Phir bhi khuda se tujhe maangne ki aadat ho gayi

Paiman-e-wafaa kya hai humein kya maloom
Ke bewafaaon se dil lagaane ki aadat ho gayi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tum hamsey jab juda hoge by lovesharma in Shayri-E-Dard
tujh se juda hoke by shyama in Shayri for Dard -e- Judai
Ghazal: jaanaa thaa maine tujh ko tujh se bhee zyaadaaH...! by DhavalRami in Shayri-E-Dard
Do pal tujh se juda thha by awais_007 in Share:Miscellaneous Shayari
Juda juda !!…..(sahal) by sahal in Shayri-E-Dard
sandhaya
Guest
«Reply #1 on: April 12, 2005, 07:58:14 AM »
Reply with quote
Quote from: "Aryaan"

Tum laut ke aao ge humse milney
Roz dil ko behlaane ki aadat ho gayi

Tere waade pe kiya bharosa kya hum ne
keh shab bhar tera intezaar karne ki aadat ho gayi

Khushi mein bhi hum kya muskurate keh
Teri judaai mei rone ki aadat ho gayi

Qaafiley nikal gaye humein choar ke
Keh ab tau tanha safar ki aadat ho gayi

Harr morh par mili gham ki parchaiyaan
Zindagi se samjhota karne ki aadat ho gayi

Jaante they keh nahi ho sakte kabhi tum hamare
Phir bhi khuda se tujhe maangne ki aadat ho gayi

Paiman-e-wafaa kya hai humein kya maloom
Ke bewafaaon se dil lagaane ki aadat ho gayi

tuh udass na ho meri jaan
ki teri udaasi mein meri hassi kho gai hai

tujhe dekhne ko ji karta hai
ki tujhe dekhne ki adaat mujhe harpal ho gai hai

bhul gai hun main abh tuh saara zamaana
ki tujhe yaad karne ki jab se addaat si ho gai hai

hum tere saath hai har pal
meri wafa hi sayaad meri khata ho gai hai
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #2 on: April 12, 2005, 11:21:44 PM »
Reply with quote
Wah! Sandhaya kya khoob reply kiya hai aap ne...Bohat achey!
lagta hai mujhe aap jaise coach ki zaroorat hai...
Logged
jalpari
Guest
«Reply #3 on: April 13, 2005, 01:24:10 AM »
Reply with quote
Quote from: "Aryaan"

Tum laut ke aao ge humse milney
Roz dil ko behlaane ki aadat ho gayi

Tere waade pe kiya bharosa kya hum ne
keh shab bhar tera intezaar karne ki aadat ho gayi

Khushi mein bhi hum kya muskurate keh
Teri judaai mei rone ki aadat ho gayi

Qaafiley nikal gaye humein choar ke
Keh ab tau tanha safar ki aadat ho gayi

Harr morh par mili gham ki parchaiyaan
Zindagi se samjhota karne ki aadat ho gayi

Jaante they keh nahi ho sakte kabhi tum hamare
Phir bhi khuda se tujhe maangne ki aadat ho gayi

Paiman-e-wafaa kya hai humein kya maloom
Ke bewafaaon se dil lagaane ki aadat ho gayi

bohat ache Aryaan....Usual Smile
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #4 on: April 13, 2005, 05:48:20 AM »
Reply with quote
Thank you Jalpari...........................
Logged
Meena
Guest
«Reply #5 on: April 13, 2005, 03:32:46 PM »
Reply with quote
wahh aryaan ji!!!!!!!! aur sandhaya ji kya reply di hai aap ne!!!!!!! well done!!!!!!!!!!

 :D
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004

View Profile
«Reply #6 on: April 13, 2005, 05:50:03 PM »
Reply with quote
wah aryan,bohat khoob likha aur sandhaya ji bohat hi accha reply diya apne bhi.
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #7 on: April 13, 2005, 11:22:30 PM »
Reply with quote
Thanks a lot Meena & Nidhi.................Usual Smile
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #8 on: April 14, 2005, 05:41:28 AM »
Reply with quote
Quote from: "Aryaan"
Wah! Sandhaya kya khoob reply kiya hai aap ne...Bohat achey!
lagta hai mujhe aap jaise coach ki zaroorat hai...

Aryaan kyun sarminda kar rahe ho tum mujhe

thank u Meena ji and Nidhi
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #9 on: April 15, 2005, 02:40:07 AM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
Quote from: "Aryaan"
Wah! Sandhaya kya khoob reply kiya hai aap ne...Bohat achey!
lagta hai mujhe aap jaise coach ki zaroorat hai...

Aryaan kyun sarminda kar rahe ho tum mujhe

thank you Meena ji and Nidhi

Ok Sandhaya.. agar sachai aapko sharminda karti hai tau ab nahi karoon ga.....Usual Smile
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #10 on: April 15, 2005, 02:51:43 AM »
Reply with quote
Mm mm mm mm mm, mm mm mm mm mm
Honton pe tera naam hai, aankhon mein pyaar hai - 2
Zinda hoon is liye ke tera intezaar hai
Honton pe tera naam hai, aankhon mein pyaar hai
Zinda hoon is liye ke tera intezaar hai
Tune kaha tha laut ke aayegi tu zuroor - 2
Is aas pe main jeeta raha hoke tujhse door
Vaade pe tere ab bhi mujhe aitbaar hai
Zinda hoon is liye ke tera intezaar hai
Honton pe tera naam hai, aankhon mein pyaar hai
Zinda hoon is liye ke tera intezaar hai
Duniya kahe na bewafa tujhko ae hamnasheen - 2
Ilzaam koi pyaar pe aa jaaye na kahin
Tu aayi na agar to mohabbat ki haar hai
Zinda hoon is liye ke tera intezaar hai
Honton pe tera naam hai, aankhon mein pyaar hai
Zinda hoon is liye ke tera intezaar hai

nm
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #11 on: April 15, 2005, 08:43:22 AM »
Reply with quote
Quote from: "Aryaan"
Quote from: "sandhaya"
Quote from: "Aryaan"
Wah! Sandhaya kya khoob reply kiya hai aap ne...Bohat achey!
lagta hai mujhe aap jaise coach ki zaroorat hai...

Aryaan kyun sarminda kar rahe ho tum mujhe

thank you Meena ji and Nidhi

Ok Sandhaya.. agar sachai aapko sharminda karti hai tau ab nahi karoon ga.....Usual Smile
aapse koi jeet sakt ahi kya Aryaan ji
Logged
rawat
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
0 minutes.

Posts: 80
Member Since: Oct 2004

View Profile
«Reply #12 on: April 15, 2005, 08:47:04 AM »
Reply with quote
koi hai jo mere dil ke kareeb hai per aankho se door hai,
koi hai jiska dil aazad hai per fir bhi majboor hai,
koi hai jo hamari chahat hai per hum unki chahat nahi,
koi hai jis ke liye hum betaab hai per hum unki bekarari nahi,
koi hia jis se hamara gehra sambandh hai per fir koi bandhan nahi,
koi hai jise hum jante hai per pehchante nahi,
koi hai hai jo hamare dil me hai per hum unki dhadkan nahi,
koi hai jo hamari rag-rag me shamil hia per hum unki rangejaa nahi,
koi hai jisse pyar ka izhar hai per ikrar ki koi ummeed nahi,
koi hai jo hamari har bato me hai per hum unki zaban nahi,
koi hai jo hamara dilbar hai per unka dil hamara ghar nahi,
koi hai jisse hamari har khusi hai per hum unki khushi nahi,
koi hai jo hamari duaao me shamil hai per hum unki dua nahi,
koi hai jo hamare charsu hai per hum unki aarzoo nahi,
koi hai jo hamari zindagi hai per hum unki bandagi nahi,
koi hai jo sirf hamara hi saathi hai per woh hamare saath nahi,
koi hai jo hamara humraz hai per hum hi un ke liye sab se bada raaz hai
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #13 on: April 15, 2005, 09:59:02 AM »
Reply with quote
Quote from: "rawat"

kya baat hai rawat ji.......veri nice wording

koi hai jo tujhe chahta hai bahut
par kabhi batata nahi
betaab hai tere liye vo bhi bahut
par kabhi  jatata nahi
mangta hai duaein teri lambhi umar ki
par teri taraf kabhi bhi haath badata nahi
vo tuh sayad murat hai ek lazza ki
vo saramata hi bahut gabarata nahi
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #14 on: April 16, 2005, 02:46:36 AM »
Reply with quote
Wah! Bohat khoob Rawat & Sandhaya....

Faasle jism ko door le jaate hain
Par dilon ke shaher tau ujarte nahi
Aankhon se aankhon ka rishta toot jaye bhi tau
Saath dekhe huwe khwaab tau mit-te nahi
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 11:24:10 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.209 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer