-----/// Tum nahi aaye /// ------ Hriday

by ~Hriday~ on August 09, 2012, 12:12:59 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2455 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
Reply with quote
-----/// Tum nahi aaye  /// ------


dekho wo kaale badal kaise tumhe nihaar rahe hain,
tum aao to barse, tumhaaraa intzaar kar rahe hain,

mere geet tumhaare naam se tumhe pukaar rahe hain,
tum aao to gaaye, tumhaaraa intzaar kar rahe hain...

main kabse is intezaar me hoon ki wo aaye aur mere seene se lag jaaye, aur wo berehem aise hain ki unhe mere is haal pe taras hi nahi aataa... aur kehte hain ki humse mohabbat hai.. wo bhi bepanaah... .

yeh kaisi mohabbat hai tumhaari jo bin bulaaye aati nahi,
aur yaadein tumhaari aisi hain jo bin rulaaye jaati nahi...

bahut waqt ho gaya tumse juda hoke.. ab aajaao... aur nahi raha jaataa.. thak gaya hoon main...  aur bas ek ummeed hai ki tum aaoge.... ek din tum aaoge... par ab tak tum nahi aaye....


kya tum naraaz ho mere kisi baat se, kyun tum nahi aaye,
karke vaadaa ek baras ki judaai ka ab tak tum nahi aaye,

har raat ke andhere ke baad suraj aayaa, par tum nahi aaye,
aayaa har mausam laut ke har baar, par ab tak tum nahi aaye,

aayi holi, diwaali, id, christmas har baar par tum nahi aaye,
aayaa nazar id me bhi chaand humko magar nazar tum nahi aaye,

likhe kai khat tumhaare naam se, jawaab bankar tum nahi aaye,
aayi khabar tumhaare har jeet ki, magar kabhi tum nahi aaye,

aaye mere har khwaab me, magar haqeeqat me nazar tum nahi aaye,
banke reh gaye ek ummeed, jise poori kabhi kar tum nahi paaye,

nahi thaa pyaar humse tumhe to pyaar ka waadaa kiya kyun tha,
lo ab to maut bhi mere kareeb aa gayi, par abhi tum nahi aaye,

karke vaadaa ek baras ki judaai ka ab tak tum nahi aaye,
aayaa har mausam laut ke har baar, par ab tak tum nahi aaye....


*****HRIDAY*****
Logged
mkv
Guest
«Reply #1 on: August 09, 2012, 01:48:38 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Hriday jee.
accha ijhaar kiya hai apni feelings ka..
bahut badhiya. Applause Applause
vaade..khoob kaha..
aajkal vaade kahan poore hote hai.?
intjaar..ye shabda aaj bhi apne vajood ke saath kaayam hai.
likhte rahiye. Applause
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #2 on: August 09, 2012, 02:20:13 PM »
Reply with quote
Bahut bahut khoob Hriday jee, kaafi achha laga aapka ye kalaam.
Logged
soudagar
Guest
«Reply #3 on: August 09, 2012, 04:38:00 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


bahut khub bahut hi umda qalaam hriday ji
Logged
BANSI DHAMEJA
Guest
«Reply #4 on: August 09, 2012, 04:54:20 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause
Hirday ji bahut hi khoob likha hai aapne
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #5 on: August 09, 2012, 06:48:34 PM »
Reply with quote
-----/// Tum nahi aaye  /// ------


dekho wo kaale badal kaise tumhe nihaar rahe hain,
tum aao to barse, tumhaaraa intzaar kar rahe hain,

mere geet tumhaare naam se tumhe pukaar rahe hain,
tum aao to gaaye, tumhaaraa intzaar kar rahe hain...

main kabse is intezaar me hoon ki wo aaye aur mere seene se lag jaaye, aur wo berehem aise hain ki unhe mere is haal pe taras hi nahi aataa... aur kehte hain ki humse mohabbat hai.. wo bhi bepanaah... .

yeh kaisi mohabbat hai tumhaari jo bin bulaaye aati nahi,
aur yaadein tumhaari aisi hain jo bin rulaaye jaati nahi...

bahut waqt ho gaya tumse juda hoke.. ab aajaao... aur nahi raha jaataa.. thak gaya hoon main...  aur bas ek ummeed hai ki tum aaoge.... ek din tum aaoge... par ab tak tum nahi aaye....


kya tum naraaz ho mere kisi baat se, kyun tum nahi aaye,
karke vaadaa ek baras ki judaai ka ab tak tum nahi aaye,

har raat ke andhere ke baad suraj aayaa, par tum nahi aaye,
aayaa har mausam laut ke har baar, par ab tak tum nahi aaye,

aayi holi, diwaali, id, christmas har baar par tum nahi aaye,
aayaa nazar id me bhi chaand humko magar nazar tum nahi aaye,

likhe kai khat tumhaare naam se, jawaab bankar tum nahi aaye,
aayi khabar tumhaare har jeet ki, magar kabhi tum nahi aaye,

aaye mere har khwaab me, magar haqeeqat me nazar tum nahi aaye,
banke reh gaye ek ummeed, jise poori kabhi kar tum nahi paaye,

nahi thaa pyaar humse tumhe to pyaar ka waadaa kiya kyun tha,
lo ab to maut bhi mere kareeb aa gayi, par abhi tum nahi aaye,

karke vaadaa ek baras ki judaai ka ab tak tum nahi aaye,
aayaa har mausam laut ke har baar, par ab tak tum nahi aaye....


*****HRIDAY*****


naaaaaaaaaaaaaaaaaice.!
Logged
piyushappy
Guest
«Reply #6 on: August 09, 2012, 09:22:51 PM »
Reply with quote
jazbaato ka izhaar behad achha hai...
 Clapping Smiley
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #7 on: August 24, 2012, 05:59:06 AM »
Reply with quote
Thank you sooooooooooo much Mukesh ji.... main aapka tahe dil se shukriyaa adaa karta hoon jo aapne ise waqt diya, padha aur pasand kiyaa,....!!!

Bahut khoob Hriday jee.
accha ijhaar kiya hai apni feelings ka..
bahut badhiya. Applause Applause
vaade..khoob kaha..
aajkal vaade kahan poore hote hai.?
intjaar..ye shabda aaj bhi apne vajood ke saath kaayam hai.
likhte rahiye. Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #8 on: August 25, 2012, 10:48:41 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriyaaa Iftakhar ji....!!!

Bahut bahut khoob Hriday jee, kaafi achha laga aapka ye kalaam.
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #9 on: August 26, 2012, 03:36:31 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriyaa Soudagar ji...!!!

Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


bahut khub bahut hi umda qalaam hriday ji
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #10 on: August 27, 2012, 03:17:56 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriyaa Bansi ji....!!!

Applause Applause Applause Applause Applause
Hirday ji bahut hi khoob likha hai aapne
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #11 on: August 29, 2012, 03:32:59 PM »
Reply with quote
thanks a lot K_A ji...!!!


naaaaaaaaaaaaaaaaaice.!
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #12 on: August 30, 2012, 05:21:30 AM »
Reply with quote
bahut bahut shukriyaa Piyush ji.....!!!

jazbaato ka izhaar behad achha hai...
 Clapping Smiley

Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 24, 2024, 10:40:44 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.181 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer