yaad

by salaam2all on December 21, 2004, 04:26:07 AM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6
ReplyPrint
Author  (Read 6447 times)
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #60 on: May 17, 2005, 03:15:35 PM »
Reply with quote
Quote from: "tajinder"
tu na jaana mujhe teri yad bohat ayegi
yaad tere saath har baat ayegi,
shiqayat se se bhara tujhko paigaam bhejunga
hawaoon mein bhi likhi fariyad ayegi,
dikh jaye agar mujhko teri ankhon mein badal
ankhon se meri gum ki barsaat ayegi,
saalon tak nazar tikaye betha raha jigar
socha abhi nahi, der baad ayegi.................
again a gr8 job salaam ji,tajinder.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
yaad by Sonu in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Na Salaam Yaad Rakhna, Na Paigaam Yaad Rakhna, by pankaj_pups in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
Yaad Yaad yaad bas yaad reh jati hai by Cma in Songs & Lyrics « 1 2  All »
Aae na tere yaad kabhi yaad ki tarah by khalidrawat in Shayeri for Dard -e- Bewafai
fakharenaveed
Guest
«Reply #61 on: May 17, 2005, 08:59:52 PM »
Reply with quote
Janey kaisey mohobat nakaam hoti hai,
Yeh noor-e-khuda hai kyun badnam hoti hai,
Bewafaie kisi ne ki aur mujrim mohobat banti hai,
Nakaam woh log hain jo mohobat le nahi paatey hai,
Woh kabhi nakaam nahi Jis dil me mohobat ka suraj hai,
Woh mohobat ke kabil he nahi jo pyar pehchanta nahi,
Dil-e-musafir mein ek mohobat ke shamma jalti hai,
Uss noor ko zinda rakhna ki zamana sangdil hai,
Zamana se nahi... mujhey pyar se pyar hai.
Logged
salaam2all
Guest
«Reply #62 on: May 19, 2005, 03:28:17 PM »
Reply with quote
shukriya nhdhi jee and well written tajinder and fakhareneveed.........salaam
Logged
salaam2all
Guest
«Reply #63 on: May 19, 2005, 03:29:44 PM »
Reply with quote
k merey saath chal ye duniya bhi hasee hogi
tanha katega gar safar tou phir kamee hogi
huey jo saath tou ye aasma bhi choo le gay
huey tanha tou bus ye door tak zamee hogi
Logged
tajinder
Guest
«Reply #64 on: May 20, 2005, 04:01:29 AM »
Reply with quote
Quote from: "salaam2all"
shukriya nhdhi jee and well written tajinder and fakhareneveed.........salaam


thanx nidhi ji n sallam u r also great.. well written
Logged
tajinder
Guest
«Reply #65 on: May 20, 2005, 04:02:53 AM »
Reply with quote
Tere dar se jo ab uthe to khan jayen hum,
Jhan tak jaye ye nazar tumko paye hum,
Teri gali ki hawa bhi sharab jaise hai,
Bina piye bhi jo guzre to ladkhadaye hum
Logged
myloveosho
Guest
«Reply #66 on: May 20, 2005, 08:23:39 AM »
Reply with quote
Quote from: "amit_is_always_cool"
Khud say kaisay Zaat chupai ja sakti hai Chand say kaisay Raat chupai ja sakti hai, Wo to Aksar Ankhain bhi parh leta h
ai tum kahtay ho kay baat chupai ja sakti hai ...
bahut accha

bahut der ke baad acchi shayri padne ko miilli. keep it up :D
Logged
myloveosho
Guest
«Reply #67 on: May 20, 2005, 08:33:38 AM »
Reply with quote
Quote from: "salaam2all"
salaam...............


Teri judaai ka ehsaas meri nazrein batati hay
Tughey  milney ki chahat he merey dil ko dharkati hay
Terey intezaar may rokey baithey hain zindagi
In saanson ka kya hay kabhi aati hay tou kabhi jaati hay



 apne to kamaal kar diya. shayari main rang bhar diya. jiyo
Logged
myloveosho
Guest
«Reply #68 on: May 20, 2005, 08:54:28 AM »
Reply with quote
Quote from: "salaam2all"
shukriya talat jee......salaam

Kartey gaye hum shayari wah wah pe yu terey
Hoga kabhi tou ishq bhi wah wah kiye begair
Mehfil may aa gaye hain intezaar hay tera
Mushkil hui hay shayari jana terey begair
toooo. gud. wah
Logged
salaam2all
Guest
«Reply #69 on: May 20, 2005, 02:43:05 PM »
Reply with quote
thanks a lot tajinder and mylovesho.........salaam

kabhi hawao may tera pegaam aata hay
kabhi fizaao may tera SALAAM aata hay
ye kya hay maazra na janey kya ye uljhan hay
bus zuba per meri tera he naam aata hay
bechain dil ko kar raha hay kaun her lamha
tera khayaal hay jo baar baar aata hay
Logged
salaam2all
Guest
«Reply #70 on: May 27, 2005, 02:12:45 PM »
Reply with quote
Rakhtey hain teri yaad ko seeney main chupakar
 Kartey hain tumhey yaad in aankhon ko rulakar
 Ye kaun saa mukaam_e_judaai hay tu bata
 Baithey hain rehguzar may teri aas lagakar
Logged
Meena
Guest
«Reply #71 on: May 27, 2005, 02:30:56 PM »
Reply with quote
Quote from: "salaam2all"
Rakhtey hain teri yaad ko seeney main chupakar
 Kartey hain tumhey yaad in aankhon ko rulakar
 Ye kaun saa mukaam_e_judaai hay tu bata
 Baithey hain rehguzar may teri aas lagakar


bohot ache salam ji!!!


ayenge woh wapis, in umeedon ko tum jala do,
apne dard-e-dil ko ek purana fasana bana do!!
Logged
salaam2all
Guest
«Reply #72 on: May 27, 2005, 03:10:23 PM »
Reply with quote
Fasano ka rishta muhabbat hay gar tou
Ye jab bhi banengay tou phir dard hoga
Hay umeed may hum muhabbat ki aisi
Tarap ho yaha tou waha dard hoga
Jalau may kaisey umeedon ka daaman
Jo kehta hay ye faasla kum tou hoga
Logged
salaam2all
Guest
«Reply #73 on: May 29, 2005, 01:55:07 PM »
Reply with quote
Ik murghai see kali ki tarah
Ye merey ishq ki kahani hay
Kabhi khilti thi jo baharo may
aaj daaman may uskey paani hay
jisney dekha hay tughey khiltey hue
wo teri aaj bhi diwani hay
jo seechta hay teri yaado ko
in nigaho ka meri paani hay
Logged
myloveosho
Guest
«Reply #74 on: June 04, 2005, 06:35:08 AM »
Reply with quote
Quote from: "Meena"
Quote from: "salaam2all"
Rakhtey hain teri yaad ko seeney main chupakar
 Kartey hain tumhey yaad in aankhon ko rulakar
 Ye kaun saa mukaam_e_judaai hay tu bata
 Baithey hain rehguzar may teri aas lagakar


bohot ache salam ji!!!


ayenge woh wapis, in umeedon ko tum jala do,
apne dard-e-dil ko ek purana fasana bana do!!


 bahut accha salaam ji aur meena ji!!!

mujhe bhulana bhi chaho toh bhula na sakogey,
hum toh palkon pey thaher jaaengey,
 aansooun ki tarah!!!
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 07, 2024, 03:43:02 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.136 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer