achcha lagta hai

by mudassirali on October 06, 2004, 06:30:17 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2699 times)
mudassirali
Guest
Reply with quote

yaad mein teri ashq bahana achcha lagta hai
in sholon mein khud ko jalana achcha lagta hai

un ko nazar ke teer chalana achcha lagta hai
hum ko har ek zakhm chupana achcha lagta hai

gham key andherey, yaad key saaye, barbadi, tanhai
tootey ghar mein yeh bhi khazana achcha lagta hai

nazrey zeher key pyaley hon aur chehrey hon anjan
ab to aisa sheher basana achcha lagta hai

janey kitney khwab hain ab in diwani aankhon mein
phir bhi in ko rooz jagana achcha lagta hai.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Suno achcha nahin lagta!!!! by Talat in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 13 14 »
Tere bina jeena nahin achcha lagta hai by Rajesh Harish in Shayri for Khumar -e- Ishq
Achcha Lagta Hai... by anush in Miscellaneous Shayri
<>*Mujhe achcha nahin lagta*<> by *KasaK*....Dil Ki in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
*_^ Baarish Kaa Mausam Achcha Lagta Hai *_^ by Rancho-D-Idiot in Shayri for Khumar -e- Ishq
Neelam
Guest
«Reply #1 on: October 06, 2004, 08:10:13 AM »
Reply with quote
bahut acha likha aapne mudassir!
Logged
mudassirali
Guest
«Reply #2 on: October 06, 2004, 02:59:11 PM »
Reply with quote
thanks neelam
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: October 06, 2004, 06:52:05 PM »
Reply with quote
nice mudassirali.
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #4 on: October 07, 2004, 05:49:30 AM »
Reply with quote
nice one mudassar................

Mein ney hamesha sirf tujh sey hi piyaar kia hey
Aur is chahat ka yun barha izhaar kia hey,
Jaanti hoon yeh bhi keh kia hoon mey terey leyey
Yeh aur baat hey tuney na iska kabhi iqraar kia hey,
Jab ik lamhey ko bhi dheyaan kahein mera bat geya
Phir ghantoo’n akeley mein ney tera intezaar kia hai,
Jaaney kyun usi sey ho gaee hey tujhko ik zid si
Jis baat pey mein ney sab sey zeyaada israar kia hai,
Mein ney hamesha sirf tujh sey hi piyaar kia hai
Aur is chahat ka yun barha izhaar kia hai.............
Logged
mudassirali
Guest
«Reply #5 on: October 07, 2004, 06:15:34 AM »
Reply with quote
thanks all of you
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #6 on: October 07, 2004, 03:36:45 PM »
Reply with quote
kaash tumaihan daikha na hota
dil main ghum kai phool na khiltay
hountoun pay faryad na hoti
tanhaiuon kay dard na miltay
marnay ka arman na hota
aaj itnay majboor na hotay
sab loghoun say ulfat kartay
ayr khuda say door na hotay
kash kai tum ko daikha na hota.........
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #7 on: October 07, 2004, 06:26:39 PM »
Reply with quote
Very Nice Mudassir Ali ji! & Waheed Bhai!
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #8 on: October 07, 2004, 06:29:51 PM »
Reply with quote
teri har saans mahakti hai gulabon ki tarah
teri aankhen hai chamakte hue charagon ki tarah.

teri khusboo se mahakti hai mere dil ki duniya
jaise tu hai mere jine ke saharon ki tarah.

tujhko choone se bhi dar lagta hai aksar mujhko
jaise tu hai koi pak ibadat ki tarah,

tu hai to roshan hai ye duniya meri
jo nahi to sab kuch hai viraneno ki tarah.

(NM)
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #9 on: October 08, 2004, 10:02:35 AM »
Reply with quote
WAh!!!!!!!!!!  Arun Bhai.....................Nice......

Kya ISHQ kisi say kertay ho?

Ratoon ko jagtay rehtay ho

Aur taray bhi tum gintay ho

Yeh sab nishani ISHQ ki hai

Kya ISHQ kisi say kertay ho?

Zikr jo mera chalta hai

Chehray ka rang badalta hai

Bay chain say tum ho jatay ho

Kya ISHQ mujh hi say kertay ho?
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #10 on: October 08, 2004, 07:15:09 PM »
Reply with quote
Thanx! Waheed Bhai!
You have written Excellent!Tremendous!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: October 08, 2004, 07:35:03 PM »
Reply with quote
WAH!!!! BAHOOT KHOOB WAHEED_ROSE....
Logged
kanu_ch
Guest
«Reply #12 on: October 08, 2004, 09:31:50 PM »
Reply with quote
Hum Aapko Kaise Samjhaye
Hum aapko kaise samjhaye
Ki aap mere liye kya hai
Mere jeene ka maksad hai
Mere sanso ki wajah hai

Hum aapko kaise samjhaye
Aap ke liye yeh tadap kyon hai
Dil aapke liye rota kyon hai
Mera rom rom aapko pukarta kyon hai

Hum aapko kaise samjhaye
Aapki rooh meri rooh se aise milti kyon hai
Jaise hum judve aatma ho
Aap pe sab kuchh lootake bhi
Meri jholi phir bhi bhari kyon hai
Hum aapko kaise samjhaye

Hum aapko kaise samjhaye
Dil itni chhot khakar bhi aap hi ko chhahta kyon hai
Aandhion se gujhar kar bhi aap pe itna vishwas kyon hai
Hum khood nahin samjhe to
Hum aapko kaise samjhaye..?
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #13 on: October 09, 2004, 06:30:35 AM »
Reply with quote
Shukriya Arun Bhai.............Pooja Ji.......................

nice one kanu_ch
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #14 on: October 09, 2004, 06:35:25 AM »
Reply with quote
Apney ko ham is shaher mein ruswa na karege
Ab tak jo hua khair,ab aisa na karenge
Wada hai key ab aur jalayenge naa jee ko
Nuksan hai is mein to yeh sauda na karenge
Ta sham na in koochoon mey ghoomein gey paraeshaan
Ta subh shab-e-mah mein jagaa na karenge
Her mode per na thakenge diwanon ki soorat
Her dar pey tujhey ja ke pukara na karenge
Likhenge kisee aur hee unwan ki nazmein
Ghazalon mein bhee is baat ka charcha na karenge.......................
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 01:30:53 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.14 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer