----- /// Ban gaya hai koi apna ///----- klaskar

by klaskar on July 19, 2010, 04:52:42 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 3182 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
Reply with quote
haal kuch aisa hai apna,
lagta hai jaisa koi sapna,
tha main tanha is safar me,
ab koi ban gaya hai apna,

saath tera paake o jaana,
khwaab poore ho gaye hain,
har ghadi bas tera chehra,
bas wahi laage hai apna,

dhup me bhi tu hi tu hai.
os ki boondon me tu hai,
tu hai barkha, tu hai baadal,
tu hi sach hai tu hi sapna,

aaine me khud ko dekhun,
sochta hoon lagta hoon kaisa,
khwaab me socha na aisa,
ki khud ko bhi chaunga itna,

teri khaatir khud ko dekhun,
khud ko behtar karna chahun,
tha main tanha is safar me,
ab koi ban gaya hai apna...


*****HRIDAY*****
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #1 on: July 19, 2010, 05:11:23 AM »
Reply with quote
wahhhhhhhhhh..........Klaskar ji wakai me ...yunhi lagta hai aapko padhkar aap bhi mausam sang rumani ho rahe hain....

bhola bhala chehra
bholi bhali aankhen
natkhat si ye nazar
karti hai kya ishare

jab dekhti mujhe chupke se
keh deti kai afsaane
karti mujhse milne k
ye roz naye naye bahne

aate jate raahon me
rok leti mujhko
dekhti yun ye nazar mujhko
k dil me lagti hai chubhne

kahun bas tumse arz ik yahi
na karo tum nazron se julm yun humpe
hata lo ye nazar jo takti hai mujhko
kahin kho na dun khudko main duub k inme.....!!!
[/color]
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #2 on: July 19, 2010, 09:22:25 AM »
Reply with quote
Good one Kapil
N Equally good response Anamika Ji
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #3 on: July 19, 2010, 12:34:32 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Rajesh ji...!!!

Good one Kapil
N Equally good response Anamika Ji
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #4 on: July 19, 2010, 12:36:54 PM »
Reply with quote
Ji bilkul sahi kaha aapne Kasak ji.. kuch kuch aisa hi ho raha hai.... mausam subah se aashikaana ho raha hai par barish ka namo nishaan nahi... jaane kab barsega ye baadal... aur hamari kavita pasand karne ke liye bahut bahut shukriya... aur aapne bhi bahut hi khoob likha hai ... bahut bahut sundar...!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

saheliyon sang meri gali se nikalna,
unki baaton pe tera wo khilkhilana,
meri nazron se teri nazar mile to,
teri nazron ka wo sharma ke jhukaana,

fir tera wo mud mud ke mujhe dekhna,
isharon me hi mujhse tera kuch kehna,
main nasamajh main samajh hi na paaya,
teri aankhon ka tha wo jo bhi kehna,

toofan mere dil me mohabbat ka bahut tha,
par tujhse kehne ka himmat mujhe kam tha,
tukur tukur main tujhe bas dekha hi karta,
par sach tujhe kehne se main tha darta,

ab bhi yahi bas sochta hoon main ki,
milne ka tujhse mil jaaye koi bahana,
bas kuch pal tere sang reh paun to,
kehdu tujhe jo bhi dil chahe kehna...

*****HRIDAY*****
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #5 on: July 19, 2010, 12:37:46 PM »
Reply with quote
Bahot achhi rachna hai Kapil ji. Likhne ka andaaz achha laga. Daad hazir hai.
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #6 on: July 19, 2010, 12:41:07 PM »
Reply with quote
bahut bahut shukriya Riyaz ji...!!!

Bahot achhi rachna hai Kapil ji. Likhne ka andaaz achha laga. Daad hazir hai.
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #7 on: July 19, 2010, 01:01:35 PM »
Reply with quote
wahhhhh jiii aap darte hain izhaar karne se ...ye kya baat hui ji.....yunhi darte rahe na Klaskar ji...to dekhiye kahin der na ho jaye....
sahi keh rahe hain aap mausam to sach me ashikana hai...aapke yahan barish nahin aur yahan barish ruk nahin rahi.....

uffffffff main nasamjh yehi samjhti rahi
tum samjhte ho mere ishare bhi
lekin tum nasmajh kabhi samjhe hi nahin
kehna pada aakhir mujhe haar kar hi

uss din raahon me thi sakhiyan bhi sang
baithe the jab tum nukkad pe yaaron k sang
jan kar k main kuch piche ho li
karke ishara main thi tumse ye boli

"suniye... zara ek kaam hai aapse
sidha saye pata puchna hai aapse"
aap aaye ghabrate hue paas mere jab
aankhein mil gai aankhon se tab

nazar keh gai sab kuch jo tha dil me
kho gaye ek duje ki nigahon me hum
dekh kar humko pyaar me duba
mausam bhi angadaiyan lene laga tab

baarish ki halki fuhaar gai baras
hum konahin tha hosh nahin tab
hath tham tum le chale hunme uss bargad k tale
barish ne mita di fir saari laaj o sharam

tham hath mera hoaule se muskaye tum
 nazar mili hamari aur sharmaye hum
ho gaya fir ikraar mahobbat ka
aur yun ek duje k ban paye hum...!!!
[/color]
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #8 on: July 19, 2010, 01:37:45 PM »
Reply with quote
Wah mazaa aa gayaa Kask-di.....
kis khoobi se usse bana liya apna aapne.....
Issey kehte hain modern girl.....fast and firm....... Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause


Tou bas kya ye kahani hui khatam......... Winking



wahhhhh jiii aap darte hain izhaar karne se ...ye kya baat hui ji.....yunhi darte rahe na Klaskar ji...to dekhiye kahin der na ho jaye....
sahi keh rahe hain aap mausam to sach me ashikana hai...aapke yahan barish nahin aur yahan barish ruk nahin rahi.....

uffffffff main nasamjh yehi samjhti rahi
tum samjhte ho mere ishare bhi
lekin tum nasmajh kabhi samjhe hi nahin
kehna pada aakhir mujhe haar kar hi

uss din raahon me thi sakhiyan bhi sang
baithe the jab tum nukkad pe yaaron k sang
jan kar k main kuch piche ho li
karke ishara main thi tumse ye boli

"suniye... zara ek kaam hai aapse
sidha saye pata puchna hai aapse"
aap aaye ghabrate hue paas mere jab
aankhein mil gai aankhon se tab

nazar keh gai sab kuch jo tha dil me
kho gaye ek duje ki nigahon me hum
dekh kar humko pyaar me duba
mausam bhi angadaiyan lene laga tab

baarish ki halki fuhaar gai baras
hum konahin tha hosh nahin tab
hath tham tum le chale hunme uss bargad k tale
barish ne mita di fir saari laaj o sharam

tham hath mera hoaule se muskaye tum
 nazar mili hamari aur sharmaye hum
ho gaya fir ikraar mahobbat ka
aur yun ek duje k ban paye hum...!!!
[/color]
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #9 on: July 19, 2010, 01:39:54 PM »
Reply with quote
nahi Koyal ji... kahani abhi khatam nahi hui... kahani me ab twist aayega ... !!!  Usual Smile
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #10 on: July 19, 2010, 01:42:23 PM »
Reply with quote
ufffffffffffff.... aapki aadat humein bhi lag gayi ufff kehne ki.... bahut hi khoob likha hai aapne... bahut hi khoob... lajawaab..... sach me baarish ka asar hi kuch aisa hota hai... kya se kya karwa jaata hai ... ufff ye dewwani baarish .. ye pagal baarish...!!!

mujhe bhi yaad hai barsat ki wo shaam,
jab chali thi tum mere in haathon ko thaam,
bheege the hum us barsaat me is tarha,
bheege the kapde aur dhal rahi thi shaam,

badal ki us garaz ko ab bhi main bhoola nahi,
jiske awaaz se darke mere baahon me thi samayi,
baahon me bharke tumhe seene se lagaya tha,
nazron se nazar mili to tum thi tab sharmaayi,

wo bargad ka ped aur wo hamari tanhaayi,
rok na sake khud ko jab jhadi pyaar ki aayi,
saason se sanse mili aur ek ho gaye the hum,
bhool ke sab bandhano ko tum me sama gaye the hum,

socha na tha is tarha hoga haal-e-dil mera bayan,
wo baarish ki shaam hogi aur tum hogi baahon me mere,
sach me wo sham tha hi aisa ki ho gaye the tum mere,
tod ke uljhano ko saare baahon me the tum mere,

fir shuru huwe silsile, roz hum tab tumse milte the,
subah se lekar shaam tak tab ek duje ke sang rehte the,
silsila ye tham gaya tab, chod us shahar aana pada tha jab,
naukri karne ki khaatir mujhe is shahar aana pada tha jab,

ab to kaam me kuch bandh gaya hoon aisa,
sochta hoon ab mujhe nahi chahiye paisa,
fir sochta hoon ki ek lauta hoon ghar ka,
sach me jaane ye majboori hai kaisa...


*****HRIDAY*****
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #11 on: July 19, 2010, 09:14:11 PM »
Reply with quote
Waah ji waah kapil ji aur kasak ji bahut hi khoob ishq ki dastan ko lafzo mein utara ja raha hai..bahut interesting tarike se likh rahe hai aap padhkar bahut acha hai iss pyari si kahani ko jald aage badhiye..bahut khoob...
Logged
dead heart
Guest
«Reply #12 on: July 19, 2010, 10:33:10 PM »
Reply with quote
Oye hoyeee ishq ke deewanon kya baat hai...Wah bahaut acha likh rahe ho Kasak jee aur Kapil Dost..shandar...behaddddd khubsoorat likha hai...
Kayi dinn hogaye mohobat main dooba kuch parre hue...bahaut acha likha hai ap dono ne hi wakei...

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
dead heart
Guest
«Reply #13 on: July 19, 2010, 10:35:55 PM »
Reply with quote
ufffffffffffff.... aapki aadat humein bhi lag gayi ufff kehne ki.... bahut hi khoob likha hai aapne... bahut hi khoob... lajawaab..... sach me baarish ka asar hi kuch aisa hota hai... kya se kya karwa jaata hai ... ufff ye dewwani baarish .. ye pagal baarish...!!!

mujhe bhi yaad hai barsat ki wo shaam,
jab chali thi tum mere in haathon ko thaam,
bheege the hum us barsaat me is tarha,
bheege the kapde aur dhal rahi thi shaam,

badal ki us garaz ko ab bhi main bhoola nahi,
jiske awaaz se darke mere baahon me thi samayi,
baahon me bharke tumhe seene se lagaya tha,
nazron se nazar mili to tum thi tab sharmaayi,

wo bargad ka ped aur wo hamari tanhaayi,
rok na sake khud ko jab jhadi pyaar ki aayi,
saason se sanse mili aur ek ho gaye the hum,
bhool ke sab bandhano ko tum me sama gaye the hum,

socha na tha is tarha hoga haal-e-dil mera bayan,
wo baarish ki shaam hogi aur tum hogi baahon me mere,
sach me wo sham tha hi aisa ki ho gaye the tum mere,
tod ke uljhano ko saare baahon me the tum mere,

fir shuru huwe silsile, roz hum tab tumse milte the,
subah se lekar shaam tak tab ek duje ke sang rehte the,
silsila ye tham gaya tab, chod us shahar aana pada tha jab,
naukri karne ki khaatir mujhe is shahar aana pada tha jab,

ab to kaam me kuch bandh gaya hoon aisa,
sochta hoon ab mujhe nahi chahiye paisa,
fir sochta hoon ki ek lauta hoon ghar ka,
sach me jaane ye majboori hai kaisa...


*****HRIDAY*****

Ufffffff Kapil Dost...kyun ashiqon ko juda kar rahe ho...acha khasa baarish woh tumhari baahon main thi aur ab milon ke fasle...uff aisa mat karo yaar...! Koi toh kahani bina koi mushkil kay chalni chahiye...!
Logged
dead heart
Guest
«Reply #14 on: July 19, 2010, 10:52:49 PM »
Reply with quote
Ek koshish...
Larrka yeh sab kehta hai larrki se juda hokar...

Mujhe tu bahaut yaad ati hai,
Tera muskurana,
Teri zulfon ka lehrana,
Tera mujhe dekhte hi shama jana,
Wakei jana tu mujhe bahaut yaad ati...

Kal tu meri baahon main hua karti thi,
Aj fizaon se teri mahek churani parrti hai,
Kal tak tera chehra samne tha mere,
Aj teri tasver seene se lagani parrti hai,
Wakei jana tu mujhe bahaut yaad ati hai...
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 18, 2024, 02:17:15 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.234 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer