<>* Bas Ek Hi Pal Me Apna Banate Hain Mujhe Ye Tere Naina *<>

by ANAAM on November 09, 2011, 05:35:22 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 5955 times)
ANAAM
Guest
Reply with quote
tearyeyed tearyeyed tearyeyed


<>* Bas Ek Hi Pal Me Apna Banate Hain Mujhe Ye Tere Naina *<>

Kya kahu-kaise kahu kitna pyaar lutaaya un Nayano-ne
Har baar ek naye khumaar ke rang mai dooboya unn-ne

Ek tak wo mujhe taakte rehte they,teer pe teer chhodte they
Jaane kya jaadoo tha un Naynon mai pagal mujhe karte they

Un aankhon ki kashish kashmashaa deti thee ay-dost mujhe
Kya din aur kya raat har lamhaa deewaana kar deti thee mujhe

Un neeli-neeli aankhon ki gehraayi mai doob jaataa tha mein
Saaki banne wo Chakshu peelaate gaye Sharabi ho gaya mein

Mrig Lochnee kahu tujhe ya Madhu barsaati Nayan-baalaa
Neytron mai Priye tere basee hai jaise poori Madhu-shaalaa
Logged
sarfira
Guest
«Reply #1 on: November 10, 2011, 01:57:30 PM »
Reply with quote
tearyeyed tearyeyed tearyeyed


<>* Bas Ek Hi Pal Me Apna Banate Hain Mujhe Ye Tere Naina *<>

Kya kahu-kaise kahu kitna pyaar lutaaya un Nayano-ne
Har baar ek naye khumaar ke rang mai dooboya unn-ne

Ek tak wo mujhe taakte rehte they,teer pe teer chhodte they
Jaane kya jaadoo tha un Naynon mai pagal mujhe karte they

Un aankhon ki kashish kashmashaa deti thee ay-dost mujhe
Kya din aur kya raat har lamhaa deewaana kar deti thee mujhe

Un neeli-neeli aankhon ki gehraayi mai doob jaataa tha mein
Saaki banne wo Chakshu peelaate gaye Sharabi ho gaya mein

Mrig Lochnee kahu tujhe ya Madhu barsaati Nayan-baalaa
Neytron mai Priye tere basee hai jaise poori Madhu-shaalaa
bahot achhi rahi aapki ye nainabhirani post--
kuch kaazal ki gahrai si madakta laate to aur bhi khoob hota Usual Smile
thodi si palkon ki baarishon me chupe sunahre khaboN ki tabeer bhi daal dena tha janaab Usual Smile

iss behad khubsurat post ko dher saari daad Janaab

muskurate rahen
khus rahen
Usual Smile
Logged
ANAAM
Guest
«Reply #2 on: November 12, 2011, 03:49:18 PM »
Reply with quote
Thanks Sarfira ji for liking and suggesting....new ideas....will try to incorporate.... icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
Aditya Jain
Guest
--
«Reply #3 on: August 30, 2013, 06:58:02 PM »
Reply with quote
Aaj fir school jaane ko dil karta hai...
subah-subah jaldi uth, nahane ko dil karta hai,
school dress pahan kr tie lagane ko dil karta hai,
Aaj fir Line me lagkar prayer karneko dil karta hai,
Ek dusre ko dhakka de aage badhne ko dil karta hai,
Aaj fir Class ke khali period me kagaj ke aeroplane udane ko dil karta hai, Lunch time me ek dusre ka tifin kahne ko dil karta hai,
Aaj fir Class me mam ke questions puchne par chupchap khade honeka dil karta hai, Home work na karne aur dher sare bahane banana ka dil karta hai,
Aaj fir Social science ke period me sone ka dil karta hai,
Chutti ke intezar me bell bajne ka dil karta hai,
Aaj fir Un dosto ke sath baate karne aur ladne jhagdne ka dil karta hai, Sab kuch bhul jaankar mast hone ka dil karta hai,
Aaj fir school jaane ka dil karta hai...
Logged
Aditya Jain
Guest
--
«Reply #4 on: August 30, 2013, 06:59:19 PM »
Reply with quote
Bf : How r u sweetheart?
.
gf : not good
.
bf : why? what happened?
.
gf : i have cold
.
bf :what???how ?
.
gf :i had ice cream
.
bf : r u mad???i had told u not to
eat ice cream in this rainy
season..
r u crazy?? look into my
eyes what the hell u think u r??
don't you have a brain??
u aren't a kid cant u justtake care
of your
self???
stupid idiot
.
.
.
girl smiled grabbed him in her arms
hugged him tightly and said"Love U
aLot"
.
bf :what's happening here?will u
plz tell me
.
gf : just loved it whenever u scold
me thats why i ate ice cream so
that you'll scold me
.
.
bf :stupid idiot I LOVE U too..
♥:))
Unlike ·  · Promote · Share

You, Saurav Verma, Rinku Sharma and 2 others like this.
Logged
Aditya Jain
Guest
---
«Reply #5 on: August 30, 2013, 07:00:09 PM »
Reply with quote
Kisi ki yaad, mere aas - paas rahti hai,
Bade dino se, tabiyat udaas rahti hai,
Bichhad gaye hain, magar dil ye maanta hi nahi,
Na jaane kyu tere milne ki aas rahti hai,
Chura ke dil agar, wo chal diya to hairat kyu,
Khushi yahan hamesha, kis ke paas rahti hai,
Mohabbat kho gayi meri, bewafai ke daldal mein,
Magar in pagal aankho ko, aaj bhi teri talaash rahti
hai
Logged
Aditya Jain
Guest
«Reply #6 on: August 30, 2013, 07:01:07 PM »
Reply with quote
hello2 hello2Kabhi kabhi mere dil mein khayal aata hai
Ke zindagi teri zulfon ki naram chhaon mein
Guzarne paati to shadaab ho bhi sakti thi
Yeh teergi jo meri zeest ka muqaddar hai
Teri nazar ki shu'aon mein kho bhi sakti thi

Pukarti mujhe jab talkhiyan zamane ki
Tere labon se halawat ke ghoont pee leta
Hayat cheekti phirti barhena sar aur main
Ghaneri zulfon ke saaye mein chhup ke jee leta

Magar yeh ho na saka aur ab yeh aalam hai
Ke too nahin tera gham teri justuju bhi nahin
Guzar rahi kuch is tarah zindagi jaise
Ise kisike sahare ki arzoo bhi nahin

Zamane bhar ke dhukhon ko laga chuka hoon gale
Guzar raha hoon kuch anjaani rahguzaron se
Muhib saaye meri simt bharte aata hai
Hayat-o-maut ke pur haul khar zaron se

Na koi jadah na manzil na roshni ka suraag
Bhatak rahi hai khyalon mein zindagi meri
Inhi khyalon mein rah jaoonga kabhi kho kar
Main janta hoon meri humnafas magar yunhi
Kabhi kabhie mere dil mein khayal aata
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 08:03:20 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.163 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer