Ghayel ne dillagi karli.........(Ghayel)

by sajid_ghayel on February 26, 2009, 01:50:30 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2662 times)
sajid_ghayel
Guest
Reply with quote
Meri bato pe aitbaar karne wali
Kitni masoom hain mujhpe marne wali

Ki nahi wafa kabhi khud se maine
Kya soch kar tune mujhse aashiqi karli

Aashikana hu deewana hu aur us par shayrana hu
Mera kiya jaha mohabbat mili humne mohabbat karli

Jhoota nahi sachcha nahi koi mere jaisa nahi
Dil me aaya keh diya, kabhi mithi kabhi kadwi koi baat karli

Na parsaiee ki kabhi maine, na samjha khudko gunah_gaar kabhi
Dil me aaya kiya sajda, dil me aaya maikashi karli

Kabhi roothe rahe hum unse, kabhi unko gale laga liya
Kabhi dost unhe samjha, kabhi yuhi dushmani karli

Door rehna nahi pass aana nahi humko kabhi bhool jana nahi
Khush_kismat hain woh duniya me, jinse GHAYEL ne dillagi karli

-Sajid Ghayel-
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Hone de Ghayel muje.......(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Ghayel kahe Parmeshwar........(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayari-e-Parastish « 1 2  All »
Ghayel samajhta hain......(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 ... 7 8 »
Banke Ghayel hamesha.........(Ghayel) by sajid_ghayel in Shayari-e-Parastish « 1 2  All »
Mujhe ghayel karne wala.....(Ghayel) by sajid_ghayel in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
Talat
Guest
«Reply #1 on: February 26, 2009, 02:05:17 PM »
Reply with quote
Kya baat hai Sajid Ji ....

Chaliye jaise bhi hain aap,
Ab humne to dosti kar li !!
Logged
Roja
Guest
«Reply #2 on: February 26, 2009, 02:14:19 PM »
Reply with quote
hmm kaun hai wo?  Usual Smile
Very good  Applause
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #3 on: February 26, 2009, 02:17:40 PM »
Reply with quote
Kya baat hai Sajid Ji ....

Chaliye jaise bhi hain aap,
Ab humne to dosti kar li !!

Tumhari dosti sar aakho par....Bohat shukriyaan

waah waah Sajid bhai...bahot khoob likha hai.... Applause Applause

har ashaar umda hai... Clapping Smiley

Bohat Shukriyaan Kaash...

hmm kaun hai wo?  Usual Smile
Very good  Applause

Giggle Giggle Oye bol du kya  Laughing hard Laughing hard waise thoda filmi style me poochna chahiye tha jaise ''Hum Aapke hain Kaun''  DOH
Logged
Roja
Guest
«Reply #4 on: February 26, 2009, 02:24:19 PM »
Reply with quote


Quote
Giggle Giggle Oye bol du kya  Laughing hard Laughing hard waise thoda filmi style me poochna chahiye tha jaise ''Hum Aapke hain Kaun''  DOH[/b]

ok ab keh be do na...  Winking
Logged
dead heart
Guest
«Reply #5 on: February 26, 2009, 08:00:02 PM »
Reply with quote
Ghayel saheb sabse pehle Rahim apko dil se skhuriya ada karta hai ke aap wapis agaye...bahaut acha likha hai apne.... Applause Applause ek ehsaas hai apke lavz iss dafan dil ke liye...likte rahiye...hume zindagi bhar ke liye apka kadradan ban na manzur hai...
Logged
chitralsony
Guest
«Reply #6 on: February 26, 2009, 08:42:01 PM »
Reply with quote
Meri bato pe aitbaar karne wali
Kitni masoom hain mujhpe marne wali

Ki nahi wafa kabhi khud se maine
Kya soch kar tune mujhse aashiqi karli

Aashikana hu deewana hu aur us par shayrana hu
Mera kiya jaha mohabbat mili humne mohabbat karli

Jhoota nahi sachcha nahi koi mere jaisa nahi
Dil me aaya keh diya, kabhi mithi kabhi kadwi koi baat karli

Na parsaiee ki kabhi maine, na samjha khudko gunah_gaar kabhi
Dil me aaya kiya sajda, dil me aaya maikashi karli

Kabhi roothe rahe hum unse, kabhi unko gale laga liya
Kabhi dost unhe samjha, kabhi yuhi dushmani karli

Door rehna nahi pass aana nahi humko kabhi bhool jana nahi
Khush_kismat hain woh duniya me, jinse GHAYEL ne dillagi karli

-Sajid Ghayel-
bhot khob ghayel ji
            os masoom nay kyun tum say dossti krli
            chor kr sohnay rub ko tairi bandagi krli
            wo to nadan thi eshq jo tum say kr baithi
            tum nay kiya soch kay os say dillagi krli
            tum to kehtay ho khod ko ghayel a dosst
            aur daikh kr tumko os nay khodkoshi krli
           
           
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #7 on: February 26, 2009, 08:58:42 PM »
Reply with quote
Ghayel saheb sabse pehle Rahim apko dil se skhuriya ada karta hai ke aap wapis agaye...bahaut acha likha hai apne.... Applause Applause ek ehsaas hai apke lavz iss dafan dil ke liye...likte rahiye...hume zindagi bhar ke liye apka kadradan ban na manzur hai...

Yaar sharminda na karo tumne apna dost samjha bas itna kafi hain jeene ke liye

bhot khob ghayel ji
            os masoom nay kyun tum say dossti krli
            chor kr sohnay rub ko tairi bandagi krli
            wo to nadan thi eshq jo tum say kr baithi
            tum nay kiya soch kay os say dillagi krli
            tum to kehtay ho khod ko ghayel a dosst
            aur daikh kr tumko os nay khodkoshi krli
           
           

Jo kaha us pe khud bhi amal karna
Pyaar kabhi kisi GHAYEL se na karna
Logged
chitralsony
Guest
«Reply #8 on: February 26, 2009, 09:52:46 PM »
Reply with quote
Yaar sharminda na karo tumne apna dost samjha bas itna kafi hain jeene ke liye

Jo kaha us pe khud bhi amal karna
Pyaar kabhi kisi GHAYEL se na karna
piyar may to hotay hain ghayel sabi
        na kernay ka kahan sawal othta hay
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #9 on: February 26, 2009, 11:59:59 PM »
Reply with quote

Hi
sajid,
bahut khub likha aap ne,sach mein app ke liye lagta hai ye dilagi hai ,
anyway its very beutiful post,keep it up,with luv,madhuwesh,
have a blessed day.
Logged
pandit
Guest
«Reply #10 on: February 27, 2009, 12:01:01 AM »
Reply with quote
Meri bato pe aitbaar karne wali
Kitni masoom hain mujhpe marne wali

Ki nahi wafa kabhi khud se maine
Kya soch kar tune mujhse aashiqi karli

Aashikana hu deewana hu aur us par shayrana hu
Mera kiya jaha mohabbat mili humne mohabbat karli

Jhoota nahi sachcha nahi koi mere jaisa nahi
Dil me aaya keh diya, kabhi mithi kabhi kadwi koi baat karli

Na parsaiee ki kabhi maine, na samjha khudko gunah_gaar kabhi
Dil me aaya kiya sajda, dil me aaya maikashi karli

Kabhi roothe rahe hum unse, kabhi unko gale laga liya
Kabhi dost unhe samjha, kabhi yuhi dushmani karli

Door rehna nahi pass aana nahi humko kabhi bhool jana nahi
Khush_kismat hain woh duniya me, jinse GHAYEL ne dillagi karli

-Sajid Ghayel-

waah Ghayal saab..
kya khoob dillage ki hai...
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #11 on: February 27, 2009, 12:21:36 PM »
Reply with quote
Hi
sajid,
bahut khub likha aap ne,sach mein app ke liye lagta hai ye dilagi hai ,
anyway its very beutiful post,keep it up,with luv,madhuwesh,
have a blessed day.

Arey Madhuwesh jee aapne to mere likhe ko seriously le liya  DOH narazz q hoti hain hum poet to apne dil ki kam aur sabke dil ki ziyada kehte hain. Kya pata kiski zindagi ka kaunsa pehlu hamari poetry se match ho jaye so cheer up GHAYEL love u.  Winking
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: February 27, 2009, 12:32:35 PM »
Reply with quote
Waah Waah, Kya Khoob Subhan Allah,.
Bohat Achche Ghayal Bhai, Kamaal Ki Shayari Hai, Nice One,.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #13 on: February 28, 2009, 12:50:13 PM »
Reply with quote
Waah Waah, Kya Khoob Subhan Allah,.
Bohat Achche Ghayal Bhai, Kamaal Ki Shayari Hai, Nice One,.

Bohat shukriyaan chote.......
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #14 on: March 01, 2009, 08:58:45 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Sajid ji icon_salut icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 19, 2024, 06:51:33 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.152 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer