Inayat

by Preet.Dehlvi on March 09, 2006, 12:48:57 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2079 times)
Preet.Dehlvi
Guest
Reply with quote
Apni aankhon mein basa lo to inayat ho,
gale kabhi hum ko bhi laga lo to inayat ho.

Chahne wale honge tumhe hazaaron is duniya mein,
tum hume apni chahat mein basa lo to inayat ho.

Surkh labon ki chahat mein bhatakte hain hazaaron dil,
In labon par naam hamara kabhi saja lo to inayat ho.

Tanha raton mein takiya bheench kar gale lagate ho jaana,
Tasvir hamari kabhi us takiye mein chupa lo to inayat ho.

Talaash-E-Hamsafar mein kyon bhatka rahe ho zindagi,
Aaj 'Preet' ko apna hamsafar bana lo to inayat ho.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
nazr-e-inayat by attractive_person in Shayri for Khumar -e- Ishq
- Luft-e-Inayat - by HumTum is back in Shayri-E-Dard
Khuda ki inayat... by brokenbyluv in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
apni inayat karam rakhna by SUMBUL QAISER in Shayeri for Dard -e- Bewafai
inayat........ by apriya in Shayri for Khumar -e- Ishq
Pooja
Guest
«Reply #1 on: March 09, 2006, 01:56:12 AM »
Reply with quote
good one Preet..
Logged
Preet.Dehlvi
Guest
«Reply #2 on: March 09, 2006, 04:11:45 AM »
Reply with quote
Thankyou Pooja. You've always been very appreciative and very encouraging.

Thanks again.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: March 09, 2006, 05:48:22 AM »
Reply with quote
Sach Tum Dehelvi Naam Ke haqdaar Ho Preet Bhai Bahoot acche,..
Logged
Preet.Dehlvi
Guest
«Reply #4 on: March 09, 2006, 06:25:29 AM »
Reply with quote
Thanks Jaanasheen,
Mohabbat ki duniya se paigam bhejne ka bahut shukriya !
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #5 on: March 09, 2006, 06:29:23 AM »
Reply with quote
Bheja hai Paigaam Mohabbat ki Duniya se,.
kabool Karna Ise Pyaar se,..
Mohabbat To Wo Shai hai Jo Sab Ko Nahi Milti,..
Milgayi To Sach Zindagi Hi Badaljaati Hai,..
Na Mili To  Barbaad Ho Jaati hai,..
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #6 on: March 09, 2006, 06:49:49 AM »
Reply with quote
Preet aur Jaanasheen

Bahut khoob !

Rajbir
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: March 09, 2006, 06:57:00 AM »
Reply with quote
Shukriya Rajbeer

Mohabbat Karo Aise Ke Zamaana Yaad Kare,..
Wo Mohabbat Kya Hai Jo Dunia Barbaad kare,..
Sach Kehte Hai Mohabbat Ek Phool Hai, Jo Khushbo Deti Hai Zindagi Ki,..
Aur Jab Ye Murjhaa Jaaye To Dard Fariyaad kare,..


Quote
Mohabbat Karo Dil Laaga ke,.
Aur Bas Jo dil se Ki Ho Mohabbat wo Khali Nahi jaati,..
[/b]
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #8 on: March 09, 2006, 07:00:13 AM »
Reply with quote
Jaanasheen

Again a beauty !

Keep writing good stuff..

Rajbir
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #9 on: March 09, 2006, 07:17:01 AM »
Reply with quote
Shukria Rajbir Bhai Jo App Hum Par Tareef Bhej rahein Hai,.Iske Pehle to Hum Kisi Kaam Ke na the, Duniya ki Nazar mein..
Logged
Preet.Dehlvi
Guest
«Reply #10 on: March 10, 2006, 12:19:07 AM »
Reply with quote
Thanks a lot Jaanasheen and Rajbir.
Arz kiya hai ..

Safar mohabbat ki duniya tak ka bahut hi lamba tha,
Kai kanton ko chubhna tha,
Kai pathron se ulajhna tha,
Har thokar ne hausle badha diye hamare,
Kyonki manzil par hume aapse har haal me milna tha.
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #11 on: March 10, 2006, 01:15:40 AM »
Reply with quote
preet...wow really nice...

apna ghar waloon se rishte tor kar aye hain
apni haad se nikal kar aye hain
barrish mein bheghe ke bi aye hain
gharwaloon se rishta tor kar aye hain
ghar se bhag kar aye hain
tera lia hum yahan bi chale ayein hain
tumse mohabbat jo karte hain
Logged
Preet.Dehlvi
Guest
«Reply #12 on: March 10, 2006, 01:57:45 AM »
Reply with quote
Thankyou so much Anjani for words of appreciation.
Here is another small one ...

Baarish mein bheeg kar aana,
Sab hadein tod kar aana,
Dekhna hume -
aur hamare aagosh mein kho jaana,
Waqt ka wahin thehar jaana,
Kuch hamari sun na,
Kuch apni suna na,
Tadap dil ki aankhon se bahana,
Lamha lamha ik muddat ban jaana,
Maloom kahan tha 'Preet'
Anjani si rahon mein banega,
Pyar hamara bhi kabhi ik afsana.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: March 10, 2006, 06:07:18 AM »
Reply with quote
Mohabbat Ki Duniya Mein Ghar Basane Chale,.
App Se Milne Ke Baad Dushmano Ko Bhi Apna Banane Chale...
App Ki Mohabbat Humne Lakhon Mein Paayi hai,..
Appki Mohabbat Paane ke Liye Hum Khud Apna Ghar Jalane Chale,..
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #14 on: March 10, 2006, 06:20:25 AM »
Reply with quote
bahut khoob preet ji and jaanasheen ji!!!!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 05:02:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer