- Luft-e-Inayat -

by HumTum is back on October 04, 2006, 04:01:27 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1066 times)
HumTum is back
Guest
Baiyhe huye dete hain woh daman se havaye
Allaah kre ham na kabhi hosh mein aaye

Bekhud yun hi rakhengi hame shokh adaye
Jab samne ho aap to kya hosh mein aaye

Palla rahe dono ka mohabbat mein barabar
Utani hi waffaye bhi ho jitani ho jawaaye

Ho lutf-e-inayat ki ik had bhi muqarrar
Rone lage koi na yaha tak woh hasaye

Aur is ke siwa "HumTum" ko aata nahin kuchh bhi
Yaaron mein woh baithe huye tuufaan uthaaye !!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
nazr-e-inayat by attractive_person in Shayri for Khumar -e- Ishq
Inayat by Preet.Dehlvi in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Khuda ki inayat... by brokenbyluv in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
apni inayat karam rakhna by SUMBUL QAISER in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Luft-E-Ghum by Lovely-Prince in Shayri for Dard -e- Judai
Talat
Guest
«Reply #1 on: October 04, 2006, 04:16:23 PM »
Nice one Humtum !! This poem of yours reminded me the song -

Ae husn zara jaag tujhe Ishq jagaye,
Badle meri taqdeer jo tu hosh me aaye !! Usual Smile

Also, thought its more suitable for Ishq section !!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2 on: October 04, 2006, 05:49:01 PM »

Koi MausaM Bhi HuMko Raat Nahi,
Wo Nahi Hia To Kuch Bhi Apne Paas Nahi,

Ek Muddat Se Dilke Paas Hai,
Ek Muddat Se Dil Udaas Nahi,

Mere Lehje Me Uski Khushbu Hai,
Uski Baaton Mein Meri Baat Nahi,

Jitna Paak Hai Tera DaaMan,
Itna Ujla Mera Libas Nahi,

SaMne Mere Ek Dariya Hai,
Honth Sukhe Hai Phir Bhi Pyaas Nahi,

Jisko Chaha Hai Dil-O-Jaan Se Huzena,
Jaan Nasheen Wo Nazar Ke Paas Nahi...
* * * * *
Logged
nikki
Guest
«Reply #3 on: October 04, 2006, 07:14:11 PM »
wowww too good Humtum n Angel....
Logged
angel4u
Guest
«Reply #4 on: October 05, 2006, 04:46:15 PM »
Thanks Nikki... Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #5 on: October 11, 2006, 05:27:12 AM »

Aye Hawa!
Usse Kehna,
Saansein To Muntazir Ab Bhi Hai,
Lab Use Pukarte Ab Bhi Hai,
Aansu Us NaaM Pe Behte Ab Bhi Hai,

Aye Hawa!
Usse Kehna
Wo Mohabbat Jo ZaMane Se Chhupayi Na Gayi,
Ye Aur Baat Ke Use Batayi Na Gayi,
Wo Ishq Ki Manzilein KaM Ab Bhi Hai,

Aye Hawa!
Usse Kehna,
Ishq Se Wafa Tak Ke Sabhi Silsile,
Jo HuM Dono Ki Chahaton Me Rahe,
Wo Silsile MuMkin Ab Bhi Nahi

Aye Hawa,
Usse Kehna,
Main Jaanti Hoon Wo Jo Guzra Kal Hai Mera,
Main Manti Hoon Wo Ane Wala Kal Nahi Mera,
Magar...
Aye Hawa!
Usse Kehna Main Aur Mera Dil,
Us Ki Talab Mein Ab Bhi Hai...
* * * * *
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 03:27:49 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.168 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer