!jindagi ki kitaab!

by ranjana on June 07, 2006, 09:05:37 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 12
ReplyPrint
Author  (Read 9440 times)
badnaam_shayar
Guest
«Reply #30 on: June 10, 2006, 11:56:37 AM »
Reply with quote
Ek panna meri Jindagi ki kitaab ka.....
Aaj bhi woh khaali hai....

Kehta hai meri kalam ko dekh.....
Ruk jaa Ab Shayar ki Sanam ki baari hai......

Kar Badnaam khud ko hum apna kya Manzar dekhenge.....
Jo thama agar haath kisi ne Falak pe Chand ko rakhenge......!!!!!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Ye Jo ZiNdAHgHi Ki kItAaB hAi! by lamhay_terbin in Shayri-E-Dard
Yeh Jo Zindagi Ki Kitaab HaI by Delicate_Doll in Shairi - E - Zindagi
dil mera aik kitaab ki soorat..!! by chanda in Shayri for Khumar -e- Ishq
~:Kitaab:~ by Ghayal in Shayri-E-Dard
ZINDAGI KI KITAAB... by CoolGirl in Shairi - E - Zindagi
ranjana
Guest
«Reply #31 on: June 10, 2006, 12:15:32 PM »
Reply with quote
very beautiful Gaurav.....................

hamne aaj unko apni kahaani ka hissa bana liya
likha thaa jis pane per unka naam ,
us pane ko ab toh apni jindagi ki kitaab mein chipka liya

thama hai jab haath unka toh ab yeh kaise chhutega
aaj toh hamne unhe apne haato ki lakeeron mein chipa liya........
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #32 on: June 10, 2006, 12:34:10 PM »
Reply with quote
Mat dekho raste inn haath ki lakeeron ke......
Yeh Waqt ke saath badal jaati hai.......

Chali jaati hai ek Dinn Sanam chorke sab.....
Aur uss waqt mehkada kaam aati hai.....

Manao Jashn khushi ka nahi Dard ka.......
Dekhte hain iss baar IShq me kiski Jaan jaati hai......!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #33 on: June 10, 2006, 04:52:44 PM »
Reply with quote
gud one ..........

aagaj toh har mohabbat ka accha hota hai
anjaam ab dekhiye ki kya se kya hota hai
badal jaati hai kai baar haatho ki lakeer.n bhi
jab mohabbat karne walo ki baato mein dam hota hai......... Usual Smile
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #34 on: June 14, 2006, 12:34:21 PM »
Reply with quote
Thi ek GhaZal jo main kabhi tumhe keh na saka......
Jindagi ke kuch panne the naam tere par unme kabhi tera Naam likh na saka......

Karta raha tumse Pyar Dil hee Dil me......
Thi kuch khaas baat jo tum bas gayi is meri harr Manzil mein.....!!!!!!

Logged
ranjana
Guest
«Reply #35 on: June 15, 2006, 03:35:26 AM »
Reply with quote
abhi waqt hai imthaan ka meri mohabbat ka
sanam abhi har baat rahne do..........

abhi adhauri hai har mulakaat sanam
abhi yun hi saath rehne do.......

main jinda hun teri mohabbat ke dam se abhi
mere dil mein abhi yehi khayal rehne do

likha jaayga teri jindagi ki kitaab ke varko per mera naam bhi kabhi
mere dil ko yeh bharm aur yahi gumaan rehne do.......
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #36 on: June 15, 2006, 11:28:53 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
abhi waqt hai imthaan ka meri mohabbat ka
sanam abhi har baat rahne do..........

abhi adhauri hai har mulakaat sanam
abhi yun hi saath rehne do.......

main jinda hun teri mohabbat ke dam se abhi
mere dil mein abhi yehi khayal rehne do

likha jaayga teri jindagi ki kitaab ke varko per mera naam bhi kabhi
mere dil ko yeh bharm aur yahi gumaan rehne do.......


Wah....really love is Expressed.....

Yoon tera Pyar se kehna mujhe kuch.......
Sach me meri jaan le jaata hai......

Karti ho jab tum aisi Pyari Pyari baatein......
Toh Jindagi ki kitaab me rakha tera woh Gulaab yaad aata hai.......!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #37 on: June 15, 2006, 01:00:17 PM »
Reply with quote
kitaabo mein rakhe gulab jab bhi mehakenge
sanam tere dil ke kisi kone mein hum hi hum honge

yeh woh sogaat hai tere mere pyaar ki sanam
jab bhi tum us varke ko kholege toh wahan bas hum yun hi mehekenge
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #38 on: June 16, 2006, 05:14:51 PM »
Reply with quote
Apni Mehekti Jindagi se ek Gulab hamare liye bhi Chunna.......
Khawab jo kar sakoon me Sakaar kuch aise bunnna......

Teri Jindagi ki Kitaab me ek Naam bankar bas jayenge......
Lakh panne paltogi tum par harr Jagah hum hee Nazar ayenge.......!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #39 on: June 16, 2006, 05:34:53 PM »
Reply with quote
apni jindagi ki kitaab palti hamne
tere naam ke saath kai pal haseen pal they likhe

bhul paate bhi toh hum kaise un lamho ko
woh tere likhe lafaj hi aaj meri jinadgi bane
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #40 on: June 16, 2006, 05:37:27 PM »
Reply with quote
Zindagi agar mere LaFzon ko mana hota......
Toh aaj humse kuch Chupaya na hota......

Choot jaate hai kuch Pal yahan.....
Par kisi Ashique ka AshK bahaya na hota.....

Karenge Dua tujhe har Khushi naseeb ho.....
Chahe ho Dard mujhe..... Chahe meri Zindagi badnaseeb ho....!!!!!!!!
Logged
phoenix
Guest
«Reply #41 on: June 16, 2006, 08:18:10 PM »
Reply with quote
wo khushi hi kya jo mile mujhe tere ashq k badle
wo aashiqi hi kya jab meri zindagi ka har lamha tere jazbaat ki kabr par bana ho

mana maine aey doat ki haara hua hai tu bhi zindagi k haatho
par ye to koi baat nahi ki tum har jawaab par apne tarq o talluq laga baitho
Logged
ranjana
Guest
«Reply #42 on: June 17, 2006, 04:18:09 AM »
Reply with quote
very nice ,Gaurav and Nitiesh..................

yeh lafaz bunte hain haseen khawabo ko
dikhate hain yeh janat hamare jajabaato ko

kabhi dukh aur kabhi sukh ki chhawan hai yeh lafaz
jindagi ki kitaab mein har rang mein dhalte hain yeh lafaz
Logged
ranjana
Guest
«Reply #43 on: June 22, 2006, 01:11:09 PM »
Reply with quote
jindagi ki kitaab mein jab dard koi umar aata hai
har lafaz fir hamko ismein  bikhra bikhra sa nazar aata hai

likhte hai apne khoon ke in pyaar ke shabado ko
fir bhi na jaane yeh kyu dhundhala sa nazar aata hai
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #44 on: June 24, 2006, 10:54:55 AM »
Reply with quote
kya baat hai ! kya baat hai RANJANA JI ....
bahut khoob..... aap itna khubsoorat likhti
hain ki koi bhi aapka kalaam bina pade raha
hi nahi sakta... maan gaye...
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 12
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 18, 2024, 08:15:01 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[May 18, 2024, 12:47:34 PM]

[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer