Jise bhee mile ho tum, rah gayaa hai tumhaaraa hokar!!

by abdbundeli on September 19, 2014, 10:44:10 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 741 times)
abdbundeli
Guest
Reply with quote
Uthaayaa jab naqaab un ne, huyee mismaar taareekee;

Hataa abron ko jaise maah ne roshan kiyaa paikar!

Aham qismat hai us kee, ab 'abd' bhee kyaa kahe aakhir;

Jise bhee mile ho tum, rah gayaa hai tumhaaraa hokar!!

اُٹھایا جب نقاب اُن نے، حُیی مِیسمار تاریکی،

حٹا ابروں کو جیسے ماح نے روشن کِیا پیکر۔

اھم قِسمت ھے اسکی، اب 'ابد' بھی کیا کھے آخر،

جسے بھی ملے حو تم، رح گیا حے تمحارا حوکر۔

 - abd bundeli / ابد بندےلی
Logged
mann.mann
Yoindian Shayar
******

Rau: 113
Offline Offline

Waqt Bitaya:
22 days, 12 hours and 36 minutes.
Posts: 3703
Member Since: Aug 2011

View Profile
«Reply #1 on: September 19, 2014, 10:54:35 AM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause

kya baat hai abdji....
Logged
Rajigujral
Khususi Shayar
*****

Rau: 17
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 59 minutes.
Posts: 1703
Member Since: Apr 2014

View Profile
«Reply #2 on: September 19, 2014, 12:55:47 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #3 on: September 19, 2014, 01:30:23 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause

kya baat hai abdji....

Shukriyah, Maan ji!
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: September 19, 2014, 01:31:08 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause
Shukriyah, Gujral ji!
Logged
sbechain
Guest
«Reply #5 on: September 19, 2014, 02:02:38 PM »
Reply with quote
Uthaayaa jab naqaab un ne, huyee mismaar taareekee;

Hataa abron ko jaise maah ne roshan kiyaa paikar!

Aham qismat hai us kee, ab 'abd' bhee kyaa kahe aakhir;

Jise bhee mile ho tum, rah gayaa hai tumhaaraa hokar!!

اُٹھایا جب نقاب اُن نے، حُیی مِیسمار تاریکی،

حٹا ابروں کو جیسے ماح نے روشن کِیا پیکر۔

اھم قِسمت ھے اسکی، اب 'ابد' بھی کیا کھے آخر،

جسے بھی ملے حو تم، رح گیا حے تمحارا حوکر۔

 - abd bundeli / ابد بندےلی

waah waah bahut khoob meri shaan mein qaseede padh rahe ho per ye to batanaa janaab mujhe aakhir dekha kahaan hai jo aaj kal likhne ka andaaz judaa-judaa sa ho gayaa hai janaab kaa Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard!

aur ek baat ye Urdu mein bhi likha jaa raha hai baat aakhir kyaa hai mere huzoor icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower!
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #6 on: September 19, 2014, 02:35:22 PM »

Sheba ji, mere liye to aap qudrat ke eik nayaab dil-o-dimaag kee maalkin hain, aur main to use hee dekhtaa huun! Aur jab, di-o-aag naayaab hain, to, maashaallah, Khuda buree nazar se bachaaye, husn to aankhon aur dekhnewale kaa numaaindah hotaa hai! Urdu likhnaa bhuul na jaauun, isliye hee! Urdu mein main ne koyi schooly ilm haasil naheen kiyaa hai! Sirf, chaar maheene hee do ustaadon se Urdu seekhee thee! Haan, mujhe khaase Urdu alfaaz aate hain! Khaskar main ne Hindi aur English mein hee likhaa hai; par Urdu mein bhee to kayi hazaar gazlaat, rubaaiyaat, qitye aur asha'ar likhe hain! Meri schooly padhaayi Hindi, English, Sanskrit, Pali wa Praakrut mein hee huyee hai!   
                                    - abd bundeli

Logged
surindarn
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 273
Offline Offline

Waqt Bitaya:
134 days, 2 hours and 27 minutes.
Posts: 31520
Member Since: Mar 2012

View Profile
«Reply #7 on: September 19, 2014, 09:00:01 PM »
Reply with quote
bahut khoobsurat qalaam hai janaab. Yeh aapkee taalim jo Hindi Sanskrit Aur Paali kee hai, to aapne Urdu kee kaise Urdu lagaa dee. Urdu kee Urdu lagaane kaa matlab hotaa hai, Urdu kee Bauhtaat lagaa dee. Main to itnaa gehraa Urdu nahin likh paataataa, haalanke Urdu mein aath jamaat pass hoon.
 icon_flower Applause Applause Applause icon_flower
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 3 hours and 24 minutes.
Posts: 14552
Member Since: Sep 2011

View Profile
«Reply #8 on: September 20, 2014, 01:36:39 AM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
amit_prakash_meet
Guest
«Reply #9 on: September 20, 2014, 04:33:00 AM »
Reply with quote
वाह.....वाह.....
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #10 on: September 20, 2014, 08:14:15 AM »
Reply with quote
bahut khoobsurat qalaam hai janaab. Yeh aapkee taalim jo Hindi Sanskrit Aur Paali kee hai, to aapne Urdu kee kaise Urdu lagaa dee. Urdu kee Urdu lagaane kaa matlab hotaa hai, Urdu kee Bauhtaat lagaa dee. Main to itnaa gehraa Urdu nahin likh paataataa, haalanke Urdu mein aath jamaat pass hoon.
 icon_flower Applause Applause Applause icon_flower

Koshish karne se koyi bhee zubaan seekhee jaa saktee hai! Urdu wa Hindi mein bahut farq nahin hai; Hindi mein Sanskrit ke alfaaz bhutaayat se stemaal hote hain, Urdu mein Arabic wa Persian ke! Urdu, basically, Delhi ki upaj hai! Donon kee grammar lagbhag aik-see hee hai! Urdu mein 'metaphor' wa 'suggestive imagery' kaa bahut hee umdah stemaal hotaa hai, aur isee ne mujhe Urdu shayar ban ne kaa mouqaa diyaa hai! 
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 09:46:55 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.144 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer