Kaun Badla Nahi, Badle Hain Zamane Waley...

by Iqtedar on August 04, 2013, 07:17:55 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2063 times)
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 16 minutes.

Posts: 2381
Member Since: Mar 2013


View Profile
Reply with quote
Asalamalaekum aap sab ki inayat rahi aur MOTM muntakhib huwa hoon to soncha ke apne walid mohtaram ‘Late M. A. Hussain Souz’ sahab ki ek ghazal pesh karon...

Kaun Badla Nahi, Badle Hain Zamane Waley
Ahed Shikni Bhi Kiye, Ahed Nibhane Waley

Main To Mazloom Raha, Zulm Hi Sahena Hai Mujhe
Shikwa Halaat Ka, Ae Apne Batane Waley

Bazm Se Apni Mujhe Ghaer Ki Tarha Na Utha
Bazm May Apni Mujhe Ae O Bulane Waley

Chasm-e-Nargis Se Mila, Zulf Ke Saye May Pila
Jaam-e-Jam Se O Mujhe Jaam Pilane Waley

Taab-e-Aariz Se Jala, Naar-e-Nigahon Se Jala
Ae Mere Qalb-o-Jigar, Dil Ko Jalane Waley

Mujhko Tadpane Se Kya Faez Tujhe Milta Hai
Rahem Kar Mujhpe Bhi, Ae Rahem Ke Khane Waley

Baat Karne Ki Nazakat Bhi Hai, Andaaz Bhi Hai
Baat Karke Bhi Dikha, Baat Banane Waley

Main Jalaya Huwa Hoon Meher-o-Mohabbat Ka Bahot
Aur Na Mujhko Sata Mujhko Satane Waley

Mujhko Siney Se Lagao To Mazah Aur Hi Hai
Meri Tasweer Ko Siney Se Lagane Waley

Tere Wade Ki Khasam Pura To Wada Keejo
Souz Ke Dil May Bahot Dard Uthane Waley

Written by M. A. Hussain Sauz (my father).
Logged
sbechain
Guest
«Reply #1 on: August 04, 2013, 08:19:33 AM »
Reply with quote
Asalamalaekum aap sab ki inayat rahi aur MOTM muntakhib huwa hoon to soncha ke apne walid mohtaram ‘Late M. A. Hussain Souz’ sahab ki ek ghazal pesh karon...

Kaun Badla Nahi, Badle Hain Zamane Waley
Ahed Shikni Bhi Kiye, Ahed Nibhane Waley

Main To Mazloom Raha, Zulm Hi Sahena Hai Mujhe
Shikwa Halaat Ka, Ae Apne Batane Waley

Bazm Se Apni Mujhe Ghaer Ki Tarha Na Utha
Bazm May Apni Mujhe Ae O Bulane Waley

Chasm-e-Nargis Se Mila, Zulf Ke Saye May Pila
Jaam-e-Jam Se O Mujhe Jaam Pilane Waley

Taab-e-Aariz Se Jala, Naar-e-Nigahon Se Jala
Ae Mere Qalb-o-Jigar, Dil Ko Jalane Waley

Mujhko Tadpane Se Kya Faez Tujhe Milta Hai
Rahem Kar Mujhpe Bhi, Ae Rahem Ke Khane Waley

Baat Karne Ki Nazakat Bhi Hai, Andaaz Bhi Hai
Baat Karke Bhi Dikha, Baat Banane Waley

Main Jalaya Huwa Hoon Meher-o-Mohabbat Ka Bahot
Aur Na Mujhko Sata Mujhko Satane Waley

Mujhko Siney Se Lagao To Mazah Aur Hi Hai
Meri Tasweer Ko Siney Se Lagane Waley

Tere Wade Ki Khasam Pura To Wada Keejo
Souz Ke Dil May Bahot Dard Uthane Waley

Written by M. A. Hussain Sauz (my father).


wah wah wah bahut khoosoorat kalaam aap ke walid mohhtarm ka allah unki maghferat kare aur jannat mein alaa moqaam de....ameen.....!
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 16 minutes.

Posts: 2381
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #2 on: August 04, 2013, 08:34:33 AM »
Reply with quote
Sheba ji jazakAllah - mere walid mohtaram ke haq may dua karne ka - 2 saal huwe unka inteqhal huwe... unke haq may Allah aapki dua khubool kare aameen.
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: August 04, 2013, 08:36:35 AM »
Reply with quote
waah waah bhay badaa hee sanzeeda aur khoobsoorat kalaam motam bane par mubarak baad aur saath men ek rau bhee
Logged
Miru;;;;
Guest
«Reply #4 on: August 04, 2013, 08:37:35 AM »
Reply with quote
WAAH WAAH BAHUT HI UMDA..SUPER.. Thumbs UP
 Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
soudagar
Guest
«Reply #5 on: August 04, 2013, 11:16:39 AM »
Reply with quote
 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


khubsurat bahut hee behtareen aur umda gazal.......iqtedar sahbh hum sab yeh jarur chahhenge ki aapn kuch aur aise hee umda behatareen gazal apne peetaji ki bhi share karein..taqi hum unhe bhi padh sakein.....

ishwar unhe swarg (jannat)de...aur we wahin se apne bachon par pyar bhari najar bhi banayein rakhein....
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #6 on: August 04, 2013, 11:27:10 AM »
Reply with quote
बेहतरीन गजल लिखी हैं आपके वालिद ने.. ढेरो दाद कबुल्र कर इक्तेदार शाहब Applause
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 14 hours and 9 minutes.
Posts: 18588
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #7 on: August 04, 2013, 11:49:53 AM »
Reply with quote
waah waah waah iqtedaar ji
Logged
aqsh
Guest
«Reply #8 on: August 04, 2013, 12:24:13 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

Sabse pahele Allah aapke waalid sahab par raham kare unki magfirat farmaaye aur unhe jannatul firdaus mein aala maqam ata kare. aameen. Iqtedarji bahut hi pyaari ghazal aapne share kee hai. bahut bahut bahut pasand aayi mujhe yeh ghazal. aage bhi aur ghazal zaroor share kijiyega..  Usual Smile Usual Smile
Logged
nashwani
Guest
«Reply #9 on: August 04, 2013, 12:52:52 PM »
Reply with quote
 notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy notworthy
 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

Waah waah waah iss behatareen ghazal peshkash ke liye ek RAU dena chahunga..
To ur father n to u 4 sharing..happy9
Logged
ghayal_shayar
Guest
«Reply #10 on: August 04, 2013, 12:57:56 PM »
Reply with quote
ahaaa aap bahut khushkismat rahe hain janaab ki aapke walid bhi shayri ke qadradaan the, bas yuNhi kalam ko thirakte rehne dijiye...!! aur ek rau qubool farmaaiye...
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #11 on: August 04, 2013, 01:10:53 PM »
Reply with quote
Iqtedar saheb, MOTM ke liye mubarakbad. Aap ne apne walid marhoom  ki ghazal pesh kar ke unhein achha khiraj pesh kiya hai . Bahut khubsurat ghazal hai , kya tareef karuun . Shukrguzar hoon ki aap ne ise share kiya aur aapke walid ke liye dua e maghfirat karta hoon.
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #12 on: August 04, 2013, 07:03:06 PM »
Reply with quote
Asalamalaekum aap sab ki inayat rahi aur MOTM muntakhib huwa hoon to soncha ke apne walid mohtaram ‘Late M. A. Hussain Souz’ sahab ki ek ghazal pesh karon...

Kaun Badla Nahi, Badle Hain Zamane Waley
Ahed Shikni Bhi Kiye, Ahed Nibhane Waley

Main To Mazloom Raha, Zulm Hi Sahena Hai Mujhe
Shikwa Halaat Ka, Ae Apne Batane Waley

Bazm Se Apni Mujhe Ghaer Ki Tarha Na Utha
Bazm May Apni Mujhe Ae O Bulane Waley

Chasm-e-Nargis Se Mila, Zulf Ke Saye May Pila
Jaam-e-Jam Se O Mujhe Jaam Pilane Waley

Taab-e-Aariz Se Jala, Naar-e-Nigahon Se Jala
Ae Mere Qalb-o-Jigar, Dil Ko Jalane Waley

Mujhko Tadpane Se Kya Faez Tujhe Milta Hai
Rahem Kar Mujhpe Bhi, Ae Rahem Ke Khane Waley

Baat Karne Ki Nazakat Bhi Hai, Andaaz Bhi Hai
Baat Karke Bhi Dikha, Baat Banane Waley

Main Jalaya Huwa Hoon Meher-o-Mohabbat Ka Bahot
Aur Na Mujhko Sata Mujhko Satane Waley

Mujhko Siney Se Lagao To Mazah Aur Hi Hai
Meri Tasweer Ko Siney Se Lagane Waley

Tere Wade Ki Khasam Pura To Wada Keejo
Souz Ke Dil May Bahot Dard Uthane Waley

Written by M. A. Hussain Sauz (my father).



naaaaaaaaaaaaaaaaaaaaice sharing .

meri doa hai ALLAH SUBHANUTALA aap ke abba huzur ko jannatul firdaus mein jagha de.amin
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 16 minutes.

Posts: 2381
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #13 on: August 04, 2013, 08:14:05 PM »
Reply with quote
Mujhe aaj aap sabki faraghdili se behad masarrat hasil huwi, aap logon ki duaen mere marhoom walid ke haq may Allah khubool kare aameen... aap logon ki di huwi mubarakbaad aur diye huwe rau aur daad bhi sar aankhon par - Dr. Sahab, Miraj Ji, Saudagar Ji, Rishi Ji, Saahill Ji, Aqsh ji, Nashwani Ji, Taish Ji, Sidiqui Ji, Khamosh Aawaaz ji main aap sabka ehsaan mand hoon, isi tarha aagey bhi aap logon ke sahare ki umeed karta hoon... iqtedar.
Logged
Ram Saraswat
Khususi Shayar
*****

Rau: 26
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
10 days, 6 hours and 36 minutes.

Posts: 999
Member Since: Apr 2008


View Profile
«Reply #14 on: August 04, 2013, 09:21:32 PM »
Reply with quote

Baat Karne Ki Nazakat Bhi Hai, Andaaz Bhi Hai
Baat Karke Bhi Dikha, Baat Banane Waley

Iqtedarji, MOTM Mubarak. Marhoom Souz Saheb ki ghazal ki tarif ke liye to lafz milna mushkil hai. Har ek sher doosare se bhari. Dheron Daad, Duao ke saath   Applause Applause Applause 
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 03:00:31 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.167 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer