khwab..................

by Gesu on December 12, 2005, 09:49:48 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1342 times)
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
Reply with quote
Kaun yeh aata hai chupke se khaabon mein
Kuch na kehte huey bhi bahut kuch keh jaata hai
Asar na jane kaisa yeh honey laga hai
Dil din raat usmein hi khoney laga hai
Halka halka nasha sa bhi rehney laga hai
Mil jaaye mujhko woh dil yahi bus kehne laga hai.........
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~~~***((( JUSTJUE KHWAB)))***~~~ by fakharenaveed in Shayri for Khumar -e- Ishq
Haseen Khwab by Suraiyah in Shayri for Khumar -e- Ishq
Khwab by Rajiv'sshayri in Shayri for Khumar -e- Ishq
khwab by kaushikbhawna008 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
*******khwab******* by kaushikbhawna008 in Miscellaneous Shayri
Naya_Daur
Guest
«Reply #1 on: December 12, 2005, 03:20:36 PM »
Reply with quote
Aakh khule chehra meri jaan da hove,
aakh band hove te supna meri jaan da hove ,
mai mar java te gham na hove
par kafan mile te dupata meri jaan da hove.
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #2 on: December 12, 2005, 06:40:21 PM »
Reply with quote
very  nice  kapoor  bhai...........burning  desires.....
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #3 on: December 13, 2005, 11:26:20 AM »
Reply with quote
thanks waheed ji aap bhi kuch likhiye na

aisa karte hain kuch khwaabon per hi likhtey hain na kuch din...
kahaan ho bhai pooja ldh aur sab abeera ji likhiye
Logged
abeera
Guest
«Reply #4 on: December 13, 2005, 12:29:41 PM »
Reply with quote
hye u r great so nicely expressed feelings on  KHWAB
here s some thing new


khwaab ko khwaab samajh ke khwaab ki tauheen na kar..
is zameen se uth, aasma chhoone ki ek koshish to kar..
ho jayenge poore sab khwaab tere, tu khud ko samajh,
duniya ko samjhaane kee koshish to kar...
khuda bhee tere saath hai, bas ek baar uskee baarghaah me apne haath buland to kar
ladd jaa mushkilo se, kar le himmat, utthaa ke sir, tu apane khwaabo ki taabeer to kar..
khwaab ko khwaab samajh ke khwaabo ki tauheen na kar..
Logged
abeera
Guest
«Reply #5 on: December 13, 2005, 12:37:40 PM »
Reply with quote
Khayal (Dream)!
jab jab unka kayal ata hai,
ek dard sa dil mein chahta hai,
pehle sochta hu unhe baahon mein bharlu
phir hakikat nahi khwaab hone ka ehsaas ata hai.

waheed ji aap bhi to kuch kahiye ,kuch sunaiye
is bazm e shayeri aap bhi to kuch farmaiye
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #6 on: December 13, 2005, 10:13:28 PM »
Reply with quote
Adaab, chand line likhne ki gustaaki kar raha hu. Its not gr8 or sumthing but I tried.

Jabse dil lagaya, zindagi khwaab sa ban gaya hain,
Aankhen dhoondte hain unhe, "Woh kaha hain"..

Mujhe khudpar kaabu nahin, iss mohabbat k madhoshi mein,
Yeh ishq ka julm aisa, chain bhi na aye ishtirahat main.....
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #7 on: December 14, 2005, 06:15:52 AM »
Reply with quote
wow dildaar sahib aaapki koshish ke kya kehne

abeera thanks& bahut khoob likha tum to bahut hi accha likhti ho..

Neend aati nahi ab raaton mein,
Koi ab aake sulayega to neend aayegi,
Khwaab mein aakar jo sata jaate hain,
Paas aakar jo satayenge to neend aayegi,
Unse yeh rishta bana hai mera khwaabon mein,
Pehloo mein such mein sulaayenge to neend ayegi,
Baat jo khwaabon mein chupke se woh keh jaate hain,
Woh hakikat mein sunayeinge to neend aayegi,
Ehsaas ka jadu jo chalta hai khwaabono mein
Woh hakikat mein mehsoos hoga to neend aayegi,
Ab to woh aaeynge to hi yeh neend aayegi...
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #8 on: December 14, 2005, 08:56:32 AM »
Reply with quote
kategi na jaane kaise yeh ghadiyaan..
milegi kab hamein hamari khaabon ki duniya...
Logged
abeera
Guest
«Reply #9 on: December 14, 2005, 12:24:32 PM »
Reply with quote
thanks alot gesu  kapoor
you also write very well

rakh ke dhair pay ab raat basar karni hai
jal chuka hai mera ghar ,meray khawboon ki tarah


take good care of your self
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #10 on: December 14, 2005, 12:44:32 PM »
Reply with quote
Good work All...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #11 on: December 14, 2005, 12:47:10 PM »
Reply with quote

Palakon se utha ke yeh khwaab,
Sajaye hain Qadmon mein tere
Sanmbhaal ke rakhna Qadam
 Kaheen kuchal na jayein khwaab yeh mere
Logged
natural
Guest
«Reply #12 on: December 14, 2005, 12:48:56 PM »
Reply with quote
Quote from: "Aryaan"

Palakon se utha ke yeh khwaab,
Sajaye hain Qadmon mein tere
Sanmbhaal ke rakhna Qadam
 Kaheen kuchal na jayein khwaab yeh mere


Very nice Aryaan ji................ Usual Smile
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #13 on: December 14, 2005, 01:32:28 PM »
Reply with quote
kya baat hai aryan ji very nice...

Kuchal kaise paayenge khwaab hum yeh tere,
Utha ke inko rakh do palkon per mere,
Jod ke ehsaas khwaabon ka tera mere,
Boonkey unko rakhenge dil mein sanam mere,
Fir door ho jaayenge tanhayiyon ke andhere..
Logged
abeera
Guest
«Reply #14 on: December 15, 2005, 01:28:29 PM »
Reply with quote
very nice aryaan

aap ki palkoon pey khwab rakh gaya koi
aap ki saanson pey naam likh gaya koi
chalo vada hai aapse bhool jana hamein
agar humse aacha dost apko mil gaya koi
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 03, 2024, 09:51:52 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer