Kya Sunayein Kisi Ko Raaz-e-Dil, Dard Bhi Badhta Hai Sunane

by nice_off_me on July 01, 2005, 08:25:18 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 975 times)
nice_off_me
Guest
Reply with quote
pouch lo tum bhi iss zamane se
Pyaar Chhupta Nahin Chhupane Se

Paas Aate Ho Choote Ho Baat Karte Ho,
Kabhi Matlab Se Kabhi Bahane Se.

Pyar Dil Mein Hai To Laao Zabaan Pe,
Aag Badhti Hai Ye Bujhane Se.

Tumhein Na Paana Shayad Behtar Hai,
Paa Ke Phir Se Tumhein Ganwane Se.

Chalo Ek Dua To Apni Poori Huye,
Mil Liye Apne Ek Deewane Se.

Roye Jaate Ho, Bas Roye Jate Ho,
Kya Hoga Ye Dhan Lutane Se.

Karo Koshish Ki Kurbatein Hee Rahein,
Dooriyan Badh Jaati Hain Badhane Se.

Kya Sunayein Kisi Ko Raaz-e-Dil,
Dard Bhi Badhta Hai Sunane Se.

ye nazm mujhe mere ek aziz dost ne mujhe dedicate ki hai.......maybe aap sabko pasand aaye......... :D
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #1 on: July 01, 2005, 09:25:37 AM »
Reply with quote
wow bahut hi achi nazm hai ...............

sach hai pyar ki haqqiqat sach hai
sach hi iska har fasana hai
pyar ki baatein karte hai sab
par kisne pyar ko jana hai
pyar wafa hai, pyar dua hai
pyar ka naam kurbani hai
kon hai jisne iss duniya main
pyar ki hasti pehchani hai
Logged
sandeepparker
Guest
«Reply #2 on: July 01, 2005, 09:54:43 AM »
Reply with quote
jabse judaai hui hai unke muskaan se,
humne muskurana chod diya,
jabse aankon me nami bhari hui hai,
humne zindagi jeena chod diya,
jab mannat maangi khuda se, haale dil ki
unhone kaha, humne taqdeer badalna chod diya.
nm
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #3 on: July 01, 2005, 10:00:40 AM »
Reply with quote
bahut hi khoob nice_off_me.

sandhya ji as usual u r superb.

sachaai payar ki na samjha koi
gahrayee payar ki na samjha koi
yeh zindgi hai yeh maut hai
khushee hai gam hai
yeh mai hun yeh tum ho.
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #4 on: July 01, 2005, 10:10:27 AM »
Reply with quote
takdeerein agar badali tuh hum bhi fariaad karte
iss kadar tanhaion main khudko khokar har pal na marte
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #5 on: July 01, 2005, 10:15:06 AM »
Reply with quote
sukhriya Vikas ji .......

ye sachai hai na barahm hai
ye ehsaan hai na koi karam hai
ye na main hun na tu hai
ye tuh vo seh hai jimse khokar
tum main hun main tum ho
milke main tum bas hum hai
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #6 on: July 01, 2005, 10:18:58 AM »
Reply with quote
Quote from: "nice_off_me"
pouch lo tum bhi iss zamane se
Pyaar Chhupta Nahin Chhupane Se

Paas Aate Ho Choote Ho Baat Karte Ho,
Kabhi Matlab Se Kabhi Bahane Se.

Pyar Dil Mein Hai To Laao Zabaan Pe,
Aag Badhti Hai Ye Bujhane Se.

Tumhein Na Paana Shayad Behtar Hai,
Paa Ke Phir Se Tumhein Ganwane Se.

Chalo Ek Dua To Apni Poori Huye,
Mil Liye Apne Ek Deewane Se.

Roye Jaate Ho, Bas Roye Jate Ho,
Kya Hoga Ye Dhan Lutane Se.

Karo Koshish Ki Kurbatein Hee Rahein,
Dooriyan Badh Jaati Hain Badhane Se.

Kya Sunayein Kisi Ko Raaz-e-Dil,
Dard Bhi Badhta Hai Sunane Se.

ye nazm mujhe mere ek aziz dost ne mujhe dedicate ki hai.......maybe aap sabko pasand aaye......... :D


wah simran sis,bohat hi acchi nazm hai Usual Smile

very nice sandhaya.
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #7 on: July 01, 2005, 10:24:40 AM »
Reply with quote
sukhriya Nidhi ji .....

kaboo kasie karun main dil pe apne
ki ye tuh jata mud mud ke apne mehbub ki taraf
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #8 on: July 01, 2005, 11:54:04 AM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
sukhriya Vikas ji .......

ye sachai hai na barahm hai
ye ehsaan hai na koi karam hai
ye na main hun na tu hai
ye tuh vo seh hai jimse khokar
tum main hun main tum ho
milke main tum bas hum hai


sandhya ji tussi te chaa gaye.

payar ki sacchai par nahi koi shaq
nahak hi log gile karte hai
yeh to woh su.n hai yaaron
jisme duniya basti hai.
Logged
nice_off_me
Guest
«Reply #9 on: July 02, 2005, 06:01:49 AM »
Reply with quote
thanx sandhya,sandeep,vikas and nidhi sis for coming and replying it and sandhyaa ji and sandeep ji and vikas good work keep wriiting

pyarr mein hush nahi rehta
dil mein bekaraari rehti hai
pyarr mein neend nahi aati
aankhon ke samne koi aata hai........
pyarr mein sirf wo dikhta hai
use sochti hoon..use dekhna chahti hoon.......
Logged
sandeepparker
Guest
«Reply #10 on: July 02, 2005, 07:59:19 AM »
Reply with quote
well sandhaya nidhi vikas and  nom good friends

na hareef-e jaan, na shareek-e ghum, shub-e intazaar koi tau ho
kise buzm-e shauk mei lain hum, dil-e be-qarar koi tau ho

kise zindagi hai aziz ab, kise aarzoo-e shub-e taurub
magar ai nigar-e wafa talub, tera aitebar koi tau ho
kahin taar daman-e gul milay tau yeh maan lain keh chamun khile
keh nishan fasul-e bahar ka sur-e shakhsaar koi tau ho
NM
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 08:47:03 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer