Meditation 2: waasna wa wikaargrast hoke sirf hamara ahankaar badhta hai

by @Kaash on September 19, 2013, 03:51:40 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 748 times)
@Kaash
Guest
Jitni jaldi hum nirahankaar ko praapt hote hain dhyaan me pravesh karte hain.Dhyaan ke baare me ek badi mool baat samajh leni chahiye ki ye koi awastha nahi hai apitu manushya ka swabhaav hai athaart swaroop hai. Dhyaan koi kriya nahi ki kuch jatan kar lia aur vichaarshunya ho gaye athaart ye prayatn se nahi hoga. Baat yehi hai ki humne hamesha yahi jaana ki pratyek cheez k lie prushaarth athart shram karna hoga parantu ye saansar ke manak hain aadhyaatmik jagat me bilkul ulta karna hoga yaani kuch bhi prayatn na ho tab hum dhyaan ko praapt hote hain. Dhyaan manushya ka swabhaav hai aur swabhaav sadaiv nirvikaar hai. Isiliye ye paaya gaya ki ausatan bachhon ko dhyaan jaldi ghatit hota aur badon ko der me. Vajah sirf yahi ki bachhon me chalaaki nahi apitu masoomiyat hoti hai we abhi apne mool swabhaav se zyada door nahi unme ahankaar nahi isliye dhyaan asaani se ho jayega. Parantu jaise jaise hum bade hone lagte hain hume class me pratham aane ke lie kaha jaata ki kaise bhi ho 1st aao. Is tarah se hum sabhi ke awchetan man me ahankaar ka beej dalta hai. Bade hote hote hum chalaaki,chaalbazi,dhokebazi ko bahut mahatv dene lagte hain. Hum ahankaar ki daud me sivay ahankaar ke kuch nahi paate parantu apna mool swabhaav hi kho baithte hain. Hume nirahankaar ki baat hi bemaani lagne lagti hai aur dhyaan asambhav. Parantu jaise 2 hum saral wa sahaj hone lagte hain ahankaar khone lagta hai aur hum dhyaan ko praapt hote hain.
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: September 19, 2013, 03:53:54 PM »
nice thought
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #2 on: September 19, 2013, 04:55:47 PM »
Nyc Thought.
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 3 hours and 19 minutes.
Posts: 14552
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #3 on: September 20, 2013, 09:49:15 AM »
achhchhi soch hai Usual Smile
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 18, 2024, 01:41:31 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer