MaiN Bayaan Kaise KarooN Ise, Mere Dil meN Kaisa Suroor Hai.

by Ghulam Haider on October 05, 2008, 09:27:25 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1453 times)
Ghulam Haider
Guest
Reply with quote
MaiN bayaan kaise karoN ise, Mere dil meN kaisa suroor hai.
Koi kaifiyyat hai yaqeen ki, Ye suroor fouq-e-shuo'oor hai.

Jise lams koi na kar sake, Jise dark koi na kar ssake,
Wo adam nahiN wo vujood hai, Jo his-e-havaas se door hai.

Jo qareeb ho ke Ali rahe, Jo bae'eed ho ke jali rahe,
Jo ho zarre zarre meN jalvagar, Jo nazar na aaye wo noor hai.

Ye jo gardish-e-lail o nahaar hai, ye hi aamad o raft-e-bahaar hai,
Ye nizaam kaar-e-abas nahiN, Koi raaz is meN zuroor hai.

Ai bashar tu hai kitna kam nazar, ke haqeeqatoN se hai be khabar,
Tu wo aik mush ghubaar hai, Jise apne dam pe ghuroor hai.

Jise tu na dekh saka kabhi, Jise tu na soch saka kabhi,
Wo khta kisi ki khata nahiN, Wo teri nazar ka qusoor hai.

MaiN chala hoN chhorh ke ye jahaN, Mujhe mil gai hai rah-e-jinaN,
Mujhe koi khouf o khatar nahiN, Mere dil meN ishq-e-huzoor hai.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
kaise Karoon Bayaan by Alam Qazi in Shayri-E-Dard
Dard Kare Kaise Bayaan,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
Tera darde judaii baayaN karoon to kaise karooN by javedarshad in Ghazals « 1 2  All »
KarooN MaiN Kaise Tera Shukriya..!!...Shireen Hakani by Shireen Hakani in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ab Kya Bayaan Arz-E-Haal KarooN..!!...Shireen Hakani by Shireen Hakani in Shayri for Khumar -e- Ishq
sanya310
Guest
«Reply #1 on: October 05, 2008, 09:35:41 AM »
Reply with quote
bohot achhe ghulam haider ji Usual Smile keep writing..!
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #2 on: October 05, 2008, 09:56:30 AM »
Reply with quote
bohot achhe ghulam haider ji Usual Smile keep writing..!
"Jahl or ilm haiN darya, magar haider mere paas.
Ilm hai qatra-e-naacheez, jahl ki nisbat".
Is ia'teraaf ke saath apni kaavishat ko lekar haazir ho jata hoN.
Aap log tashveeq dilaate ho to shouq aour barh jata hai.
Logged
Tanha(Saurabh)
Guest
«Reply #3 on: October 06, 2008, 08:05:18 AM »
Reply with quote
bahut khoob, bejod, haider ji.. Applause
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #4 on: October 06, 2008, 08:32:20 AM »
Reply with quote
"Jise tu na dekh saka kabhi, Jise tu na soch saka kabhi,
 Wo khata kisi ki khata nahiN, Wo teri nazar ka qusoor hai."

Ghulam Haider ji,
Kyaa hi kamaal ki baat kahee hai aap ney! Bahut Badhhiyaa!
                                        - abd bundeli
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #5 on: October 07, 2008, 10:16:09 AM »
Reply with quote
"Jise tu na dekh saka kabhi, Jise tu na soch saka kabhi,
 Wo khata kisi ki khata nahiN, Wo teri nazar ka qusoor hai."

Ghulam Haider ji,
Kyaa hi kamaal ki baat kahee hai aap ney! Bahut Badhhiyaa!
                                        - abd bundeli

lutf hai aap ka ke hamari hosla afzaai farmaate haiN.
Agar aap jaise behtareen likhne waaloN se daad mile to yaqeenan shouq aour bhi siva ho jata hai.
Bohot bohot shukriya.
Logged
abdbundeli
Guest
«Reply #6 on: October 07, 2008, 10:26:31 AM »
Reply with quote
Ghulam Haider ji,
Zarrahnawaazee ka shukriyah! Aap ka kalaam padhhney sey tabiyat 'haree' ho jaatee hai! Taksaal sey ziyaadah sey ziyaadah 'maal' baahar nikaaltey rahiye, aur hamain 'kavyaanand' kaa mouqah deytey rahiye!
                                            - abd bundeli
Logged
Talat
Guest
«Reply #7 on: October 07, 2008, 02:01:03 PM »
Reply with quote
Bohot Khoob Haider Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 05:17:45 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer