"mohabbat mai ab wo pehli si baat kahan"

by aaina on February 14, 2009, 10:09:13 AM
Pages: [1] 2 3 4  All
ReplyPrint
Author  (Read 4530 times)
aaina
Guest
Reply with quote
"mohabbat mai ab wo pehli si baat kahan"

shayad ke mukaalma un waqton mai bhi kaha jata rha hoga
jin waqton ki hum duhaaii daite hain..............................
mohabbat na kabhi badli hai aur na kabhi badlegai
ye ek aisa jazba hai jo har kisi ke dil mai jawaan rehta hai
haan! shkalain zaroor mukhtalif ho sakti hain..................
ek maa apni aulaad se jitna piyaar un gaye waqto mai karti
hogi ya youn kahiye ke karti thi
aaj bhi waisa hi hai,,,,,,,,,,,,,,,,
uski mamta mai na kahbi kami aayi thi aur na kabh ayegi
aur agar kabhi aisa hua bhi to shayad wo is zameen par
zindagi ka aakhri lamha hoga.......................................
youn to bayaan karne ko bhut se rishte hain, jaan ek mehboob
apni mehbooba ke liyn chaand taare tod laane ki baat hamesha se
kehta aaya hai aur isko mumkin bhi banaya hai
ek bhan apne bhai par apni poori kayenaat nichawar karne ko us dour mai bhi
tayyar thi aur aaj bhi waisa hi hai aur yahi haal bhai ka bhi
dost jo kal thay wahi aaj bhi hain unki wafaon ki qasmai us dour mai bhi kahyi jatai rhi hain aur yahi haal aaj bhi hai.............................................. .....
to phir kahan hai kami?
ibadat, jazba,ehsaaas, izhaar, khyaal, firkr ye sab lafz mohabbat ki tarjumaani karte hain kia inka wajood kham ho gaya hai?
mere kehne ka matlab sirf yahi hai ki ye jo mukaalma(mohabbat mai ab wo pehli si baat kahan) hum kehte rhete hain, ye shayad sirf apni baat mai wazan paida karne ke liyn kaha jata hai na ki hume is baat par yaqeen ho ke dar asal aias hai.............................................. .................................
mohabbat zindabaad thi aur rhegi chahain wo koi bhi dour ho,
kahiye aur kehte rhhiye magr dil aapka bhi jaanta hai ki ye mukaalma apna wajood nhi rakhta.

Allah haifz..............wish u all a very happy valentine day, wish ur valentine kiyonki mohabbat ko izhaar ki zaroorat hoti hai.......................................
Logged
chitralsony
Guest
«Reply #1 on: February 14, 2009, 03:20:21 PM »
Reply with quote
muhabbat ki apni hi alg dunia hay agercha osay izhaar ka sahara chahiyay hota hay ,mager yay khod ko manwana janti hay ,
 any way nice words nice feelings
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2 on: February 14, 2009, 04:27:57 PM »
Reply with quote
Very well expressed aaina..
keep it up.

Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #3 on: February 14, 2009, 05:14:28 PM »
Reply with quote
Nice presntation Aaina JI
Logged
aaina
Guest
«Reply #4 on: February 14, 2009, 07:55:55 PM »
Reply with quote
sahi kaha chitralsony ji................thnxxx

thnx angal nd rajesh

mohabbat mai buri neeyat se kuch socha nahi jaata
kaha jaata hai usko bewafa samjha nahi jaata
Logged
angel4u
Guest
«Reply #5 on: February 15, 2009, 08:32:38 AM »
Reply with quote
sahi kaha chitralsony ji................thnxxx

thnx angal nd rajesh

mohabbat mai buri neeyat se kuch socha nahi jaata
kaha jaata hai usko bewafa samjha nahi jaata

Awesome...

Bewafa usko kahein bhi to kis tarah se Kahein,
Humne charche uski wafa ke har kooche mein kiye the...
Logged
salma786
Guest
«Reply #6 on: February 15, 2009, 08:58:21 AM »
Reply with quote
Nice one aaina ji
Logged
salma786
Guest
«Reply #7 on: February 15, 2009, 09:00:44 AM »
Reply with quote
Awesome...

Bewafa usko kahein bhi to kis tarah se Kahein,
Humne charche uski wafa ke har kooche mein kiye the...


very nice angel ji !

Wo bhul baithe hai kisi or ki mohabbat me hume,
Hum unki mohabbat me khudko hi bhula baithe hai !!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #8 on: February 15, 2009, 09:07:40 AM »
Reply with quote
very nice angel ji !

Wo bhul baithe hai kisi or ki mohabbat me hume,
Hum unki mohabbat me khudko hi bhula baithe hai !!

Very very very nice...

Bhoolein Kaise Uske Haseen Chehre Ko Meri Nazrein,
Hum uske nazaron mein Harek Nazara Bhool Baithe Hai...
Logged
salma786
Guest
«Reply #9 on: February 15, 2009, 09:28:25 AM »
Reply with quote
Very very very nice...

Bhoolein Kaise Uske Haseen Chehre Ko Meri Nazrein,
Hum uske nazaron mein Harek Nazara Bhool Baithe Hai...



grt lines angel Clapping Smiley

Un nazro ka hi to asar hai,
Jo unke khwaab bun rahe hai,
Zindegi unse sawaal ban gayi hai,
Hum bas jawaab dhund rahe hai!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #10 on: February 15, 2009, 09:32:49 AM »
Reply with quote

grt lines angel Clapping Smiley

Un nazro ka hi to asar hai,
Jo unke khwaab bun rahe hai,
Zindegi unse sawaal ban gayi hai,
Hum bas jawaab dhund rahe hai!!

Kuch sawalo se jhijakti hai nazronki khamoshi bhi,
jaise ho kisi aayine mein chhupi ajeeb bekasi si,
kaise dhundein tujhe duniya ki bheed mein ajnabi,
Kho aaye hum khudko hai na jaane kaisi ye bebasi si...
Logged
aaina
Guest
«Reply #11 on: February 15, 2009, 11:56:40 AM »
Reply with quote
wah wah kia baat hai angel nd salma ji.............bhut khoob very nice poetry from both side........keep it up

zabt karte hian to har zakhm lahoo daita hai
aah bharte hain to andesha e ruswaii hai
Logged
Roja
Guest
«Reply #12 on: February 15, 2009, 03:18:26 PM »
Reply with quote
Applause Applause

Wah wah aaina.. bahut badiya likha hai aapne...Aapka likha padte padte
bahut si baatein dil mein uber aayi.

Logged
Roja
Guest
«Reply #13 on: February 15, 2009, 03:23:00 PM »
Reply with quote
Awesome...

Bewafa usko kahein bhi to kis tarah se Kahein,
Humne charche uski wafa ke har kooche mein kiye the...


Arre wah hasina dear... do line mein bahut kuch keh diya
aapne..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #14 on: February 15, 2009, 03:29:50 PM »
Reply with quote
wah wah kia baat hai angel nd salma ji.............bhut khoob very nice poetry from both side........keep it up

zabt karte hian to har zakhm lahoo daita hai
aah bharte hain to andesha e ruswaii hai

thanks a lot...

aahon se darna kaisa ab to zindagi lipti hai inki chaadar mein,
ke ghut rahi hai har saans ab to teri hi aahon ki khalish mein...
Logged
Pages: [1] 2 3 4  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 06:59:30 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.203 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer