Na hota to achcha tha

by mudassirali on November 29, 2007, 04:00:20 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 880 times)
mudassirali
Guest
Reply with quote
Assalam-alaikum, ummeed hai aap sab khiriyat sey hongey.aaj bohot din baad ek nazm pst kar raha hoon.koi ghalti please bata dein.

merey dil mein ek gham jo tha, na hota to achcha tha
gham mein bhi mujh ko pyar tha, na hota to achcha tha

mainey jigar ko chaak kiya, lahu tapka key dikhlaya
yeh lahu ka bhi ek waar tha, rang koi bhi na ban paya

yeh lahu kya mera yaar tha? na hota to achcha tha

har parchaai mujh pey hasti thi,bas ek badli thi jo roti thi
main rota tha bahaaroon mein, tu patjhad mein bhi hansti thi

yeh patjhad kya mera yaar tha? na hota to achcha tha

ummeed hi kho chuka hoon main,bas maut ka intizaar hai
par maut bhi aati nahin, teri us dua ka kamaal hai

teri dua thi woh aur pyar tha? na hota to achcha tha.


mudassir.

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Main na achcha hua bura na hua by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
achcha lagta hai by mudassirali in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Suno achcha nahin lagta!!!! by Talat in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 13 14 »
Husn-e-mah, garche ba_haNgaam-e-kamaal achcha hai by tanishk_yadav in Shayari -e- Husn
Achcha Laga Tha.....( Mohib Kousar ) by musaafirhon in Ghazals
muskan_bye
Guest
«Reply #1 on: November 29, 2007, 06:40:23 PM »
Reply with quote
very nice "Mudsir" ji aap ka jawab nahi well done...

kuch logo ki chahte puri ho jati hai
or kuch logo ki chahte nafrat mein badal jati hai
aisa  na hota toh acha hota ........

mohabbat ke fasane logo ko passand aane lagte hai
gulab ke phool passand aane lagte hai
jab zindagi rooth jati hai toh
log manane  lag jate hai
isse acha na hota toh  acha hota...........

kuch log dil baaton ko zubaan par lana chahte hai
par kahe nahi pate hai
or jab kahete tab tak woh kisi or ki ho jati hai
or woh  bechara akela tanhai mein rahe jata hai
kash aisa na hota toh acha hota..............

ye sab aap ke topic likha hai
jo  aap  ke topic ka matlab hai uske hisaab se likha hai.....

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~"Muskan"~~~~~~~~~~~~~~~~~
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #2 on: November 30, 2007, 04:01:24 AM »
Reply with quote
bahoot khoob.. mudassirali N muskaan..keep writing ..

God bless u
Divya
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 03:13:29 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer