NAZRON SE JHALAKTA PYAR..

by punam on October 08, 2007, 05:34:39 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9
ReplyPrint
Author  (Read 6901 times)
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #60 on: February 01, 2008, 06:33:42 AM »
Reply with quote
Nazar se milte hi nazar jhuk jaati hai
par jab wo paas nahi hote hain ..
nazar unhi ko dhoondti rehti hai hamesha..
yeh unko main bataun kaise..

unka hi chehra nazar aata hai har shai me
unke naam ke sahare yeh saans chalti hai..
yeh unko main samjhaun kaise...

bin unke mera wajood kuch bhi nahi
unko apni wafa ka yekeen dilaun main kaise..
dil me hai unki tasveer ..
unko main dikhaun kaise ...


BAHUT KHOOB PUNAM...BAUHT ACHE EHSAAS KE SAATH AAPNE LIKHA HAI..BAHUT ACHE.. Usual Smile
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
NazroN ko churaate ho aise by Ghulam Haider in Shayri for Khumar -e- Ishq
lab par dua,jehan me khuda jhalakta hai by mrigank in Shairy-E-Watan
~Nazron se nazrein~ by Rahim by dead heart in Miscellaneous Shayri
NAZRON SE by saahill in English
!!lolup nazron se……!! by sarfira in Shayri for Khumar -e- Ishq
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #61 on: February 01, 2008, 06:42:39 AM »
Reply with quote
THAK KAR,TOOT KAR MOHABBAT KI RAAHON MEIN
HUM TANHAI MEIN JAA BAITHE HAI...
APNA HAAL-E-DIL BAYAAN KARKE UNHE RUSWA NA KAR DOON,
YEH SOCH KAR CHUP HI REHTE HAI...

UNHE KUCH KEH NA SAKOON
AUR BIN KAHE REH NA SAKOON
AB PYAAR MEIN UNKE
EK AJEEB SI KHAMOSHI SEHTE HAI...

MERI NAZRO SE JHALAKTA HAI PYAAR
HUM UNKE PYAAR KE SAMUNDAR MEIN BEHTE HAI,

QAYAMAT TO HUM PAR JAB TOOT PADI YAARON,
JAB WOH KHUD AAKAR PUCHTE HAI...

"KYA HAMARA SAATH AAP KO ACHA NAHI LAGTA "KHWAISH",
AAP HUMSE ITNA DOOR KYON REHTE HAI..??
Logged
punam
Guest
«Reply #62 on: February 01, 2008, 07:02:23 AM »
Reply with quote
wow..beautiful ..bahot khoob likha aap ne khwaish ji...

Pyar ke saaye me apne chupalo mujh ko
apne aagosh me kho jane do mujh ko..

de diya hai dil tumhe, bol na saku to kya
apni nigahon se padh lo mujh ko..

khud ko bhool chuki hun pyar me tere
apne dil me qaid kar ke rakh lo mujh ko...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #63 on: February 01, 2008, 11:56:00 AM »
Reply with quote
BAHUT KHOOB PUNAM...BAHUT HI KHOOBSURAT LIKHA HAI...

AAJ UNKE TARAF SE DIL KO YEH PAIGAAM AA RAHE HAI
JO SUNA CHAHTA THA, MAIN KABHI  UNKE ZUBAAN SE
AAJ WOH BAATE TAMAAM AA RAHE HAI...

MERE BAS MEIN HO TO,IN NAZRON MEIN CHUPA LU UNKO
JINKE BADAULAT AAJ YEH MOHABBAT-E-JAAM AA RAHE HAI

AAJ APNE DIL KO EK BAAT KAHIN THI MAINE,
"EH DIL,QAID KARLE USS SHAKS KO ZINDAGI BHAR"
AAJ DIL MEIN HUZOOR-E-MEHMAAN AA RAHE HAI...

AAJ UNKE TARAF SE DIL KO YEH PAIGAAM AA RAHE HAI
JO SUNA CHAAHTA THA,MAIN KABHI UNKE ZUBAAN SE
AAJ WOH BAATE TAMAAM AA RAHE HAI....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #64 on: February 01, 2008, 03:12:02 PM »
Reply with quote
wah wah wah kaya baat hai Punam and Khwaish tooo good!!!!

jhuk kar kuch is ada se wo salam kar gaya
mai to rahi wahin, dil wo apne naam kar gaya

her pal ab intzaar ussi ka rahta hai
apna wo pal, kis kadar mere naam kar gaya

ghool gaya wo pal, sanso mai meri is tarah
jaise Fiza ki her bahar wo mere naam kar gaya

jhuk kar kuch is ada se wo salam kar gaya
mai to rahi wahin, dil wo apne naam kar gaya
Logged
baadal102
Guest
«Reply #65 on: February 01, 2008, 03:14:00 PM »
Reply with quote
bahoot khoob punam ji,pooja ji & khwaish ji
sabhi lines sach mai bahut aache hai



Baadal
Logged
Pooja
Guest
«Reply #66 on: February 01, 2008, 03:30:54 PM »
Reply with quote
aor apki lines kaha hai sad5
Logged
baadal102
Guest
«Reply #67 on: February 01, 2008, 03:32:02 PM »
Reply with quote
mere lines weekend ke baad pooja ji


Baadal
Logged
punam
Guest
«Reply #68 on: February 02, 2008, 08:30:34 AM »
Reply with quote
again beautiful lines khwaish ji... bahot hoi acha...
pooja di aap toh hamesha acha likhte ho kya kahu main..?
baadal ji thanx...
Logged
punam
Guest
«Reply #69 on: February 02, 2008, 08:31:19 AM »
Reply with quote
Aankh khuli ho ya band tere khwaab peecha chodte nahi
sach nahi..khwaab hai..yeh dil samajhta nahi

aaj tak dekh rahi thi jisko khwaabon me
wahi haqeeqat banke saamne khada toh nahi...

abhi mile hum..kyun aisa lagta nahi
khwaab ko haqeeqat me badalne kahi tum aaye toh nahi..

tere khayal aise jakde hain mujhko...
pal bhar k liye bhi juda hone dete nahi
meri chahat, mere kal ka khwaab kahi tum toh nahi...

abhi abhi jo yeh ehsaas se hua parichay mera
kahi yehi pyar k madhur geet toh nahi..

mere kal ka khwaab kahi tum toh nahi...
Logged
niraj_191
Guest
«Reply #70 on: February 02, 2008, 08:41:31 AM »
Reply with quote
nice work punam!!
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #71 on: February 02, 2008, 11:31:59 AM »
Reply with quote
thanx a lot punam for appreciation.. Usual Smile
thanx a lot pooja & baadal... Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #72 on: February 02, 2008, 11:32:44 AM »
Reply with quote
wah wah wah kaya baat hai Punam and Khwaish tooo good!!!!

jhuk kar kuch is ada se wo salam kar gaya
mai to rahi wahin, dil wo apne naam kar gaya

her pal ab intzaar ussi ka rahta hai
apna wo pal, kis kadar mere naam kar gaya

ghool gaya wo pal, sanso mai meri is tarah
jaise Fiza ki her bahar wo mere naam kar gaya

jhuk kar kuch is ada se wo salam kar gaya
mai to rahi wahin, dil wo apne naam kar gaya

bahut khoob pooja..
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #73 on: February 02, 2008, 11:39:23 AM »
Reply with quote
Aankh khuli ho ya band tere khwaab peecha chodte nahi
sach nahi..khwaab hai..yeh dil samajhta nahi

aaj tak dekh rahi thi jisko khwaabon me
wahi haqeeqat banke saamne khada toh nahi...

abhi mile hum..kyun aisa lagta nahi
khwaab ko haqeeqat me badalne kahi tum aaye toh nahi..

tere khayal aise jakde hain mujhko...
pal bhar k liye bhi juda hone dete nahi
meri chahat, mere kal ka khwaab kahi tum toh nahi...

abhi abhi jo yeh ehsaas se hua parichay mera
kahi yehi pyar k madhur geet toh nahi..

mere kal ka khwaab kahi tum toh nahi...


Bahut khoob punam..har ek line mein khumari bharpoor hai...bahut ache..
too good..
Logged
baadal102
Guest
«Reply #74 on: February 02, 2008, 02:02:26 PM »
Reply with quote
Kuch lines mere taref se bhi....


Nigaho se unhone jo baya kiya hai,
Halke se mujhe jo ishara kiya hai,

Le gaye ek pal mai sab kuch,
Us isharee ne mujhe lute liya hai,

Kaatil nazar ka kamal dekhiye,
Dil mera ek baar mai hi unka hua hai,

Aab to ibadat mai KHUDA ki,
Sirf us nazar ko maangte hai,

Keh gaye jo ek ishare mai sab kuch,
BAADAL us dildaar ko mangte hai!!!!


Baadal

Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8 9
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 29, 2024, 01:59:31 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.131 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer