Raat Hai Tanha Tanha - - - - - - -Ghazal

by riyaz106 on February 13, 2010, 09:15:56 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 6128 times)
riyaz106
Guest
Reply with quote
Abr mein chaand nihaa.n raat hai tanha tanha    (Abr=cloud, Nihaa.n=hidden)
Aaj ho jaao ayaa.n raat hai tanha tanha              (Ayaa.n=appear)
Koi saaya nahi, dastak nahi, aahat bhi nahi
Dil nahi lagta yahaa.n raat hai tanha tanha
Faisla tumne mere baare mein jo kuchh bhi kiya
Aaj bas kar do bayaa.n raat hai tanha tanha
Haal kya hijr mein uska hua kisse poochein
Kya isi tarha wahaa.n raat hai tanha tanha
"Ashna" ye to hai khush fahmi koi aayega
So gaya saara jahaa.n raat hai tanha tanha

Riyaz "Ashna"


 
Logged
kran
Guest
«Reply #1 on: February 13, 2010, 11:23:42 AM »
Reply with quote
"Пост хорош"
Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #2 on: February 13, 2010, 12:23:20 PM »
Reply with quote
Wah wah Riyaz-bhai bada khoobsurat kalaam hai aapka... Applause Applause Applause

Ye raat ki tanhaayi
Aur Ye lambi judaayi

Sab orr Sannata he sannata hai
Na koi aahat na koi aawaaj hai

Aankhon mai nihaa.n nindiya hai
Abr mai khila-khila sa Chand hai

Faasla kitna bhi kyu na ho darmya
Saath maangti hu chhod sharmo-haya

Ye raat ki tanhaayi
Aur Ye lambi judaayi



Abr mein chaand nihaa.n raat hai tanha tanha   (Abr=cloud, Nihaa.n=hidden)
Aaj ho jaao ayaa.n raat hai tanha tanha             (Ayaa.n=appear)
Koi saaya nahi, dastak nahi, aahat bhi nahi
Dil nahi lagta yahaa.n raat hai tanha tanha
Faisla tumne mere baare mein jo kuchh bhi kiya
Aaj bas kar do bayaa.n raat hai tanha tanha
Haal kya hijr mein uska hua kisse poochein
Kya isi tarha wahaa.n raat hai tanha tanha
"Ashna" ye to hai khush fahmi koi aayega
So gaya saara jahaa.n raat hai tanha tanha

Riyaz "Ashna"


  
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #3 on: February 13, 2010, 02:38:18 PM »
Reply with quote
Kaash ji aapka behad shukriya ke aapne meri ye rachna pasand farmai.
waah Riyaaz bhai khoob likha hai aapne  Applause Applause Applause
bahut khoob,behatreen ghazal 
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #4 on: February 13, 2010, 04:03:00 PM »
Reply with quote
Waah Waah Waah Kya Baat hai Riyaz ji.. Iss Ghazal ka har sher Khumar se Bhara hai.. Bahoot Bahoot Khoobsoorat aur romantic ghazal likhi hai... Bahoot Khoob !  Applause Applause
Logged
Ahmod
Guest
«Reply #5 on: February 13, 2010, 05:10:45 PM »
Reply with quote
Ache gazal he
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #6 on: February 13, 2010, 05:28:07 PM »
Reply with quote
BAHUT KHOOB RIYAZ SAHAB Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #7 on: February 14, 2010, 12:15:11 AM »
Reply with quote
Wah wah Riyaz ji and Koyal ji,very touching and lovely gazal.bahut khoob likha aap dono ne.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #8 on: February 14, 2010, 02:33:44 AM »
Reply with quote
Koyal-didi apko ye rachna achhi lagi apka shukria. Aap ki ye on the spot poetry bhi kamaal ki hai. Wah wah bahut achha likha hai aapne.
Wah wah Riyaz-bhai bada khoobsurat kalaam hai aapka... Applause Applause Applause

Ye raat ki tanhaayi
Aur Ye lambi judaayi

Sab orr Sannata he sannata hai
Na koi aahat na koi aawaaj hai

Aankhon mai nihaa.n nindiya hai
Abr mai khila-khila sa Chand hai

Faasla kitna bhi kyu na ho darmya
Saath mangti hu chhod sharmo-haya

Ye raat ki tanhaayi
Aur Ye lambi judaayi



Logged
riyaz106
Guest
«Reply #9 on: February 14, 2010, 06:41:12 AM »
Reply with quote
Sophi ji aapne meri creation ki mukt kanth se tareef ki aapka bahoot bahoot shukriya.
Waah Waah Waah Kya Baat hai Riyaz ji.. Iss Ghazal ka har sher Khumar se Bhara hai.. Bahoot Bahoot Khoobsoorat aur romantic ghazal likhi hai... Bahoot Khoob !  Applause Applause
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 5 hours and 50 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: February 14, 2010, 09:42:23 AM »
Reply with quote
Bahut Ache Riyaz Ji.. Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #11 on: February 14, 2010, 01:02:39 PM »
Reply with quote
Nice Riyaz JI
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #12 on: February 14, 2010, 02:02:42 PM »
Reply with quote
Dear KA Sahab hausla afazaai ke liye aapka dher sara shukriya.
BAHUT KHOOB RIYAZ SAHAB Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #13 on: February 14, 2010, 02:21:29 PM »
Reply with quote
Dher saara shukriya Madhu Didi ye ghazal pasand farmane ke liye. Aapki hausla afazai se muhhe hamesha hi likhne ki prerna milti hai.
Wah wah Riyaz ji and Koyal ji,very touching and lovely gazal.bahut khoob likha aap dono ne.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #14 on: February 14, 2010, 05:45:20 PM »
Reply with quote
Bahut bahut shukriya Khwaish ji apko meri ghaza pasand aai. Aapki hausla afazai se mujhe kuchh likhne ki prerna milti rahegi.

Bahut Ache Riyaz Ji.. Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 10:01:09 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer