Samjhaty ho aor kahty nahi ho~~

by Pooja on April 27, 2006, 04:50:56 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 8
ReplyPrint
Author  (Read 5333 times)
Pooja
Guest
Reply with quote
Samjhaty ho aor kahty nahi ho
Meri jaan kayun tum kahty nahi ho
Tarasty hai kaan, yah dil tadpata hai
Rakhty ho lubo per, aor kahty nahi ho

Dhadkata hai dil aor man tarsata hai
Ankhon mai la ke shokhi, aor kahty nahi ho
Jhunjhunata hai, rom rom yah mera
Aor tum ho ki, kahty nahi ho

Kah do ki ab, aor na saha jayega
Dil ko koi bandhan na thahra payega
khamoshi teri, bhi geet gaati hai
shabdo mai teri gazal ban jaati hai
Rahne do ab magar KUCH NA KAHNA…
Teri khamoshi hi to mere
Geet, gazal, kavita aor nagme ban jaati hai

Rahna sath sath, mai khud jaan lugi
Kaya hai dil mere tere, khud pahchan lugi
Samjhati hu sab, magar yah dil kahta hai
Jo hai tere dil mai, kayun nahi wo Tu kahta hai…….

Samjhaty ho aor kahty nahi ho……:oops:
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #1 on: April 27, 2006, 04:54:45 PM »
Reply with quote
Pooja

Beautiful ! :D

Jab kehti ho to phir sharmati kyun ho :-P

Rajbir
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #2 on: April 27, 2006, 11:18:29 PM »
Reply with quote
pooja... one with the beauty.... hatsoff...

tu chandni bankar saamne aayi...
dekhar rukha maine... aur haar gaya...
haar kar tujh par ek kavitha gaaya...

phool khila ek mere liye...
us phool bani teri chehra...
taaron se bani teri aankhen...
koyal se teri komal baatein...

sona ho shringaar ho dekho ek baar mujhe
pyar se mil jao is dil se...

din mein saamne rehti ho
aur raat ko khwabon mein...
saat rehne ki aas laaye ho...
ek naye zindagi kab laate ho...

hawa ke jhonke ho aur
us hawa ke jhonke se hilti bhi hai teri kamar
jaisi mor ki narthan...

sona ho..........
Logged
mehek
Guest
«Reply #3 on: April 28, 2006, 01:00:41 AM »
Reply with quote
kya baat hai pooja ji.. kamaal kardiya!!! Winking
nice reply mrkotians Usual Smile
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #4 on: April 28, 2006, 01:29:15 AM »
Reply with quote
Bohat khoob Pooja.... Nice Reply mrkotians...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #5 on: April 28, 2006, 01:34:29 AM »
Reply with quote
thanks Rajbir vir ji, MK ji, Mehak and Aryaan!!
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #6 on: April 28, 2006, 06:29:21 AM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
Samjhaty ho aor kahty nahi ho
Meri jaan kayun tum kahty nahi ho
Tarasty hai kaan, yah dil tadpata hai
Rakhty ho lubo per, aor kahty nahi ho

Dhadkata hai dil aor man tarsata hai
Ankhon mai la ke shokhi, aor kahty nahi ho
Jhunjhunata hai, rom rom yah mera
Aor tum ho ki, kahty nahi ho

Kah do ki ab, aor na saha jayega
Dil ko koi bandhan na thahra payega
khamoshi teri, bhi geet gaati hai
shabdo mai teri gazal ban jaati hai
Rahne do ab magar KUCH NA KAHNA…
Teri khamoshi hi to mere
Geet, gazal, kavita aor nagme ban jaati hai

Rahna sath sath, mai khud jaan lugi
Kaya hai dil mere tere, khud pahchan lugi
Samjhati hu sab, magar yah dil kahta hai
Jo hai tere dil mai, kayun nahi wo Tu kahta hai…….

Samjhaty ho aor kahty nahi ho……:oops:


gr8 work.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: April 28, 2006, 07:09:53 AM »
Reply with quote
Nice One pooja Ji,..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: April 29, 2006, 06:14:51 AM »
Reply with quote
dil bahal jaata hai tere bahlaane se
bahla hi dety to acha rahta
khushi milati hai tere sief anne se
aa hi jaaty to dil ko acha lagta
na pucho  kuch sirf ek baar idher dekho
dekh lety to dil ko bahoot acha lagta

bunati rahti hu tere sapne, deewani ban kar
Tum bhi bun lety mera sapna, to acha lagta
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #9 on: April 29, 2006, 10:02:21 AM »
Reply with quote
bahut bahut khoob likha hai POOJA JI, MK JI....
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #10 on: April 29, 2006, 10:08:18 AM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
dil bahal jaata hai tere bahlaane se
bahla hi dety to acha rahta
khushi milati hai tere sief anne se
aa hi jaaty to dil ko acha lagta
na pucho  kuch sirf ek baar idher dekho
dekh lety to dil ko bahoot acha lagta

bunati rahti hu tere sapne, deewani ban kar
Tum bhi bun lety mera sapna, to acha lagta


Agar bahal jata yeh dil, bahalane se,
to mohabbat na karti, HEER yun RANJHE se......

khushi to bahut hoti hai, mujhe tumse mil kar,
par darta hoon main, phir tere door jane se.......

jab dekhta hoon teri, in nasheeli aankhon me,
jane ko dil nahi karta, phir is mayekhane se......

har raat banti ho khwab me tum meri DULHAN,
aur har raat ho jati hai khata is deewane se.......
Logged
rockindia
Guest
«Reply #11 on: April 29, 2006, 10:15:39 AM »
Reply with quote
Very nice pooja and vicki yaar kamal kar diya....nice reply dude
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #12 on: April 29, 2006, 12:17:45 PM »
Reply with quote
bahoot acha likha hai doston,..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: April 30, 2006, 04:50:03 AM »
Reply with quote
kabhi ai haqeeqat-e-muntazar, nazar aa libaas-e-majaaz mein
ke hazaaron sajade tadap rahe hain meri jabeen-e-niyaaz mein

na bacha-bacha ke tu rakh ise, tera aaeena hai vo aaeena
ke shikasta ho to azeeztar hai nigaah-e-aaiinaasaaz mein

na vo ishq mein raheen garmiyaan, na vo husn mein raheen shokiyaan
na vo gazanavi mein tadap rahi
na vo kham hai zulf-e-aayaaz mein

main jo sar-ba-sajada kabhi huaa, to zameen se aane lagi sada
tera dil to hai sanam aashanaa, tujhe kya milega namaaz mein

kabhi ai haqeeqat-e-muntazar, nazar a libaas-e-majaaz mein
ke hazaaron sajade tadap rahe hain meri jabeen-e-niyaaz mein (nm)
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #14 on: April 30, 2006, 04:51:17 AM »
Reply with quote
urdu ka lajawaab hua hain...very good work
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 8
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
May 02, 2024, 03:28:55 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.165 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8499 Real Poets and poetry admirer