~~*~~ShAyAd pYaR kArNe LaGi HoOn~~*~~

by roshni246 on April 22, 2006, 08:11:21 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5
ReplyPrint
Author  (Read 5447 times)
nirbhay
Guest
«Reply #30 on: April 24, 2006, 03:21:02 PM »
Reply with quote
Hanjee pesh hai Nirbhay kee ek choti se koshish!!

Mai ye sach harr sadiyon se jaanta hoon
Intezar mein tha ki tum kahogi mai bhi tumhein chahti hoon

Iss dil mein khalis teri jageh satati hai
Aaur harr marz karne parr aaur gehra jaati hai

Tumhi to ho wo jiske liye mai kaha karta tha
“Lagti hai meri jaan-e-tamana kaliyon ke jaise”

mai chahta hoon mai tumhein apni rooh mein basa loon
apna basera zalim zamane se hata loon

tanha tha safar abb talak ka mera
aaur tanha hee tha har manzil par mera deyraa

tumhari muhabaat mein to seekh liya ye kalam karna
ehsaan hee sahi parr karam tu mujhe pey ek aour karna!
mera intezar karna, aur tabb takk sirf mujhe hee pyar karna!!


~! neer !~
Logged
roshni246
Guest
«Reply #31 on: April 24, 2006, 03:36:05 PM »
Reply with quote
Tumhi to ho jis pe hum marte hai,
tumhi to ho jis se hum pyaar karte hai.
Kaise kahen tumhe humari dil-e-daastan,
jis ki rahon mai saath humara hai chutaa.
Kaise kahen hum jab khamosh ho tum,
ke tumhe sirf tumhe pyaar karte hai hum.!!!


~roshni~
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #32 on: April 24, 2006, 03:49:08 PM »
Reply with quote
Mai kahan aaur kiss lamha khamosh tha
haan tere pyaar mein zara madhosh tha
pyar karta hoon tumse bass yehi dohraya maine hazar baar
jabb jabb ankhein khuli jabb jabb mujhe hosh tha
kya wo maznoom tere pyar ka aagosh tha
sirfira kehti ho tum mujhe, haan mai zara sarfarosh tha
Logged
roshni246
Guest
«Reply #33 on: April 24, 2006, 03:52:42 PM »
Reply with quote
Dil se nikalti eik sada ho tum
khuda se mangi wo dua ho tum
mera sacha pyaar ho tum
meri pehli aur akhri tamana ho tum
eik haseen sapna ho tum
meri aankhon ke ansu ho tum
is dard baari nighaon ki talash ho tum
har roz leti hu me wo saans ho tum
mere jine ka asra ho tum
meri subha ki kiran ho tum
meri raaton ka chand ho tum
assman me chaye hue sitare ho tum
har sapna jo mene dekha unme ho tum
mere dard badi cheekh ho tum
mere rone ka sabab ho tum
mere hasne ki waje ho tum
mere pagalpan ki inteha ho tum
kia kahun kia ho tum
Bas eik baar ajao waapas
phir kehdenge hum ke meri jaan ho tum


~roshni~
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #34 on: April 24, 2006, 04:13:16 PM »
Reply with quote
Nawaz-e-husn ke harr adaa ho tum
Mukamil na honey waali dua ho tum
Merii muhabaat ka ikraar ho tum
Darkharichon par takta hoon rah jiskii
Haan wahi muhabaat bhara  intezar ho tum
Merii nazron kee roshni ho tum
Meri dharti mera aakash ho tum
Mai kalam karta hun jiski wo daastan ho tum
Pooja karta hun jiske liye wo aastha ho tum
Meri kashti ka kinara ho tum
Harr sehar ka nazara ho tum
Mere sitaron ka azalaa ho tum
Mere jahan mein basaye hue sabse pyarii ho tum
Mere harr kalpana kii rekha ho tum
Mujhe tanha na chodne waalii reet ho tum
Mere zindagi ka adaad ho tum
Pyar kii basti mein tumhein hee paaya, kya gazab ho tum
Muhabaat karta hoon be-inteha jisko wo ho tum
Mujhe loutne kii pukar ek baar do wapis
Sharama ke bahut dheere jufju karti ho tum
Abb lavzon ko aagey poore ikraar mein bunn na
Main jaanta nai tha mujhpe marti ho tum


~! neer !~
Logged
roshni246
Guest
«Reply #35 on: April 29, 2006, 10:08:05 PM »
Reply with quote
Kuch din pehle mohabbat ko sapna samjha hum ne
Muhabbat hue mohabbat ko apna samjha hum ne
Mohabbat main iskadar madhosh ho Gaye
Is ki bewafai ko wafa samjha hum ne?
Zakham iskadar mohabbat ne diye
Hum ne in zakhmo ko phool samjha
Mohabbat ki chik-o-pukaar iskadar thi
Ke ass pass ke logo ki roone ko asna samjha hum ne
Mohabbat ki shidat main aankhen iskadar chandiya Gaye
Har chamakti chiz ko sona samjha hum ne
Dewaani iskadar mohabbat ne bannaya humko
Ke apno ko begana samjha hum ne
Mohabbat ki yaadein dil par kuch yun naksh kar Gaye.
Ke on ko bhulane ki khoshish main
Khod ko bhula diya hum ne.....Huh?


~rosh~
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #36 on: April 30, 2006, 04:02:53 AM »
Reply with quote
Gud Work Neer and Roshni...... Usual Smile
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #37 on: April 30, 2006, 04:13:15 AM »
Reply with quote
Bhut Khoob Roshni, neer n Gaurav :wink:
Logged
~Subhankar~
Guest
«Reply #38 on: April 30, 2006, 05:30:19 AM »
Reply with quote
Tumhein hansne ki koshish mein
khud ko Rula diya humne

zubaan se to bahut baar kiya bayaan, haal-e-dil
kuch martaba likh kar bhi bata diya humne

Iss dil mein rakha tha jo bhi terii khatir
Dil cheiir key bhi tumko dikha diya humne!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #39 on: April 30, 2006, 09:26:23 AM »
Reply with quote
thxx big bro,jeet and subhankar ji gud one!!!!!!
Logged
~Subhankar~
Guest
«Reply #40 on: April 30, 2006, 10:50:59 AM »
Reply with quote
Very Thankyou Roshni Ji!
Logged
mehek
Guest
«Reply #41 on: May 01, 2006, 02:34:47 PM »
Reply with quote
bohat khoob rosh & all :D
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #42 on: May 02, 2006, 03:08:36 AM »
Reply with quote
Bohat khoob Roshni & Nirbhay...
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #43 on: May 02, 2006, 03:45:34 AM »
Reply with quote
Bohat Shukriya Aryaan & Mehak..
Logged
roshni246
Guest
«Reply #44 on: May 02, 2006, 04:29:28 AM »
Reply with quote
THXX MEHEK AND ARYAN JI!!!!!!!!!!
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 26, 2024, 10:04:29 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer