~~*~~ShAyAd pYaR kArNe LaGi HoOn~~*~~

by roshni246 on April 22, 2006, 08:11:21 PM
Pages: 1 2 3 4 [5]
ReplyPrint
Author  (Read 5445 times)
Pankhuri2
Guest
«Reply #60 on: May 20, 2006, 09:52:09 PM »
Reply with quote
wah bahoot khoob Neer and Roshini!!! Good work!!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #61 on: May 23, 2006, 03:02:45 PM »
Reply with quote
thxx pankhuri!

rishto ki qaid se azad kerke tujhe sab se churaloon
dil kehraha hai tujhe apne pass bulaloon

kaise karoon ab intezaar dil ki rooh bechain hai
miljaye mujhko tera pyaar kahan se aisi rah nikal laoon

koi na dekhe tujhko sanam... meri ankho main qaid kerloon
aansu mere gir aaye tu woh aansu ko chupaloon

itna main chaho tujhko O mere sanam
tod doon rishta sabhi se tujhse naya rishta jodloon

kya main bataoon halat ye dil ki..kitna main isse chaupoon
chord ke sabko sajan ki baho main apni nayi duniya ko basaoon

pyaar main tere hoon main beqaraar mujhko...kuch na bhaye
tu hi tu hai mera pyaar tujhko apna bana lo

teri qasm mujhe hosh nahi hai tere siwa kuch
kaise kahoon hai kitna pyaar kaise batadoon


~rosh~
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #62 on: May 23, 2006, 03:07:36 PM »
Reply with quote
Roshu

Superb  =D> =D> =D>

Bahut he achcha likha hai  :wink:

Rajbir
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #63 on: May 23, 2006, 03:25:35 PM »
Reply with quote
good one rosh... keep on...
Logged
roshni246
Guest
«Reply #64 on: May 23, 2006, 03:37:52 PM »
Reply with quote
thxx rajbir bhaya and thhxx Mrk ji
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #65 on: May 24, 2006, 04:30:45 AM »
Reply with quote
really marvelous rosh... and neer excel...
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #66 on: May 24, 2006, 05:42:24 AM »
Reply with quote
Ab ke hum bichare to shayad kabhi khawbon main milein
Jis tarah sukhay hue patte kitabon main milein

Dhoond ujray hue logon main wafa ke moti
ye khazane tujhe mumkin hai kharabon main milein

Ghum-e-duniya bhi ghum-e-yaar main shamil kar loon
nasha barhta hai sharabain jo sharabon main milein

Too khuda hai na mera ishaq farishton jaisa
dono insaan hii hain to kyon hijabon main milein

Aaj hum dar ye khainchainge jin baton par
Kya ajub kal woh zamane ko nasibon main milein

Ab na Doorian hai na ko majboorian hain doo Dilon ke bich
Jaise do shakhs tamanna ke sailabon main milein
(Modifd)
Logged
roshni246
Guest
«Reply #67 on: May 24, 2006, 05:56:32 AM »
Reply with quote
Quote from: "nirbhay"
Ab ke hum bichare to shayad kabhi khawbon main milein
Jis tarah sukhay hue patte kitabon main milein

Dhoond ujray hue logon main wafa ke moti
ye khazane tujhe mumkin hai kharabon main milein

Ghum-e-duniya bhi ghum-e-yaar main shamil kar loon
nasha barhta hai sharabain jo sharabon main milein

Too khuda hai na mera ishaq farishton jaisa
dono insaan hii hain to kyon hijabon main milein

Aaj hum dar ye khainchainge jin baton par
Kya ajub kal woh zamane ko nasibon main milein

Ab na Doorian hai na ko majboorian hain doo Dilon ke bich
Jaise do shakhs tamanna ke sailabon main milein
(Modifd)


aaahaaaaaa le ek aur bar dikha diya na kamAall apna ...main fiki pargayi !!
awesome reply jaan!

and thxx mrk ji!
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #68 on: May 24, 2006, 06:32:26 AM »
Reply with quote
Ek pal gamoun ka dariya, eik pal khushi ka dariya
Thamta nahi kabhi bhi yeh zindagi ka dariya

Ankhain thi wo kisi ki yaa khwaab k jazeeray ?
Aawaz thi kisi ki yaa raagni ka dariya ?

Is dil ki wadiyoun main ab khaak udd rahi hai
Behta nahi tha pehlay yahan eik aashiqi ka dariya

Kirano main hai Roshni ya roshni main hain kiranein ?
Dariya-e-Muhabaat mein hai nirbhay ya nirbhay mein hai Muhabaat-e-dariya!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #69 on: May 24, 2006, 06:37:39 AM »
Reply with quote
Pyar ki khashti bahaye chalo doston..........Bahut acche Neer and Roshni.......Khuda tumdono ke Pyar ko kisi ki nazar na lagye :D
Logged
ranjana
Guest
«Reply #70 on: May 24, 2006, 07:18:49 AM »
Reply with quote
bahut sundar Neer and Roshu.............. Usual Smile

dono ne kamal ka likha hai....... Usual Smile
Logged
roshni246
Guest
«Reply #71 on: May 24, 2006, 09:48:11 AM »
Reply with quote
thxx a lot ranju mom!
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #72 on: May 24, 2006, 09:49:18 AM »
Reply with quote
Nice one Neer and Roshni !!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #73 on: May 24, 2006, 09:52:20 AM »
Reply with quote
thxx hum tum ji!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #74 on: July 22, 2006, 10:20:10 PM »
Reply with quote
Phaila hai daaman magar labb par harf-e-dua nahi
bin maange na ho inaayat,aisa to KHUDA nahi.

Teri yaadon se roshan hoti hai khilwat-e-gum
bam-o-dar pe koi diya agar.chey jala nahi.

Chahte hain tujh ko hum apni rooh ki gehrayion se
teri be-rukhi to sanam meri wafa ka sila nahi.

Tere pyar ke jugnoo sada meri zindagi mein chamken
aye na koi lamha jis mein tere pyar ki ziaa nahi.

Ek gumnaam si kasak dil mein rehti hai hardam
maana ke tera mera milan ka koi silsala nahi.

Chalte hi jayenge charche raah-e-wafa hai dushwar bahot
ke pallat jaane ka to abb koi raasta hi nahi.

Saari umar saath na bhi raho agar tum mere
door rehne se jo toote aisa yeh naata to nahi.

Kar doon tujh pe fida main har khushi apni
chaahun tujhe itna,jitna kisi ne chaha nahi.

ey dost naseeb ho tujh ko umar-e-abad
ke mere dil mein koi duaa is ke siwa nah...i.


~rosh~
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 25, 2024, 01:31:10 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 23, 2024, 09:54:09 AM]

by ASIF
[April 22, 2024, 01:50:33 PM]

[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.159 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer