~~*~~ShAyAd pYaR kArNe LaGi HoOn~~*~~

by roshni246 on April 22, 2006, 08:11:21 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5
ReplyPrint
Author  (Read 5647 times)
nirbhay
Guest
«Reply #45 on: May 02, 2006, 04:36:59 AM »
Reply with quote
Dil ki sada ho, zubaan ki nida ho tum
Hoor ho, Husn kii har adaa ho tum
Is deewane ki khaid ho saza ho tum
dard bhi ho aaur davaa bhi ho tum
Haya ho, fiza ho, Roshni ho aaur hawa ho tum!! :smile:
Logged
roshni246
Guest
«Reply #46 on: May 02, 2006, 04:08:39 PM »
Reply with quote
aaja aakAr kare dil ki baatein
tanha nahi katti ye raate

tujh se kehna hai dil ye kya kahe
tujh se sunna hai jo koi na sune
didaar ko bulayn meri ye aankhien

kab tak kare hum tera intezaar
lagta nahi dil mera o mere yaar
uljhn mere ye aja tujh ko milke batate

koi nahi hai akele hum hai bilkul
dar lagta hai kahi tu na jai bhool
dil ki baat kehni hai kuch to tum samjhte

yaad kare es tanhayi main khood ko bhola ke
kha chord gai tum hum ko rula ke
aja aarma hamare tujhe hai bulate

~rosh~
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #47 on: May 02, 2006, 04:40:33 PM »
Reply with quote
Gud Work Neer and Roshni sis..... Usual Smile
Logged
roshni246
Guest
«Reply #48 on: May 02, 2006, 04:47:56 PM »
Reply with quote
thx bro!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #49 on: May 16, 2006, 02:57:16 PM »
Reply with quote
milna tujhse kya kayi mulaqaat baqi hai
thi jo adhuri woh baat baqi hai

tujhe jane bina ye dil de diya ham ne
ab meri aankho main kayi sawalaat baqi hai

jab waqt le aya hai hame pass tumahre
tu fir na jao abhi to raat baqi hai

jazbo ki in bijliyon se hi dil darne laga hai
abhi tu meri jaan pyaar ki barsaat baqi hai

milne tujh se kayi mulaqaat baqi hai
thi jo adhuri woh baat baqi hai

~roshni~
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #50 on: May 16, 2006, 03:16:46 PM »
Reply with quote
Hoooye main waari jawaan, mai to bhool hii gaya tha abhie IsQ de exam dii paari baaQi hai :lol:

=================

Aagaz to Fasana-e-dil AasiQi ka karr diya
Anjaam mein hona Fanah abhie mehbooba baaQi hai

Dhoop pe mein bitaye dinn bahut maine intezar ke
Tere Sath bitani muhabaat ki shaam baaQi hai

Hua fasana rubaru do dilon ki bich abhie
Charche saar-e-aam hona to abhie baaQi hai

Karke housle buland, safar lamba tay kiya maine
Manzilein kuch aaur bhi thi mah-o-anjum se paare
Parr dil kehta hai tera khoobsurat mukaam abhie baaQi hai

Aagaz to fasana-e-dil AasiQi ka Kar diya
Anjaam mein hona abhie Fanah mehbooba BaaQI hai
Logged
Tabrez khan
Guest
«Reply #51 on: May 16, 2006, 03:20:52 PM »
Reply with quote
Yaad aaye to aankhen band na karna,
Hum chale bhi jaaye to gum na karna.
Yeh zaruri nahi ki har rishte ka koi naam ho,
Per dosti ka ehsaas kabhi dil se kam na karna.
Logged
roshni246
Guest
«Reply #52 on: May 16, 2006, 03:22:54 PM »
Reply with quote
gud one tabrez ji !!!

and neer aapko kya hua Puzzled !
AND AWESOME REPLY!!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #53 on: May 16, 2006, 03:38:16 PM »
Reply with quote
zindagi ka her ek pal hai bas tere liye
mere dil ki ye halchal hai bas tere liye

mere dadkan ki ek ek nabz hai ye bole
dadkan se dil ka ye safar hai bas tere liye

waqt aur halaat main lamho ki barish main
mera aaj aur kal hai bas tere liye

aankho se dil ki baate wo irsaal kerta hai
khamosh labo se bhi wo izhaar kerta hai
pyaar ka ye diwana pan hai bas tere liye

tanhayi ho mehfil ho bas tera saath ho
meri khushiyo ki baraat bas tere pass ho
meri rooh main hai tera ghar bas tere liye
zindagi ka her ek pal hai bas tere liye

~roshni~
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #54 on: May 16, 2006, 04:04:47 PM »
Reply with quote
Quote from: "roshni246"
zindagi ka her ek pal hai bas tere liye
mere dil ki ye halchal hai bas tere liye

mere dadkan ki ek ek nabz hai ye bole
dadkan se dil ka ye safar hai bas tere liye

waqt aur halaat main lamho ki barish main
mera aaj aur kal hai bas tere liye

aankho se dil ki baate wo irsaal kerta hai
khamosh labo se bhi wo izhaar kerta hai
pyaar ka ye diwana pan hai bas tere liye

tanhayi ho mehfil ho bas tera saath ho
meri khushiyo ki baraat bas tere pass ho
meri rooh main hai tera ghar bas tere liye
zindagi ka her ek pal hai bas tere liye

~roshni~

Lovely one Roshni Usual Smile
Logged
roshni246
Guest
«Reply #55 on: May 16, 2006, 04:08:37 PM »
Reply with quote
Quote from: "badnaam_shayar"
Quote from: "roshni246"
zindagi ka her ek pal hai bas tere liye
mere dil ki ye halchal hai bas tere liye

mere dadkan ki ek ek nabz hai ye bole
dadkan se dil ka ye safar hai bas tere liye

waqt aur halaat main lamho ki barish main
mera aaj aur kal hai bas tere liye

aankho se dil ki baate wo irsaal kerta hai
khamosh labo se bhi wo izhaar kerta hai
pyaar ka ye diwana pan hai bas tere liye

tanhayi ho mehfil ho bas tera saath ho
meri khushiyo ki baraat bas tere pass ho
meri rooh main hai tera ghar bas tere liye
zindagi ka her ek pal hai bas tere liye

~roshni~

Lovely one Roshni Usual Smile

thxx big brother!!!!!!!! Puzzled !
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #56 on: May 17, 2006, 10:52:17 AM »
Reply with quote
Muhabaat kisii dil mein jabb bass jaye
Uss ek hii dil se nafrat kar paana mushkil hai

Tujhse dewangi ka hai suroor-o-sabab
Aaur tere hii paas aana mushkil hai

Tere sajde mein ghar to mera banna liya
Abb mera wahan rojj aana mushkil hai

Hai aarzu kuch, hansaratein meri bhi hai tumse
Parr shikayat tumse karr paanaa mushkil hai

Dil tumhare itne kareeb aagaye hai abb
Ke tumse nazar churana abb mushkil hai

Tere pyar ki Bijlion se seham sa gaya mera dil
Iss pyar ki baarish mein nahana mushkil hai

Tere pyar ke alfazon se jild gaya dil kuch iss tarah
Ke ismein dard ka kahin samana abb mushkil hai

Jo immtihaan bhi aaye isQ mein koi tufaan lekar
Marr mitna hai aasan abb pichey hatt paana mushkil hai

Dard kharid ke bech denge tumhein saari khusfashihat
Tumhein aaur yoon khamosh deikh paana mushkil hai

Andaaz-e-muhabaat maine kar diya tumko baya
Parr jo nasha chip-chip ke muhabaat mein hai, Wo khule fasane mein mushkil hai

Surkh rang se likha hai hai naam tera dil ki diwaron pe
Tum kehte ho ki jism pe fhir bhi use Dhoond paana mushkil hai!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #57 on: May 20, 2006, 02:14:27 PM »
Reply with quote
Quote from: "nirbhay"

awesome nirbhay !!!!
meri ek choti si khoshish!!!!

Apni Ankhon mein UmeedoN ke Deep Jallaye
Kab se Bethi hon teri Rah par
ke Shayad kabhi tu aye
Meri Zindagi Sawar jaye
Mein bhi phir Gaoon Mohabbat k Tarana
Bhool jao mein yeh Gham k Fasana
Bhula kar Zamane k har gham ko
Lagalo Galle se main Humdum ko
Honton se Hont phir Baatein karen
Hum tum mill kar Pyar ki Baatien karen
Apni Aankhein band kar
So jaon tere Aghosh mein
aur phir kabhi
Jagoo na Neend se!
Aao aab a bhi jao
Sapna mera yeh haqeeqat kar bhi jao
AAO ab aur na tarsao!!!!!!!!

~rosh~
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #58 on: May 20, 2006, 04:56:24 PM »
Reply with quote
Quote from: "Roshni246"
Apni Ankhon mein UmeedoN ke Deep Jallaye
Kab se Betha hon teri Rah par
ke Shayad kabhi tu aye
Meri Zindagi Sawar jaye
Mein bhi phir Gaoon Mohabbat k Tarana
Bhool jao mein yeh Gham k Fasana
Bhula kar Zamane k har gham ko
Lagalo Galle se main Humdum ko
Honton se Hont phir Baatein karen
Hum tum mill kar Pyar ki Baatien karen
Apni Aankhein band kar
So jaon tere Aghosh mein
aur phir kabhi
Jagoo na Neend se!
Aao aab a bhi jao
Sapna mera yeh haqeeqat kar bhi jao
AAO ab aur na tarsao!!!!!!!!
[/i]

Ahem ahem !! Kya likhoon Tareef mein ?

Kya likhun ke tumhari tareef ki aareef mein
Tumhari tazbeez mein muhbaat bhari tumhari tafteesh mein
iss ehsaas mein tere aabhas mein, mere kayash mein
abb tum hi hoo har taraf mere sapno ke aakaash mein
bass tumhein hii basaya hai dil aur dil ke paas mein
aaur kuch iss tarah main doob gaya hoon tere ehsaas mein
ke kehne ko kuch reh nahi gaya meri zubaan ke pass mein
ek kashish sii rehti hai, ek hulchul sii rehti hai dil ki pyass mein
dinn aabhie chand beetein hain ke tujhe milne kii aas mein
kaise beetenge saal bass baat hii baat mein ?
Dil to tohfa banaa kar ehsaas ka rakh diya tumahre pass mein
Abb to aaisaa lagta hai ke tumse milna, baatein karna....
Kuch door talak chalna kuch nahi hoga mere bass mein meri AuQat mein!!
Dil to fhir bhi dewaana dil hai mera chahta hai jo sirf tumein pyar karna
Dil kehta hai ki kamyaab honge sapne ek dinn, Kyunki dil hai tumhara bhi mere pass mein!!
Logged
roshni246
Guest
«Reply #59 on: May 20, 2006, 05:14:53 PM »

wooooww iska jawab doongi zaroor !!!lekin thora time lagega !!! hope u dont mind jaan!!
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
July 27, 2024, 12:43:39 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[July 12, 2024, 10:07:58 AM]

[July 07, 2024, 08:57:29 AM]

[July 07, 2024, 08:56:36 AM]

[July 03, 2024, 09:17:49 AM]

[June 29, 2024, 10:14:36 AM]

[June 28, 2024, 11:07:01 AM]

[June 27, 2024, 09:39:21 AM]

[June 27, 2024, 09:29:05 AM]

[June 26, 2024, 08:34:09 AM]

[June 26, 2024, 08:32:48 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.124 seconds with 21 queries.
[x] Join now community of 8501 Real Poets and poetry admirer