sirf main aur tum .......!!!

by ranjana on July 22, 2006, 07:20:03 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5
ReplyPrint
Author  (Read 7091 times)
ranjana
Guest
«Reply #45 on: August 24, 2006, 04:15:59 PM »
Reply with quote
Quote from: "Rishi"
**
Din ho gaye hain suhaane, meri bechain raaton ko karaar aa gaya hai,
jindagi haseen ho gayi hai, baahon mein jab se tu pyaar aa gaya hai..!!

bahaar aa gayi hai, dil ki har kali pe ajab sa nikhaar aa gaya hai,
jab se mili ho tum mujh pe jaane ye kaisa khumaar chha gaya hai..!!

teri deewani ho gayi hai dhadkan, dil mera machal gaya hai,
tera pyaar geet ban ke mere hothon pe jaan-e-bahaar aa gaya hai..!!
**


bahut khoob Rishi ji ..

mere pyaar ke yeh jaadu ab teri neende chura lega
yeh meri aaknho ka nasha tujhe ab na jeene dega

jab yeh khumar ishq ka had se gujar jaayega
tere tan mann  per mera husan kyaamat dha jaayega

inteh pyaar ki hoti hai kya sanam
ab yeh tu mere pass aa kar hi jaan paayega
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Main hoon sirf tumharii..... by Princess21 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
Sirf Main Hi Jaanthi Hoon...... by palkhi in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Haan sirf main by ~Hriday~ in Shayri-E-Dard
main to hooN sirf ek KANKAAL....!! by ghayal_shayar in Miscellaneous Shayri
<>*wo sirf main hun*<> by *KasaK*....Dil Ki in Shayari -e- Husn
Rishi
Guest
«Reply #46 on: August 25, 2006, 12:40:28 PM »
Reply with quote
**
nice ranjana, i will try to write something too..!!

**
ab to dil ki tadap ka ye aalam ho gaya hai,
boondein bhi is agan ko na boojha paayengi,
jaane kab tere deedar ki ghaadi aayegi,
tarasti ye nigahein meri sukun paayengi,
lagi rehti hain ab to dar pe aankhein meri,
kab hoga ye intezar khatam aur aap aayengi..!!
**
Logged
ranjana
Guest
«Reply #47 on: August 27, 2006, 02:14:30 AM »
Reply with quote
Quote from: "Rishi"
**
nice ranjana, i will try to write something too..!!

**
ab to dil ki tadap ka ye aalam ho gaya hai,
boondein bhi is agan ko na boojha paayengi,
jaane kab tere deedar ki ghaadi aayegi,
tarasti ye nigahein meri sukun paayengi,
lagi rehti hain ab to dar pe aankhein meri,
kab hoga ye intezar khatam aur aap aayengi..!!
**



too good Rishi ....

mat puch mujhse meri dil ki beqarari ka alam
mere dil ko yeh intezar ab kiska hai

tera hi aqs hai ab meri aankho mein
mere labo per yeh ruka sa peghaam kiska hai

koi lamaha gujarta nahi hai tujhe soche begair
yeh dil per yaado ka badaal kiska hai..
Logged
Rishi
Guest
«Reply #48 on: August 27, 2006, 05:09:02 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Ranjana !!
**
tere naam se hoti hai har subah meri,
teri palkon mein meri har shaam dhalti hai,

teri bahein hi hain sanam ab duniya meri,
meri dhadkan teri saanson se chalti hai,

tujh bin chain nahi ek pal bhi dil ko,
tu paas hoti hai to dil ko raahat rehti hai,

yun sama gayi hai teri khushboo mujh mein,
main kahin bhi rahoon tu sang rehti hai..!!
**
Logged
ranjana
Guest
«Reply #49 on: August 28, 2006, 03:43:56 AM »
Reply with quote
wah !! bahut khoob .... ...Rishi...


maine har pal har khawab mein tumhari hi chhavi nihaari hai
har aahat mein bas lagata hai ki yah aahat tumhari hai

dil ki kai baate aa ke ruki hai labo per
mere dil mein bas ab hat baat hi tumhari hai

na jaane kitne yugo se ek payaas jami hai labo per
aa jaao ab toh har pal mujhe bas partiksha sirf tumhari hai

kuch toh ab samajh lo meri nazaro ke ishaare ko
zindagi kab se yun hi udas hai bas ab sirf kushi tumhari hai
Logged
Rishi
Guest
«Reply #50 on: August 28, 2006, 05:43:41 PM »
Reply with quote
**
Really very nice Ranjana..!!
**
tum na bolo dil ka haal,hum ko khabar ho hi jaayegi,
mere dil ka haal bhala kaise mujh se chhupa paaogi,
 
labon se gar nahi bologi tum to aankhein bol uthengi,
galon ki surkhi sab keh degi jo tum palkein jhukaaogi,
 
tera humsaaya hun, tere sang sang rehta hun har pal,
jab bhi tum pukaarogi mujhe, nazar ke saamne paaogi..!!
 
**
Logged
ranjana
Guest
«Reply #51 on: August 29, 2006, 02:10:37 AM »
Reply with quote
bahut khub Rishi ....

dekha kal raat tujhe maine apne khawab mein
meri aankho mein ab tak nasha uski ka hai

kar raha thaa tu mere kaano mein sargoshiyaan
yeh aaj sara alam usi pyaar mein duba duba sa hai

le liya thaa jab tune mujhe apni bahaon ke ghere mein
ruka hua se us lamhe ka nazaara nazro mein ruka sa hai

badal de mere sapano ko tu haqikat mein ab
meri nazmo mein dhalata hua har lafaz tere pyaar ka hai
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #52 on: August 29, 2006, 04:05:30 AM »
Reply with quote
bahut khoob RANJANA aur RISHI JI....
behad khubsoorat likha hai aap dono ne.......
Logged
Rishi
Guest
«Reply #53 on: August 29, 2006, 10:52:09 AM »
Reply with quote
**
Thanx Vicky !!
**
Bahut badhiya Ranjana !!

**

mere khawaabon mein teri hi sargoshi hai,
tu mera khayaal hai sanam bandagi hai meri..

tere aane se ho gayi hain meri rahein roshan,
tu hi hai jaan-e-tammanna ab to duniya meri..

aur koi tamanna baaki na rahi mere dil mein,
tujhi se hai mere dilbar ab har aarzoo meri..

tum jo mil gayi ho, paa liya sara jahaan maine,
tujh ko paa ke ho gayi poori har khawaahish meri..!!

**
Logged
ranjana
Guest
«Reply #54 on: August 29, 2006, 01:57:27 PM »
Reply with quote
shukriya vicky ......bahut khoob Rishi ........


aaj unse aankho aankho mein baat ho gayi
zindagi mein aaj yeh kya karamaat ho gayi

muddat se yeh dil thaa pyaar ka payaasa
aaj hum per unke pyaar ki barsaat ho   gayi

chhoo liya jis pal se tere jazbaato ne mujhe
meri har raat ab toh chandani raat ho gayi

tere bagair ab yeh dil lagata kahi nahi
yeh kuch pal ke milan mein aise kya baat ho gayi!!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #55 on: August 31, 2006, 02:05:59 PM »
Reply with quote
bahut khoob RANJANA.........

Karamaat hai yeh teri aankhon ki, ki jaan nisaar ho gaya,
pahali hi ek nazar me humko sanam, tumse pyaar ho gaya........

muddat se pyaase is dil ko, chahat thi sanam tere pyaar ki,
mana ki lamba bahut mohabbat me, yeh intzaar ho gaya......

chandni in raaton me dilbar, yaad bahut aati hai teri,
chand ke sunhare roop me, deedar jo tera ho gaya........

ek pal bhi kat-ta nahi ab, door tujhse raha kar sanam,
har ek pal ko sanam ab mere, tujhse pyaar ho gaya..........
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #56 on: September 07, 2006, 04:38:59 AM »
Reply with quote
Gud Job Alll

Geet gata Panchi.....
Aur Chandani Barsaat hai.....

Khubsurat hai Waadi.....
Sulagte Dilon me aaj Mahobbat ki aag hai......

Angaar dehek rahe aaj Zehem me mere......
Keh do Sanam ki haan tumhe bhi HUmse Pyar hai......

Geet gata Panchi......
Aur Chandani Barsaat hai......

Rooth gayi Sab Mehfilein......
Ab bas tu mera Talabdaar hai......

Husn ka bana me Deewana......
Gunjti Kaano me uski Payal ki awaaz hai......

Jal rahi Dunia dekh Khushi meri......
Jala do unhe Sanam kehke Haan hume bhi tumse Pyar hai......

Geet gata Panchi......
Aur Chandani Barsaat hai...........!!!!!!!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #57 on: September 07, 2006, 04:53:23 AM »
Reply with quote
aaj yeh kya hua hai gajab aur kya baat hai
tere lafazo mein mujhe kyu dikh rahi koi aag hai

chalak raha hai aaj tere lafazo se ishq ka paimaana
mere dil mein bhi isko pad ke kuch kasak hoti aaj hai

sun rahi hun jaise main kisi khamosh lab ki jubaan
yeh tere ishq ka aaj kaisa beheka bekeha sa andaaz hai

bikhar raha hai fiza mein aaj jaise koi jaadu
kyu sanam aaj kyu is tarah betaab hai

kar diya hai kiski aankho ne tujh per jaadu
kyu kuch dehaki hui teri aankho ki aanch hai !!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #58 on: September 07, 2006, 11:10:30 AM »
Reply with quote
bahut khoob GAURAV BHAI, RANJANA...

behad khubsoorat likha hai aap dono ne.....
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #59 on: September 09, 2006, 05:45:29 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
aaj yeh kya hua hai gajab aur kya baat hai
tere lafazo mein mujhe kyu dikh rahi koi aag hai

chalak raha hai aaj tere lafazo se ishq ka paimaana
mere dil mein bhi isko pad ke kuch kasak hoti aaj hai

sun rahi hun jaise main kisi khamosh lab ki jubaan
yeh tere ishq ka aaj kaisa beheka bekeha sa andaaz hai

bikhar raha hai fiza mein aaj jaise koi jaadu
kyu sanam aaj kyu is tarah betaab hai

kar diya hai kiski aankho ne tujh per jaadu
kyu kuch dehaki hui teri aankho ki aanch hai !!


Aag na keh mujhe.....
Hum woh nahi jo Paani se bhuj jayega.....

Yeh Chahat hai ek Deewane ki.....
Jo tere liye marke bhi jee jayega.....

Yoon toh Hukamat hai terimere Dil ke Jahan me......
Warna nahi the hum AShiQue kisi jo ab tera Ghulam kehlayega....!!!!!!!
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 01:21:39 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.207 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer