sirf main aur tum .......!!!

by ranjana on July 22, 2006, 07:20:03 PM
Pages: [1] 2 3 4 5
ReplyPrint
Author  (Read 7092 times)
ranjana
Guest
Reply with quote
yeh tanahi ka alam
aur main aur tum... sirf tum

yeh shuaani raat ka alam
aur bas main aur tum

saji hai taaro ki baaraat
chand ke madmaate rup ke saath

yeh mehakta sa sara guljaar
mere husan per hai aaj nikhaar

tera saawala sa rup dil per chhaa gaya
mere hosh aur neende udda gaya

kyu na behke se rahe ismein aaj
bas main aur tum ....haan sirf tum


mere aanchal ko tumne rukh se sarka diya
husan ka naqab aaj yun hata diya

rakh diya mere shaano per apna sirr
aur apni nazaro se yeh aaj kya peela diya

behak gayi raat ke saath main bhi sanam
yeh tanahi ka alam aur bas main aur tum ....sirf main aur tum ..!!!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Main hoon sirf tumharii..... by Princess21 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
Sirf Main Hi Jaanthi Hoon...... by palkhi in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Haan sirf main by ~Hriday~ in Shayri-E-Dard
main to hooN sirf ek KANKAAL....!! by ghayal_shayar in Miscellaneous Shayri
<>*wo sirf main hun*<> by *KasaK*....Dil Ki in Shayari -e- Husn
badnaam_shayar
Guest
«Reply #1 on: July 22, 2006, 07:27:54 PM »
Reply with quote
Wah Ranju =D>  =D>  =D>  Really a superb Creation.....!!!!!!!

Woh Suhani Raat.....
Uper se bheegi ho Barsaat......

Jisme mehekti ho teri mehek......
Pee ke Pyale labon ke tere gaya yeh Shayar aaj phir behek......

Kya karte aur Zulm khud pe bas ab ho chala hai jeena dushwaar......
Bann jao Mallika meri haan karte hai hum tumse hee Pyar.......

Bass gayi Jahan main Khushian ab door hue sab Dard-O-Gum......
Bas isi tarah rehna saath mere ki dunia dekhe Sirf tum aur hum......

Woh Khamosh teri palkein...aur tere Rukhsharo ka nikharna.....
Woh karna baatein meri Sahelion se aur woh meri Gali se hee nikalna.....

Yaad aate hai aaj woh pal jinme base the hum......
Par aaj kehte hai sabke saamne aye Sanam Sirf tum aur hum...........!!!!!!!!
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #2 on: July 22, 2006, 07:44:22 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
yeh tanahi ka alam
aur main aur tum... sirf tum

yeh shuaani raat ka alam
aur bas main aur tum

saji hai taaro ki baaraat
chand ke madmaate rup ke saath

yeh mehakta sa sara guljaar
mere husan per hai aaj nikhaar

tera saawala sa rup dil per chhaa gaya
mere hosh aur neende udda gaya

kyu na behke se rahe ismein aaj
bas main aur tum ....haan sirf tum


mere aanchal ko tumne rukh se sarka diya
husan ka naqab aaj yun hata diya

rakh diya mere shaano per apna sirr
aur apni nazaro se yeh aaj kya peela diya

behak gayi raat ke saath main bhi sanam
yeh tanahi ka alam aur bas main aur tum ....sirf main aur tum ..!!!!!

awesome ranz-na dear!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

Tumhari sabd ki pyala jab chalkti hai to tufan uthatii hai
Dekh kar ye likhaii,dil mai bhi kuch aarmaan jagatii hai
Tumhari  likhne ki ye anukhapan sab ko nind udatii  hai
Bhatke rahii ko jaise manzil ke aur khich latii hai
Dekh kar ye likha tumhara,khud ko na tham saka
Likh diya main kuch yaha dil mai jo tha aarman chupa!!
:D
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #3 on: July 22, 2006, 07:49:58 PM »
Reply with quote
Quote from: "badnaam_shayar"
Wah Ranju =D>  =D>  =D>  Really a superb Creation.....!!!!!!!

Woh Suhani Raat.....
Uper se bheegi ho Barsaat......

Jisme mehekti ho teri mehek......
Pee ke Pyale labon ke tere gaya yeh Shayar aaj phir behek......

Kya karte aur Zulm khud pe bas ab ho chala hai jeena dushwaar......
Bann jao Mallika meri haan karte hai hum tumse hee Pyar.......

Bass gayi Jahan main Khushian ab door hue sab Dard-O-Gum......
Bas isi tarah rehna saath mere ki dunia dekhe Sirf tum aur hum......

Woh Khamosh teri palkein...aur tere Rukhsharo ka nikharna.....
Woh karna baatein meri Sahelion se aur woh meri Gali se hee nikalna.....

Yaad aate hai aaj woh pal jinme base the hum......
Par aaj kehte hai sabke saamne aye Sanam Sirf tum aur hum...........!!!!!!!!
bohot khub bs!..sahi sath nibhaya hai! :D

Aab jo dekhu tera sath nibhana ,khud par afsos aati hai
teri likhaii ki jor se ,thanda mai bhi jaisi garmi ki tapis dilati hai
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #4 on: July 23, 2006, 05:46:15 AM »
Reply with quote
behad acha likha ranjana ,gaurav bhai & rwg ji...........isiliye to kehta hoon ki jannat to yahi hai ,phir dhoondna kaisa.

  apni dhadkano sang tanha reh rehkar
  khayalo mai socha karte hai hum aksar
   
   ki ho ek ajab madhosi ka aalam
  ishq ki fizao ka mehka sard mausam

   dhadke dil hamara ek saath mai
   aur hum tum mile behki raat mai
   
 thandi hawaye jab teri julpho se takraaye
  badal jaye sama ,chaa jaaye kali ghataaye
 
  aur tere jism mai bhadke phir aisi chingari
  dhalak jaaye aanchal sang sharmo haya saari

 
  na fasle ho darmiyaan ,na ho ishq kahi gum
  raatein sabnami ,bheegi chandni .........aur main aur tum............sirf main aur tum.

...................@fahi@.....................
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #5 on: July 23, 2006, 06:23:11 AM »
Reply with quote
Marvalous Fahi.....sach me behadd khubsurat likha hai....

Saat rang dekh naache jaise MOrni....
Bhari basant bahaar mein......

Koyal ki daal baithe panchi.....
Jaise Raas leela racha rahe Krishan beech bazar me......

Dagmag Dagmag dekhti Nazrein poochti bas tera hee rasta.....
Kehta Dil na jaane kab mitega yeh lamba faasla.....

Dil jab dekhta baaki AshiQon ko toh lagta jaise Hum hee Hum hai.....
Na raha kuch baaki Zindagi me bas ek Safar jisme Sirf tum aur hum hai.....!!!!!!!!!!
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #6 on: July 23, 2006, 06:28:50 AM »
Reply with quote
Quote from: "purani_jeans_aur_guitar"
behad acha likha ranjana ,gaurav bhai & rwg ji...........isiliye to kehta hoon ki jannat to yahi hai ,phir dhoondna kaisa.

  apni dhadkano sang tanha reh rehkar
  khayalo mai socha karte hai hum aksar
   
   ki ho ek ajab madhosi ka aalam
  ishq ki fizao ka mehka sard mausam

   dhadke dil hamara ek saath mai
   aur hum tum mile behki raat mai
   
 thandi hawaye jab teri julpho se takraaye
  badal jaye sama ,chaa jaaye kali ghataaye
 
  aur tere jism mai bhadke phir aisi chingari
  dhalak jaaye aanchal sang sharmo haya saari

 
  na fasle ho darmiyaan ,na ho ishq kahi gum
  raatein sabnami ,bheegi chandni .........aur main aur tum............sirf main aur tum.

...................@fahi@.....................

bohot khubsurat fahi bhai..maza aagay pad ke :D
Logged
ranjana
Guest
«Reply #7 on: July 23, 2006, 06:37:45 AM »
Reply with quote
Quote from: "purani_jeans_aur_guitar"
behad acha likha ranjana ,gaurav bhai & rwg ji...........isiliye to kehta hoon ki jannat to yahi hai ,phir dhoondna kaisa.

  apni dhadkano sang tanha reh rehkar
  khayalo mai socha karte hai hum aksar
   
   ki ho ek ajab madhosi ka aalam
  ishq ki fizao ka mehka sard mausam

   dhadke dil hamara ek saath mai
   aur hum tum mile behki raat mai
   
 thandi hawaye jab teri julpho se takraaye
  badal jaye sama ,chaa jaaye kali ghataaye
 
  aur tere jism mai bhadke phir aisi chingari
  dhalak jaaye aanchal sang sharmo haya saari

 
  na fasle ho darmiyaan ,na ho ishq kahi gum
  raatein sabnami ,bheegi chandni .........aur main aur tum............sirf main aur tum.

...................@fahi@.....................


bahut khub fahi .....wonderful...............

yeh bheegi si raat suhani
aa ja fir se cher de koi kahaani

na rahe hosh mein aaj kuch bhi dil ki baat
hone de fir se kuch asie  pyaar ki barsaat

beheke se hum hai beheke se tum ho
aur us per tere haatho mein mera haath

dhalka sa aanchal ,bikhra sa kajal
aaj toh hai bas dil mein isaq ke jajbaat

is mehekate se alam mein aaj fir se suna do wahi raag
jise sun ke dil fir se kare pyaar ki fariyaad

aur behaka sa manawa kare wahi baat
jis mein ho hum dono hi gumm ...bas main aur tum ....sirf main aur tum !!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #8 on: July 23, 2006, 06:54:08 AM »
Reply with quote
Quote from: "badnaam_shayar"
Wah Ranju =D>  =D>  =D>  Really a superb Creation.....!!!!!!!

Woh Suhani Raat.....
Uper se bheegi ho Barsaat......

Jisme mehekti ho teri mehek......
Pee ke Pyale labon ke tere gaya yeh Shayar aaj phir behek......

Kya karte aur Zulm khud pe bas ab ho chala hai jeena dushwaar......
Bann jao Mallika meri haan karte hai hum tumse hee Pyar.......

Bass gayi Jahan main Khushian ab door hue sab Dard-O-Gum......
Bas isi tarah rehna saath mere ki dunia dekhe Sirf tum aur hum......

Woh Khamosh teri palkein...aur tere Rukhsharo ka nikharna.....
Woh karna baatein meri Sahelion se aur woh meri Gali se hee nikalna.....

Yaad aate hai aaj woh pal jinme base the hum......
Par aaj kehte hai sabke saamne aye Sanam Sirf tum aur hum...........!!!!!!!!



bahut hi khubsurat likha hai gaurav.......

kuch  li hamne bahaaro se rangat
kuch nur churaya taaro ka

bijali se mangi chanchalta
aur fir apna hai shingaar kiya

phoolo se mehak le apne badan ki
bikhari hui julpho ko badal se maang liya

chun ke kali ki shokhiyaan
koyal se bol udhar liya

saji mein teri hi khatir sajana
aaj maine sirf  tere liye hi shingaar kiya

ab der na kar aane mein sajana
teri ek jhalak paane ke liye hamne yugo tak intazaar kiya
Logged
ranjana
Guest
«Reply #9 on: July 23, 2006, 07:00:28 AM »
Reply with quote
Quote from: "redwhitegang"
Quote from: "ranjana"
yeh tanahi ka alam
aur main aur tum... sirf tum

yeh shuaani raat ka alam
aur bas main aur tum

saji hai taaro ki baaraat
chand ke madmaate rup ke saath

yeh mehakta sa sara guljaar
mere husan per hai aaj nikhaar

tera saawala sa rup dil per chhaa gaya
mere hosh aur neende udda gaya

kyu na behke se rahe ismein aaj
bas main aur tum ....haan sirf tum


mere aanchal ko tumne rukh se sarka diya
husan ka naqab aaj yun hata diya

rakh diya mere shaano per apna sirr
aur apni nazaro se yeh aaj kya peela diya

behak gayi raat ke saath main bhi sanam
yeh tanahi ka alam aur bas main aur tum ....sirf main aur tum ..!!!!!

awesome ranz-na dear!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

Tumhari sabd ki pyala jab chalkti hai to tufan latii hai
Dekh kar ye likhaii,dil mai bhi kuch aarmaan jagatii hai
Tumhari  likhne ki ye anukhapan sab ko nind se uthatii hai
Bhatke rahii ko jaise manzil ke aur khich latii hai
Dekh kar ye likha tumhara,khud ko na tham saka
Likh diya main kuch yaha dil mai jo tha aarman chupa!!
:D



bahut sweet .... :D

in sabado ke chalkate pyaalo mein bas yun hi duba rehne do
abhi bahut likhne ka aramaan hai baaki abhi mujhe aur bhi kehne do..
 :D
Logged
ranjana
Guest
«Reply #10 on: July 23, 2006, 01:11:33 PM »
Reply with quote
shukriya  majid ....

hamne rakh liye hain dil mein unke saath gujare lamahe
jab bhi hue tanaha toh iske saath waqt hamne gujaar liya
Logged
nikki
Guest
«Reply #11 on: July 23, 2006, 03:34:12 PM »
Reply with quote
again very nice post Ranjana di....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #12 on: July 24, 2006, 07:35:42 AM »
Reply with quote
shukryia Nikki dear ...... :D
Logged
ranjana
Guest
«Reply #13 on: August 16, 2006, 09:31:01 AM »
Reply with quote
teri tasveer aankho mein der tak rehti hai
raat yun hi use takate takate katati hai

rakh deti hun kab hole se mein apne lab us per
yeh hosh fir tere khyaalo mein mujhe kahan rehti hai

neend mein tere khawab gujar jaate hain musaafir se
mere seene mein tujhse milne ki tadap jaagi si rehti hai
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #14 on: August 16, 2006, 10:59:18 AM »
Reply with quote
bahut bahut khoob......... RANJANA........


Shabnam ko hansi aaye, dil mohabbat se bhar gaya,
chooma jo teri tasveer ko, aalam saara mahak gaya........

tasveer jo tune bheji thi, naam us pe tera likhke,
har chumman pe mere, naam tera aur nikharta gaya......

nigaahon me kuch aise ban gaye hain husn-e-jalwe tere,
aankhen jo band ki maine, nazaara tera hi karta gaya......

aankhon me tujhe basa ke, dil pe tera naam likh kar,
koi bhi mehfil ho lekin, main teri hi mehfil samajhta gaya........
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
March 29, 2024, 02:06:49 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 08:02:59 PM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]

[March 16, 2024, 03:21:26 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.168 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8502 Real Poets and poetry admirer