tum wo to nahi the jiske liye maine ta umr raah dekhi
tumhara aana meri zindagi me ek khwab hi tha
aaj jab tumhe dekhta hun mein aey humnaqsh
to yakin mano khud hosh kho deta hun
tum ek haqiqat to nahi ho sakti ho is zindagi ki
agar ho jati to baat hi kya thi yaaron
aaj tumhe armaan batana chahta hun is dil k
agar fursat mil sake to ek baar mujhe soch k dekhna
jab tumhe dekha tha pehli baar maine
to aisa laga abhi neend se jaaga hun
yaad hai aaj bhi wo din jab tumhe neend se uthta hua dekha tha
aisa laga mano kisi oos ki boond se milkar taro taaza ho gaya hun
jab tum din me aayi thi mujhse milne
to aisa laga koi hai jise meri parwah hai
har sham jab tumhari zulfo me guzari
to dil ne chaha ye waqt yahin tham jaye
aur jab raat ne apne aanchal failaya
to laga ki iss raat ki subah na ho
ab tum hi batao mein tumhe kaise chod sakta hun
jab har ghadi lagta hai ki tum hi mere jeene ka karan ho
bahut sunder hai yeh ............
jab se woh hamare humkhayal ho gaye
toh jindagi jeene ke pal aasaan ho gaye
jab dil dharkane laga unke naam se
toh woh hamari dil aur hamari jaan ho gaye
yun toh kisi ke naaz uthata nahi thaa dil mera
unko dekha toh sab naaz uthane aasan ho gaye
lagti thee apni manzi bahut dur hamko
woh bane jab se hamrahi mere toh
saare raste hum per meherbaan ho gaye