~~Tera Aanchal~~

by badnaam_shayar on May 22, 2006, 12:50:57 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 8
ReplyPrint
Author  (Read 7560 times)
ranjana
Guest
«Reply #30 on: May 24, 2006, 02:27:44 AM »
Reply with quote
baadal ghir ghir aate hain
umad umad lahratte hain
mere mann ki pyas ban kar
bin barse ud jaate hain
maine chahha thaa yun hota
ek main hoti ek tu hota
ek hawa ka jhonka ban kar
mera aanchal tere dil ko chhoo leta
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #31 on: May 24, 2006, 03:10:07 AM »
Reply with quote
Anchal tera dewaana sa
Udata fhirta hai lehrata sa
kAbhie gungunata sa
Kabhie taroon ke sath timtimata sa
Hichkichata sa wo ghabrata sa
Khuli baad-e-haya mein sehlata sa
mehfilon ke dour lagaata sa
Masti mein kho jaata sa
harr taal pe thirkaata sa
rehta hai mujhe tera ehsaas harr pal karata sa....
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #32 on: May 24, 2006, 04:35:18 AM »
Reply with quote
Quote from: "badnaam_shayar"
Quote from: "Shikha12"
Quote from: "badnaam_shayar"

Dekh tere Aanchal mein Sansaar maine basaya hai......
Tere Ishq ke mandir me khud ko Pujari maine banaya hai.....

Samajh tu bhi meri baaton ke ishare ko......
Yeh koi aisi baat nahi jise koi samajh nahi paya hai.....

Raat ke andhere mein maine tere Husn ka ujala apne Shivale me basaya hai......
Kar de tu bhi Izhaar apni mahobbat ka Dekh humne tumhe haath apna thamaya hai........!!!!!!!!!!!

Sabney bahut hi achha likha hai... Gaurav, Ranjana, Phoenix.. sab ek sey bad kar ek ho.....


Pyar ko humney jitna bhi jaana hai...
yehi socha hai humney yehi maana hai,
dil ki basti nahi, yeh to bus virana hai.....

Thaam key hath aazmaatey hai sab wafaey yahan,
dey key aansu, chahtey hai sab duayey yahah,
Wohi aaye yahan jisney dil Tadpanaa hai....
Hum to dartey hai.... humko naa dil laganaa hai....

Kartey hai sab muhabbat key aanchal ki khwaish,
aur daagdar kar key isey letey hai dil ki aazmaish...
Dard ka in galiyon main aana-jaana hai....
Haqeeqat nahin hai....sapno ka taana-baana hai....

Ishq main dhoob key dekha hai humney duniya ko,
Har ghadi khud pey hanstey humney dekha duniya ko...
Samjhtey hai teri baaton key isharey ko hum khoob,
dard-e-dil, dard-e-duniya sey rishta bahut purana hai...



Bahut khubsurat Likha hai Shikha.......Brilliant.....

Dekh le inn galion ko hum inhe Mahobbat ka sagar kehte hai.....
Ruk jata hai waqt yahan toh use Pyar taakat kehte hai.....

Yahan sab do Jism ek dhadkan ke fasane gaate hai......
Jab karo kisi se Pyar toh behichak keh dena unse......
Haan hum tumhe chahate hai.....

Yeh woh kaiynat hai khuda ki......
Jahan timtimate taare bhi Chand ke husn ko choo jate hai......!!!!!!!


Shukriya.. Gaurav... aap ko bar bar kya kahen... aap to sada hi lajawaab hotey ho.... phir bhi kosish kartey hai...

Haan saagar hi hoti hai muhabbat ki galiyan,
jo ismey dooba, woh ubar naa paaya kabhi,
haan taakat hi hogi pyar ki rokna waqt ko,
lekin waqt ko to koi rok hi naa paaya kabhi....

dartey hai sab dil key tootney sey yahan,
dil ka fasana koi behichak keh naa paaya kabhi,
dekhtey hai chand ko, sab paaney ki umeed sey,
lekin is khuda ko koi chuu naa paaya kabhi....

wohi aanchal hai yeh, jo bichaa tha intezaar main,
ro ro ke humney isi aanchal main muuh chupaaya kabhi,
ek baar dil laga key roz martey dekha khud ko,
jis din naa toota ho dil, woh din naa aaya kabhi...

toot key chaha jise, jis key liye odha hai kafan,
yeh bhi hota hai, ki kho jaata hai wohi saaya kabhi
isi duniya sey hum ladey they uski khatir,
phir is duniya ney humko naa apnaaya kabhi....
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #33 on: May 24, 2006, 04:47:28 AM »
Reply with quote
Quote from: "badnaam_shayar"
Pyar karta hoon tumse par kuch kehne se darta hoon.....
Raah dekhta hoon tumhari harr pal par inn Ishq ki galion me main Insaan bahut sasta hoon......

Shayad paana nahi chahata tumhe kyunki khone se tumhe main Darta hoon......
Tumse main Pyar nahi Pyar se bhi jayada Pyar karta hoon.......!!!!!!!!!


kyon padtey ho..tum in jhamelon main,
kya rakha hai in dil key khelon main...
khush raho tum bhi, auron ko bhi yehi sikhaya jaye...
saaf dil hum to hai, kehtey hai dil ki,
akeley hi achha hai, kyon yeh dil kisi sey lagaya jaye...
koi nahi hota, kyon dartey ho kuch khoney sey,
jab tanha bheja khuda nay,
to kyon naa tanha hi is duniya sey jaaya jaye....
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #34 on: May 24, 2006, 05:14:11 AM »
Reply with quote
Quote from: "RANJANA"
baadal ghir ghir aate hain
umad umad lahratte hain
mere mann ki pyas ban kar
bin barse ud jaate hain
maine chahha thaa yun hota
ek main hoti ek tu hota
ek hawa ka jhonka ban kar
mera aanchal tere dil ko chhoo leta


Ranjana.... it is really very nice....good work

badal phir sey aayegey...
phir sey yeh leyrayegey...
tum udaas naa hona... yu niraash naa hona....

phir umeed laga lo dil main...
ek aas jaga lo dil main...
khushian hogi jeevan main... ab naa padegaa phir rona....

dekho hawan phir chalney lagi..
aur baarish padney lagi...
mausam suhana ho gaya... bheeg gaya kona kona...

umeed sey duniya kayam hai....
intzaar main to woh dum hai....
pathar dil bhi pighal gaya.... tup kar bun gaya yeh sona....
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #35 on: May 24, 2006, 05:26:00 AM »
Reply with quote
Quote from: "nirbhay"
Anchal tera dewaana sa
Udata fhirta hai lehrata sa
kAbhie gungunata sa
Kabhie taroon ke sath timtimata sa
Hichkichata sa wo ghabrata sa
Khuli baad-e-haya mein sehlata sa
mehfilon ke dour lagaata sa
Masti mein kho jaata sa
harr taal pe thirkaata sa
rehta hai mujhe tera ehsaas harr pal karata sa....


Sohna hai.... nirbhay ji....

apni muhabbat main sada yeh dum rakhna,
apney ehsaas sada aisey hi roshan rakhna....
kabhie naa ruthaney dena apney sanam ko...
jisey chaho dil sey, usey hi apna sajan rakhna....
tanha naa chodna, jis ney dil diya tumhey....
apna dil uskey anchal main hardam rakhna
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #36 on: May 24, 2006, 06:24:13 AM »
Reply with quote
Quote from: "Shikha12"
Quote from: "badnaam_shayar"
Quote from: "Shikha12"
Quote from: "badnaam_shayar"


Shukriya.. Gaurav... aap ko bar bar kya kahen... aap to sada hi lajawaab hotey ho.... phir bhi kosish kartey hai...

Haan saagar hi hoti hai muhabbat ki galiyan,
jo ismey dooba, woh ubar naa paaya kabhi,
haan taakat hi hogi pyar ki rokna waqt ko,
lekin waqt ko to koi rok hi naa paaya kabhi....

dartey hai sab dil key tootney sey yahan,
dil ka fasana koi behichak keh naa paaya kabhi,
dekhtey hai chand ko, sab paaney ki umeed sey,
lekin is khuda ko koi chuu naa paaya kabhi....

wohi aanchal hai yeh, jo bichaa tha intezaar main,
ro ro ke humney isi aanchal main muuh chupaaya kabhi,
ek baar dil laga key roz martey dekha khud ko,
jis din naa toota ho dil, woh din naa aaya kabhi...

toot key chaha jise, jis key liye odha hai kafan,
yeh bhi hota hai, ki kho jaata hai wohi saaya kabhi
isi duniya sey hum ladey they uski khatir,
phir is duniya ney humko naa apnaaya kabhi....


Bahut khubsurat jawab dia hai......Shaandaar......... Usual Smile

Yeh Dunia hai Mahobbat ki yahan dill toot jaye baar baar aisa nahi hota.....
Anjaane lago ke sheher me harr Insaan ek jaisa nahi hota......

Kabliyat apne mein rakho ki Deewana dewangi me pagal ho jaye......
Akhir harr phool khushboo de aisa nahi hota.......


Auod lo tum bhi aanchal mahobbat ka.....
Harr aanchal daagdaar nahi hota......

Kuch khawahishien hoti hai Jindagi mein.....
Par yahan harr Maksad poora nahi hota.......

Jee ke dekho tum mere saath......
Kyunki harr Insaan ko saath mera Naseeb nahi hota........!!!!!!!!!!
Logged
kaiynath
Guest
«Reply #37 on: May 24, 2006, 06:39:59 AM »
Reply with quote
wow BD and shikha ji
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #38 on: May 24, 2006, 10:02:53 AM »
Reply with quote
Bahoot Khoob Likha Hai Doston Apne Sab,..
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #39 on: May 24, 2006, 10:10:11 AM »
Reply with quote
Tera aanchal se main apna Kafan banaonga.....
Sirr rakh ke uspar main hamesha ke liye so jaonga.....
Iss janam me milan na sahi.....
Par agle janam me tera Mehboon bankar hee nazar aonga.....!!!!!!!!!!!
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #40 on: May 24, 2006, 10:18:04 AM »
Reply with quote
Main Dil Hoon Ek Armaan Bhara,..
Tu Aake Mujhko Pehchaan Zara,..

Khud Maine Husn Ke Hathon Mein,
Shaukhi Ka Chalakta Jaam Diya,..
Gaalon Ko Gulaabon Ka Rutbaa,..
Kaliyon Ko Labon Ka Naam Diya,..

Aankhon Ko Diya Sagar Gehra.,
Tu Aake Mujhko Pehchaan Zara,..

Ye Sach Hai Teri Mehfil Mein,..
Mere Afsaane Kuch Bhi Nahi,.
Par Dil Ki Daulat Ke Aage,..
Duniya Ke Khazaane Kuch Bhi Nahi,...

Yun Mujhse Nigahon Ko Na Chura,..
Tu Aake Mujhko Pehchaan Zara,..

_________________________-Talat Mehmood-
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #41 on: May 24, 2006, 10:28:02 AM »
Reply with quote
Quote from: "Jaanasheen"
Main Dil Hoon Ek Armaan Bhara,..
Tu Aake Mujhko Pehchaan Zara,..

Khud Maine Husn Ke Hathon Mein,
Shaukhi Ka Chalakta Jaam Diya,..
Gaalon Ko Gulaabon Ka Rutbaa,..
Kaliyon Ko Labon Ka Naam Diya,..

Aankhon Ko Diya Sagar Gehra.,
Tu Aake Mujhko Pehchaan Zara,..

Ye Sach Hai Teri Mehfil Mein,..
Mere Afsaane Kuch Bhi Nahi,.
Par Dil Ki Daulat Ke Aage,..
Duniya Ke Khazaane Kuch Bhi Nahi,...

Yun Mujhse Nigahon Ko Na Chura,..
Tu Aake Mujhko Pehchaan Zara,..

_________________________-Talat Mehmood-


I just Say Marvalous
Logged
ranjana
Guest
«Reply #42 on: May 24, 2006, 10:45:08 AM »
Reply with quote
shukriya Bhai...........bahut hi sundar song hai yeh Talat ji ka

Ye Sach Hai Teri Mehfil Mein,..
Mere Afsaane Kuch Bhi Nahi,.
Par Dil Ki Daulat Ke Aage,..
Duniya Ke Khazaane Kuch Bhi Nahi,...

Yun Mujhse Nigahon Ko Na Chura,..
Tu Aake Mujhko Pehchaan Zara,..

yeh lines toh is gaane ki jaan hai.........mujhe yeh gana bahut pasand hai thanks for sharing...............
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 5 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19899
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #43 on: May 24, 2006, 11:13:39 AM »
Reply with quote
Shukriya BS Bhai And Ranjana,..
Sun Raha Tha Main Is Isliye Likh Diya,..
Shukr Hai Ke Ye Apko Pasand Aya,..
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #44 on: May 25, 2006, 04:52:33 AM »
Reply with quote
Quote from: "badnaam_shayar"

Bahut khubsurat jawab dia hai......Shaandaar.........  

Yeh Dunia hai Mahobbat ki yahan dill toot jaye baar baar aisa nahi hota.....
Anjaane lago ke sheher me harr Insaan ek jaisa nahi hota......

Kabliyat apne mein rakho ki Deewana dewangi me pagal ho jaye......
Akhir harr phool khushboo de aisa nahi hota.......


Auod lo tum bhi aanchal mahobbat ka.....
Harr aanchal daagdaar nahi hota......

Kuch khawahishien hoti hai Jindagi mein.....
Par yahan harr Maksad poora nahi hota.......

Jee ke dekho tum mere saath......
Kyunki harr Insaan ko saath mera Naseeb nahi hota........!!!!!!!!!!


 Puzzled !

Too good Gaurav....

Ek baar laga key isey dubara lagaya nahin jaata,
yeh woh shisha hai jisey baar baar tudwaya nahin jaata....

Is duniya key meley main log miltey hai chehra badal key,
ab aaisey anjaaney shaher main humsey jaaya nahin jaata...

hum toh dum rakhtey hai ki diwana kar dey kisi ko abhi bhi,
lekin har anjaan shaksh ko apna dil dikhaya nahin jaata...

humney odha hai aanchal kaanton main lipta hua tha jo,
sharm-o-haya ka yeh parda hai, ab isey hataaya nahin jaata...

khwaishey samunder si hai, zindagi sey hum ko bhi lekin,
jaantey hai zindagi boond hai, jisey badhaya nahin jaata...

dosti ki hai tumsey, to sath to dengey hum sada tumhara,
tum bhi sun lo yeh woh haq hai, jisey jataaya nahin jaata...
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 8
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
April 20, 2024, 04:31:12 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[April 04, 2024, 04:49:28 PM]

[April 02, 2024, 12:27:12 PM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:34:54 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:30:44 AM]

by ASIF
[March 24, 2024, 04:26:39 AM]

by ASIF
[March 23, 2024, 08:50:46 AM]

[March 21, 2024, 07:59:38 PM]

[March 17, 2024, 02:01:29 PM]

[March 16, 2024, 03:26:05 PM]

[March 16, 2024, 03:25:04 PM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.143 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8498 Real Poets and poetry admirer